Monday, 31 December 2012

Yeh Raat Kyun

1)Yuhi aankhon se ansu bahte nahi, Kisi aur ko hum apna kahte nahi, Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein, Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi… 

2)Yeh raat itni tanha kyun hoti hai, kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai, Ajeeb khel khelti hai yeh kismat Jise hum pah nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai… 

3)Jis tarah khawab mere ho gaye raizaa raizaa, Is tarah na kabhi toot ke bikhrey koi.. 


4)Kitna khush hoon dar-o-deewar ki veerani se, Is ka matlab hai yahan se mera ghar door nahin. 

5)Hum ne apni udaasi ka es terhan bharam rakha, Rabtay kam ker diye aur Maghroor kehlanay lagey 

6)Vo humko patthar aur khud ko, Phool kehkar muskuraya karte hain, Unhe kya pta patthar to patthar hi rehte hain, Phool hi murjhaya karte hain. 

7)Ek shamshan ghar k bahar likha tha: manjil to teri yahi thi jindagi gujar gayi ate ate, Kya mila tujhe is duniya mein, Apno ne hi jala diya jate jate. 

8)Jaane kyu akele rehne ko majbur ho gaye, Yaado ke saaye bhi hamse door ho gaye, Ho gaye tanha is mehfil mai , Ki hamare apne bhi hamse Door ho gaye 

9)Zamane bhar ki yad mai mujhe na bhula dena, jab kabhi yaad aaye to zara muskura lena, Zinda rahe to fir milnge, Varna Diwali mai ek diya mere naam ka bhi jala lena 

10)Bekhabar ho gaye hain kuch log, Jo humari jarurat tak mehsus nahi karte, Phele to bhut batein kiya karte the, Or ab to yaad bhi nahi karte. 

11)Zindagi bhut kuch sikhati hai, Thoda rulati hai thoda hasati hai, Khud se jyda kisi pe bharosa mat karna, Kyunki andhere mai to parchai bhi sath chod jaati hai… 

12)Jo dhal jaaye vo shaam hoti hai, Jo khatam ho jaaye vo zindagi hoti hai, Jo mil jaaye vo maut hoti hai, Aur jo naa mile vo Mohbbat hoti hai 

13)Tujhe bhoolkar bhi na bhool payange hum , Bas yahi ek waada nibha payange hum , Mita denge khud ko bhi jahan se lekin , Tera naam dil se na mita payange hum 

14)Mehfil main kuch to sunana padta hai, Gham chupakar muskurana padta hai, kabhi unke hum bhi the dost, Aaj kal unhe yaad dilana padta hai 

15)Badi koshish ke baad unhe bhula diya , Unki yaadon ko dil se mita diya ,, Ek din fir unka paigam aaya likha tha mujhe bhool jao , Aur mujhe bhula hua har lamha yaad dila diya . 

16)Unhone dekha aur aansu gir pade, Bhari basant me jaise phool gir pade, Dukh ye nahi ki unhone hame alavida kaha, Dukh to ye hai ki uske baad vo khud bhi ro pade. 

17)Woh paas hi na aaye toh izhaar kya karte. khud bane nishana toh shikar kya karte. marne par bhi khuli rahi hamari aankhein. issey zyada kisi ka intezar kya karte… 

18)Kya zamaana tha,hum roz mila karte the, Raat bhar chaand ke humraaz fira karte the, Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain, Kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the… 

19)Chup Hontho ki juban ye ansoo hote hain, Jo chup rahte hain fir bhi behte hain, Aur in aasuon ki kismat to dekhiye, Ye unke liye behte hain jo in ankhon mein rehte hain … 

20)Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta, Marne wale ke saath har koi nahi marta, Are yaha Marne ki baat to door rahi, Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta 

21)ek ajnabi se mujhe itna pyar kyu hai inkar karne par bhi chahat ka ikrar kyu hai use pana nahi hai meri taqdeer mein shayad phir bhi har mod pe usika intizar kyu hai muskan 

22)nakaam si koshis kiya karte hai hum hai ki unse pyar kiya karte hai khuda ne takdir mein tuta tara bhi nahi likha ur hum hai ki chand ki aarzu kiya karte hai muskan 

23)tumhara aur mera rishta ankho aur palko jaisa hai agar palak kuch der na jhapke to ankh ro deti hai aur agar aankh mein kuch chala jaye to palak tadap uthti hai muskan 

24)kasur na unka hai na mera, hum donohi rishton ki rasmein nibhate rahe wo dosti ka ehsaas jatate rahe hum mohabbat ko dil mein chupate rahe muskan



Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.