Tuesday, 11 December 2012

AArzu dil ki


1)Mere Dil me tere aarzu-e-mahobbat jalti rahegi, nazron se meri ashq chalakte rahenge, Aap Chiraagh bankar Dil ko roshan to karo, hum to MOM bankar pighalte hi rahenge.

2)Dard se hath na milate to or kya karte, Gam ke aansoo na bahate to or kya karte. Usne maangi thi humse roshni ki dua, Hum khud ko na jalate to or kya karte. 

3)lamho mein jo kat jae wo kya jindagi aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi 

4)Kuch Deewane Aansu Ishq ke daayre mein Apna muqaam paa lete hain Chahat ke kisson mein Apni zindagi ka Har hissa baha lete hain Inhe hum kabhi Jo mitaana chahein Mohabbat mitne lagti hai Inke Ehsaas Bina Khushiyon ki aandhi mein Wafayein bujhne lagti hain!! 

5)Aaj Ek nazm likhi .. jisse bahut jald post karungi.. Uss nazm ko likhte hue ek khayal aaya zehan mein Ki Aansu hum sab ki zindagi mein kya jagah rakhte hain!! 

6)ik baat puchte rehte hain hum, bhagwan se fariyaad mein, aisa kya hai unki har baat mein, kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein, kya bhagwan yahi woh pyar hai, jisko milne ke liye kiya, hamne itna intzaar hai. 

7)Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey, Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey, Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main, Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey, Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke, Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey, Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain, Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey, Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori, Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey 

8)Soya tha raat koo, par nend nahi aayee, Saari raat humko sirf unki hee yaad satayee, Aankh khuli toh paya apney aap ko bilkul akela, Fir yaad aaya, tujhe rehna hai ……., aur abhi akela 

9)Dard Jab Bhi Ubhare Mare Sine Main , Karar Tujhko Na Aaye Jine Main| Gam Ka Pahaar Tujhpe Toote Iss Kadar, Umra Kat Jaye Aansoo Pine Main| Maut Maange magar Tujhe Maut Na Mile, Jindagi Bojh Lagne Lage, Tujhe Jine Main| Tu Chahkar Bhi Kisi Ki Ho Na Sake, Jaise Angoothi Hoti Hai, Nagine Main|
Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.