Meaning of Life
|
1)Start YOUR Day With This Belief..
As Long As There Is SOMEONE In The Sky To Protect ME
There Is NO ONE On Earth Who Could Break ME
2)SMALL BUT EFFECTIVE THOUGHT ABOUT LIFE:
"LIFE" is Beautiful, But only for Those who Know how to Celebrate the "PAIN".
3)Never Win Someone
with argument but
defeat them with Ur Silence.
Bcoz people who always want to argue with YOU,
can't bear YOUR Silence..!!.
4)Once a MAN asked God -
What is the meaning of life??
God answered - Life has no meaning in it, But it is an opportunity to create a meaning...
5)IF SOMEONE Shares Problems with
U & Asks for Help...,
Doesn't Mean
They are Weak or
Incompetent...,
But It Indicates
THEIR
Level of Trust
in U!!!
6).. Love is Not Only Made For Those People
Who Love Each Other
But It Also Made For Those
Who Understand Each Other More Than LOVE...!
7)Small but smehow,real line:
"Everything what we want,comes after we stop lookin for it...!"
8)Pyaar ka Shukriya kuch is trah Ada kru
Aap Bhul B jao to me har pal yad kru
pyaar ne bas itna Sikhaya h muje
K khud se pahle Aapke liye Dua kru..!!
9)Forget who hurt you yesterday,
but don't forget who love you tenderly today.
You can't buy love,
but you can pay heavily for it...
10)I looked at a sweet, beautiful rose, and then I looked at you, and I kept looking at you, for the rose isn't as beautiful as you.
11)To all my friends who are committed:
Happy Valentine’s Day…..
And To all my friends who r single,
Happy Independence Life…:-)
12)Jaise Hawa Ka Jhonka,
Shehad Ki Mithaas,
Jaise Phoolon Ki Khushbu,Jaise Pyar,
Jante Ho Sub Se Khubsurat Ehsas Kya Hai,
Aap Ka Sath…..!
13)To all my friends who are committed:
Happy Valentine’s Day…..
And To all my friends who r single,
14)Ashiq ne pucha khuda se
Tune dunia ko Pyaar ka dushman kyu bana diya..
Khuda hansa aur bola
Ashiqo ne kaun sa mere sath achcha kiya hai…
Unhone to Yaar ko hi khuda bana diya…
`
Pyaar ki aanch se to patthar bhi pighal jata hai,
Sache dil se sath de to naseeb bhi badal jata hai,
Pyaar ki rahon par mil jaye sacha hamsafar,
To kitna bhi gira hua insaan bhi sambhal jata hai…
`
Kaanto ke badle phool kya doge
Aansoon ke badle khushi kya doge
Hum chahate aap se umar bhar ka saath
Hamare iss sawal ka jawab kya doge
15)Jab samne hote ho tum ..
Na jane kyo hosh kho baith the hai hum..
Milti hai nazar jab jab tumse..
Sab kuc bhul jate hai hum..
Hoti hai tu itne kareeb..
Phir bhi dil ki baat kehne se ruk jate hum…
16)Wo pyar ka saboot dikhaya karte the,
Aansu baha ke hume manaya karte the,
Is zindagi mein sirf aap se wasta hai,
Wo aksar hume batlaya karte the,
Sone ki fursat kise thi,
Wo hume saari raat jagaya karte the,
Bechaini jab had se zyada badh jati thi,
Tab wo jee bhar ke gale lagaya karte the,
Wo mohabbat karne wale badal gaye,
Jo har baat par Meri Kasam khaya karte the…
17)Sayad Tab Ehsas Karogi
Mere Pyar Ki Chaanv Tale,
Jab Gujre Din Yaad Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Aaj Tumhare Man Mein Sansay
Beej Kisi Ne Bhar Dala Hai Ya Mere Hi Kuch Labjo Ne
Dil Ko Gayal Kar Dala Hai
Jis Din Tum Apna Samjhogi
Tab Milne Ki Chah Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Yun To Jeewan Ki Raaho Mein
Kitne Sathi Mile Bichude Hain
Aur Chahe Bhale Hi Kitne
Tere Mere Beech Khade Hain
Antarman Se Main Hu Tera
Ek Din Ye Aabhaas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
Man Ki Baat Nahi Samjhogi
Mrigtrasna Ban Kar Bhatkogi
Mai Baadal Bankar Barsunga
To Bhi Tum Pyasi Tadpogi
Mere Dil Mein Base Prem Ka Jis Din Vishwas Karogi
Sayad Tab Ehsas Karogi…
18)Badi muddat ke baad,
yaad kiya usne hame,
aaj pata laga,
hamse kahi jyada,
pyar kiya usne hame…
19)Tanha Rehna To Sikh Liya Humne,
Per Khush Na Kabhi Reh Payenge
Teri Duri To Pir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil
Per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge
20)Dil ki khwahish ko naam kya dun,
pyar ka use paigam kya dun.
Is dil me dard nahi yaaden hai uski,
ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun…?
21)Kaas Yeh Sapna Bhi Pura Ho Jaye
Hum Bhi Kisike Sapno Me Aa Jaye
Ho Hamara Bhi Jikra Unke Labo Par
Hum Bhi Unke Dil Me Bas Jaye
22)Yaad karte hai tumhe tanhai me,
Dil duba hai gamo ki gehrai me,
Hume mat dhundna duniya ki bhid me,
Hum milenge tumhe tumhari hi parchai me
23)Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki,
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki,
Apna dard kise dikhau aye dost,
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki
24)Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni taklif kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane
25)Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate
Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate
Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate
Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaata
26)Aankhon se lafzon ka deedar mat karna...
Khamoshi se mohabbat ka izhaar mat karna.
Reh na sako kisike bina ek pal bhi...
Itna kabhi kisise pyar mat karna.
27)Ankho me hazaro sapne sajaye hai,dil me chaht k deep jalaye hai,ae-khuda pura ho har sapna unki nigahon ka..jo is waqt hamare sms pe nazre jamaye hai
28)Honto Pe Kabhi Na Koi Sawal Rakhiye,
Zindgi Ko Har Pal Khus-hi Rakhiye,
Zindgi To Naam Hi H Pareshaniyo Ka
Inhe BhulKar Bas Apna khayal Rakhiye.
29)Aasu tere nikale to ankhe meri ho,dil tera dhadke to dhadkan meri ho,khuda kare ki dosti hamaari etani gahari ho,ke nokari tu kare our pagaar meri ho! :-
30)Log psnd dil se nhi chehre se karte h, wo dil pe nhi,chehre pe marte h,
Hum khbsurat nhi pr dil k saaf hai, Isiliye bahot kam log hame pasand karte hai.
========================================================
1)Mere pagal piya meri chahat na kr,
Mujhe daikha na kr mujhe socha na kr..
So bar kaha itni mohabbat nahi achi,
So bar kaha itna tamasha na kar..
Na jany kab tot jaye wafa ki ye dori,
Tu mujh pe bharosa ziyada na kr..
Kiya pta kab yeh ehad tot jaye,
Saath jeeny marny ka wada na kr..
Qurbton main faasly lazmi hain jana!
Kabhi mil na paoun to tarpa na kr..
Agr me na rahoun to phir kiya kro gy,
2)Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney
Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney
Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain
Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain
Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain
Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein
Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain
Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain
Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi
Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main
Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main
Wo shaks hamain aik din
Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta
Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha
Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai
Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.
3)Sandhal se mehkati hoi pur kaif hawa ka..
Jhonka koi takrae to lagta hai k tum ho..
Orhay howay taroon ki chamakti hoi chadar..
Nadi koi bal khaye to lagta hay k tum ho..
Jab raat gaye koi kiran meray brabar..
chup chap c so jaye to lagta hay k tum ho
4)Hazar gardish e sham o sahar se guzaren hain
Wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain
Abhi hawas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz
Abhi ye log muqam e nazar se guzaren hain
Har ek naqsh pe tha tere naqsh e pa ka guman
Qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain
Na jane kaun si manzil pe ja ke ruk jayen
Nazar ke qafile diwar o dar se guzaren hain
Kuch aur phail gain dard ki kathin rahen
Gam e firaq ke mare jidhar se guzaren hain
Jahan surur mayyassar tha jam o mai ke bagair
Wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain
5)Suntay Hain K Mil Jati Hai Har Cheez Dua Se,
Ek Rooz Tujhay Maang K Dekhee~n Ge Khuda Se.
Tum Samne Hote Ho To Hai Kaif Ki Barish,
Wo Din Bhi Thay Jab Aag Barasti Thi Ghata Se.
Aye Dil Tu Unhe Dekh Kar Kuch Asay Tarapna,
Aajaye Hansi Un Ko Jo Baithay Hain Kafa Se.
Duniya Bhi Mili Hai Gham-E-Duniya Bhi Mila Hai,
Wo Kuen Nahi Milta Jisay Maanga Tha Khuda Se.
6)Hum Khushbu Kay Sodagar Hain
Hum Soda Sacha Kartay Hain
Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho
Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain
Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka
Tum Bhala Hal Kya Janoo
Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain
Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain.
7)Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi
Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat
Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin
Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat
Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya
Ye Payar Nahi Aasaan Bohat
Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya
Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat
Jab bikhar gaye tab ye jaana
Aaty hainn yahan toofan Bohat
Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat
kash wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat..
8)Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi!
Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon!
Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul!
Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon!
Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani!
Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon!
Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki!
Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!"
9)Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya
Ab Hum Ne Rona Chor Diya
Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chor Diya
Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye
Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya
Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chor Diya
Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya
10)Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,-
Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili,
Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay,
Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili,
Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey,
Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili,
Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien,
Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili,
Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila,
koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili.
11)Death be not proud, though some have called thee
Mighty and dreadful, for thou art not so;
For those whom thou think'st thou dost overthrow
Die not, poor death, nor yet canst thou kill me.
From rest and sleep, which but thy pictures be,
Much pleasure, then from thee much more must flow,
And soonest our best men with thee do go,
Rest of their bones, and souls' delivery.
Thou art slave to fate, chance, kings, and desperate men,
And dost with poison, war, and sickness dwell,
And poppy, or charms can make us sleep as well,
And better than thy stroke; why swell'st thou then?
One short sleep past, we wake eternally,
And death shall be no more; death, thou shalt die.
12) We pray for one last landing
On the globe that gave us birth;
Let us rest our eyes on fleecy skies
And the cool green hills of Earth.
Aapki mehfil ka mausam suhana lage ek pal churalu agar bura na lage aap humein milkar bhool jaaoge par aapko bhulane mein shayad humein zamana lage.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.