Saturday, 2 March 2013

Chupke se tumse pyar



1)Chupke Se Jo Mangi Hai, Un Duao Me Tum Ko Pana Hai, Tum Rooth Ke Mujse Na Jao, Muje Sath Tumhara Pana Hai, Tum Laut Ke Wapis Aa jao, Muje “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai..


2)Wada hai humari ye mohabbat ki dastan khas rahegi, Aapki surat humesha dil ke pas rahegi, Nahi bhulenge hum aapko or aapke pyar ko, Jab tak dil me dhadkan aur ye saanse rahegi… 







3)Kash Meri Zindagi Ka Ant Kuch Is Kadar Ho Ki Meri Kabar Pe Bana Unka Ghar Ho Vo Jab Jab Soye Zameen Par Mere Seene Se Laga Unka Sar Ho 

4)Kabhi aana hamare sath, ek sapno ki duniya,apko batayenge, rehna chahoge aap bhi jaha, aisi woh duniya hum dikhayenge… 

5)Mein Khwabon Mein Tum Se Mila Karta Hoon Hansta Hun Rota Hun Shikwa Gila Karta Hoon Par Keh Na Pata Hun Haqeeqat Tum Se Ae Sanam Main Tum Se Bahut Pyar Karta Hoon… 

6)Door nighaon se bar bar jaya na karo Dil ko iss kadar tadpaya na karo Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum Yeh ehsas bar bar dilaya na karo..! 

7)Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? 

 Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai Aadmi soch to le, uska Iraada 

kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? 

8)Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye Tumarey Dil mai thori si jaga chahye Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe 

9)Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi 

10)Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye Meri yehi Dua Hai 

Shifayab Hon Sabhi Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye… Shayar:Aitebar Sajid Zindagi Maout Ki Amanath hai Zindagi ko sanbhal ke rakhiye 

11)Hame ek ajnabi achi lagne lagi, unki bathein dil ko chu ne lagi, dosti tho na thi par hone lagi, reply jab atha hai tho ek ajeeb se khusi mehsoos hone lagi. DOSTI tho na thee par hone lagi. sab dosti se payari ek Ajnabi ki dosti acchi lagne lagi.. Ab ajnabi ka shayar kehna achha laga… Apne naam se zayada shayar sunna acha laga..  

12)Hum tho shayar hai bhad me Dost app ne SHAYAR kaha wo lafz acha lagaa… Humne tho apna naam zahir kardiya Sunne ki jo ho kwashih ap ka naam Wo ab apse keh diya.. Dil ne b apni choti si jagah me Aap k naam kabza kar ne laga… Ek ajnabi dost hame call karega Ab barosa hone lagaa… Ab dil tho diwana hone laga…. 

Dosti ek ajnabi se jo karne lagaa… Kayaal rakne ko kehthe hoo…. Call tho karthe hoo, Magar mizaz puchna bhool jate ho Dost tho manthe hoo Magar dosti jatana bhool jathe hoo, Aye Qudha ye kaisa ajnabi dost ham ne paya hai… Kayaal rakne ko kehtha hai Magr baat karne ko darta hai… Hum b tho unke dost hai Phir kyun Ye yaad dilana padtha hai.. 

13)Zindagi ka yehi tarana hai Gam uthana hai muskrana hai. Rop tera bada suhana hai Tujh pe qurban ye zaman hai. Kis qadar pyaar mera sachcha hai Aaj dil bar ko aazmana hai. Tujh ko paon ya tera 

hojaon Zindagi ka yehi fasana hai. Is tarah se na muskuraya karo Jaan lewa ye muskurana hai. Aarzi hai ye dunya aye lugon Har kisi ko yahan se jana hai. Arzoo hai yehi meri Danish Dust dushman ko bhi banana hai. 

14)Thaharo satao na itna sanam humko. Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko. Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao. Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho. Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko. Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge. Tarase the jo naina ab,nis din barasenge. Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko. 

15)Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi 

Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi 
Share And Comment on this



No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.