Sunday 2 December 2012

Dil ki baghawat

1)Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula 

2)Aap Key Jigar-O-Dil ?Navneet?-Sey Mulaayam Hain Zulm Kyaa Cheej Hai, Waisey To Jaantey Hain Sab Aap Gahraayee Sey Mahsoos Kar Fafaktey Hain Ham To Aansoo Bhi Bahaa Paatey Naheen Hain Utney Ham Samajhtey They Wazeeroun Ko Sharm Aayegee Un Kee Aouqaat Pai, Ab Ham Ko Sharm Aatee Hai Woh To Rahtey Hain Fouziyoun Sey Ghirey Pahroun Mein Aam Logoun Kaa Khoon Bahtaa Hai Baazaaroun Mein Koyee Batlaaye Yeh Kaisee Namak-Halaalee Hai? 

3)Door Reh kar kareeb kitnay thay, Faslay bhi Ajeeb kitnay thay, Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna, Is jahan mein Tabeb kitnay thay, Umer bhar Sath jo raha Tere, Us k Achay Naseb kitnay thay, Kyun na Aai me Tere sapno mein, Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!! 

4)Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham Ghar ko sholo?n k hawaley to nahi kar saktey Noor ki rah mai deewar utthane waley Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad Guftugu pao?n k chhaley to nahi kar saktey Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par Yoo?n kabhi chahney waley to nahi kar saktey Bad ghuma?n ham se hain kutch laug to majboor hain ham Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey?!!! 

5)Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte. 

6)Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon kabhi aesa ishq nahin kiya k nadaamten mery saath hon koi aesa harf nahin likha k ho sharm saar qalm mera koi aesa jurm nahi kiya k wazahten mery saathon faqt aik shakhs ki aarzoo m guzar rahi hai yeh zindagi yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon jo main jaagta hoon to is liye k kisi ko neend ot aasaky meri subh us p nisaar ho meri zulmaten mery saath hon main kisi adalat-e-ishq main?ae mery khuda?rahoon sur kuroo kaf-e-dast par mera dil rahy?meri tohmaten mery saath hkon yeh nahin k rah m jo mily usy hamsafar hi banaoon jo tamaam umr nabha saken woh rafaqten mery saath hon mujh rasmi sa mel jol?pasand hi nahin jan-e-man! main yeh chahta hoon k jo tu mily?meri wehshaten mery saath hon 

7)Dil magar kam kisi say milta hay?! Aadmi, aadmi say milta hay? Dil magar kam kisi say milta hay? Bhool jaata hoo?n mai?n sitam us k? Woh kuch is saadgi say milta hay? Aaj kya baat hay k phoolo?n ka? Rang tairi ha?nsi say milta hay? Mil k bhi jo kabhi nahee?n milta? Toot kar dil usi say milta hay? Rooh ko bhi maza mohabbat ka? Dil ki hum-sa?igi say milta hay? Karobaar-e-jahaa?n sa?nwartay hai?n? Hosh jab bay-khudi say milta hay? Dil magar kam kisi say milta hay? Aadmi, aadmi say milta hay?! 

8)Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?! Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay? Kaho kis ko bataao gay? Woh apni uljhanai?n saari? Woh bay-chaini may doobay pal? Woh aankho?n may chhupay aa?nsu? Kisay phir tum dikhao gay? Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay? Bohot bay-chain ho gay tum? Bohot tanha reh jao gay? Abhi bhi tum nahee?n samjhay..! Humaari an-kahi baatai?n..! Magar jab yaad aaey?n gay? Bohot tum ko rulaey?n gay? Bohot chaaho gay phir bhi tum? Humai?n na bhool pao gay? Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay 

9)Yahaa?n apni apni baari par?! Yahaa?n apni apni baari par? Sab ha?nstay hai?n? Sab rautay hai?n? Dil to sab k hee hotay hai?n? Dukh bhi sab ko hotay hai?n? Kuch ashk dilo?n par girtay hai?n? Kuch matti may mil jaatay hai?n? Kuch lafz adaa ho jaatay hai?n? Kuch ho?nto?n may sil jaatay hai?n? Maana k adhooray rehtay hai?n? Par khuwaab to sab k hotay hai?n? Kuch kho kar bhi paa laitay hai?n? Kuch paa kar bhi kho daytay hai?n? Yahaa?n apni apni baari par? Sab ha?nstay hai?n? 

10)Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho Ek chadar main lipte Do Badan, ek Tera ho ek Mera ho Tere Makhmali badan main, Khushbuon k Chaman main Sadiyon tak wo Raat chale, Sadiyon door Sawera ho Tere Hoton ko jab sil doon Main, apne Hoton k Dhaage se Ek Sannate main Khamoshi se, Teri Bhaahon ne Mujh ko Ghera ho Dono Lipte ek Dooje main, ek Gaanth si lag jaaye Badanon main Mere Jism main Ghar mil jaye tujhe, Tere Jism main Mera Basera ho Dil kehta hai kuch aisa ho, Tu ban jaye Main, aur Main ban jaon Tu Bister per Tere Mere siwa, sirf Junoon or Khamoshi ka Dera ho 



Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.