Thursday 13 September 2012

Tara's pic

1)Shohrat Na Ata Karna Maula Daulat Na Ata Karna Maula Bas Itna Ata Karna Chahe Jannat Na Ata Karna Maula Shamma e watan Ki Lau Par Jab Qurbaan Patanga Ho Hothon Par Ganga Ho, Hathon Mein Tiranga Ho Bas Ek Saza Hi Sune Sada Barfeeli Mast Hawaon Mein Bas Ek Dua Hi Uthe Sada Jalte Tapte Sehraon Mein Jeete Jee Iska Maan Rakhen Mar kar Maryaada Yaad Rahe Hum Rahen Kabhi Na Rahen Magar Iski Saj Dhaj Aabaad Rahe Godhra Na Ho Gujrat Na Ho Insaan Na Nanga Ho Hothon Par Ganga Ho, Hathon Mein Tiranga Ho  

2)is imtha ki ghari mai kahi tum sath chor na jana mere har ek sapne ko tum is trah tor na jana ek pal bhi tere bin dil dharak na paega kahi aazmane ki chahat mai mukh mor na jana 

3)Hamare nata qurbaniyon ki keemat jante nahin Agar wo jante bhi hain to pahchnta nahin Desh ke sipahi larhte laarhte mar jate hain Par hamre neta unka dil se samaan karte nahin 

4)Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Karein, Waqt Hi Na Raha Waqt Ki Baat Hai. Uss Ney Dekha Muje Ussney Chaha Muje, Ussnay Thukra Diya Waqt Ki Baat Hai. Koi Mushkil Parri Koi Kaam Aa Gaya, Zehan Mein Usskay Jo Mera Naam Aa Gaya. Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarrah, Hum Se Huss Ke Milla Waqt Ki Baat Hai. Zindagi Hum Say Anjaan To Ho Gai, Ek Rishtay Ki Pehchaan To Ho Gayi. Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi, Woh Khud KO Samjha Liya Waqt Ki Baat Hai. Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda, Koi Pochhay To Rashid Kahon Or Kya. Jiss ko Payaa Nahi Ussko Kho Ker Bhi Main, Kiyon Ussi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai 

5)Is Qadar Door Jate Hain Wo, Ki Bahut Yaad Aate Hain Wo, Khauf Ki Ek Siyaah Raat Mein, Jaise Deepak Bujhate Hain Wo, Zindagi Ke Har Ek Mod Par, Hausla Phir Badhate Hain Wo, Zulf Hai Ya Hai Kaali Ghata, Jaise Barkha Bulate Hain Wo, Chant Gayi Chand Ki Roshni, Rukh Se Parda Uthate Hain Wo, “Raaz” Ki Baat Hai Doston, Apna Mahram Batate Hain Wo. 

6)Jab bhi maa ka naam liya, Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne.. Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi, Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne.. Jaagti rahi who raat bhar mere liye, Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne.. Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai, Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne.. Jis ki dua se har moseebat loat jaye, Aisa farishta paya hai mai ne.. Meri har fiker ko janne wali, Mere jazbaaton ko pehcanne wali, Aisi hasti payi hai mai ne.. Meri zindagi sirf meri maa hai, Isi ke liye to, Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne
Share And Comment on this

1 comment:

Note: only a member of this blog may post a comment.