Wednesday 10 April 2013

Unhe nahi Bhoole

1)Tumse dosti karne ka hisab na aaya Mere kisi bhi sawal ka jawab na aaya. Hum to jagte rahe tumhari hi khayalo me Or tumhe so kar bhi hamara khawab na aaya

2)Jindagi K Har Lamho Me Unhi Ko Pate Hain, Bhool Jayein Khud Ko Par Unhe Nahi Bhoolate Hain, Jane Kya Baat Hai Unme Ae Khuda, Jitna Bhoolate Hain Wo Utna Yaad Aate Hain… 



3)Jub Kuch Sapne Adhure Reh Jate Hain, Tab Dil Ke Dard Ansu Ban Ke Beh Jate Hain, Jo Kehte Ki Hum Sirf Aap Ke Hain, Pata nahi Kaise Alvida Keh Jate Hain.. 



4)Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya, Jitna aapki baaton par karte hain, Itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya, Jitna aapke milne ka karte hain 

5)Unhe chahana hamari kamzori hai, Unse keh nahi pana hamari majburi hai, Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko, Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai… 

6)Wo humara imtihan kya lagi. Milege nazro se nazar to, Apni nazre jhuka legee, Use meri kabra par deeya jalane ko mat kahna, Wo nadan hai dosto apna hath jala legi… 

7)Yuhi aankhon se ansu bahte nahi, Kisi aur ko hum apna kahte nahi, Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein, Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi 

8)Teri duniya ka yeh dastoor bhi ajeeb hai Khudaya, Muhabbat un ko milti hai jinhen karni nahi aati.. 

9)Shikaayet to nahin hai lekin itna poochta hoon main, Woh aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaye 

10)Karley sitam chahey jitne zamaana, sehna hai, Hum ne har haal mein jeeney ki kasam khayi hai. 

11)Mitt chaley meri umeedon ki tarah harf magar, Aaj tak tere khato’n se teri khushbuu na gayi 

12)Hawaa se lipti hui siskiyon se lagta hai, Meri kahani kissi aur ne bhi dohraayi.. 

13)Woh aik akss ke pal bhar nazar main thehra tha, Tamaam umar ka silsilaa hai ab mere liye. 

14)Nahin mere liye kya aur koi, Usi ka rasta kyon dekhta hoon.. 

15)Mujhe yaqeen hai mohabbat issi ko kehte hain, Ke zakham taaza rahe aur nishaan chala jaye.. 

16)Har Majburi se ladna sikhlo Har gum ke sath jina sikhlo Busy hum bhi kam nahi par Hamari tarah DOSTO Ko yaad krna sikhlo 

17)Na Milne Ki Khushi, Na Judaai Ka Gum, Na Udaas Na Tanha Hai Hum, Kaise Kahe Kaise Hai Hum, Bas Itna Samajh Lijiye Aapke Bina Akele Hai Hum.. 

18)Aapko miss karna.. roz ki baat hai. Yaad karna.. aadat ki baat hai. Aap se duur rehna.. kismat ki baat hai. Magar aap ko jhelna.. himmat ki baat hai. 

19)Zindagi to sabhi ke lia wahi hai Fark hai to bas itna sa hai “Koi dil se jee raha hai” aur koi “koi dil rakhne ke lia jee raha hai”
Share And Comment on this






No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.