Saturday 25 August 2012

Aakansha's >>>> pic

1)tears can sometime be more special then smiles....smiles can be given to anyone but tears are only shared 4 people we love

2)har taraf bas tum dikhte ho ankhe khole ya band rakhe ab
samajh nahi aata 




3)Is Qadar Door Jate Hain Wo, Ki Bahut Yaad Aate Hain Wo, Khauf Ki Ek Siyaah Raat Mein, Jaise Deepak Bujhate Hain Wo, Zindagi Ke Har Ek Mod Par, Hausla Phir Badhate Hain Wo, Zulf Hai Ya Hai Kaali Ghata, Jaise Barkha Bulate Hain Wo, Chant Gayi Chand Ki Roshni, Rukh Se Parda Uthate Hain Wo, “Raaz” Ki Baat Hai Doston, Apna Mahram Batate Hain Wo. 

4)Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne, Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne.. Jab bhi maa ka naam liya, Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne.. Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi, Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne.. Jaagti rahi who raat bhar mere liye, Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne.. Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai, Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne.. Jis ki dua se har moseebat loat jaye, Aisa farishta paya hai mai ne.. Meri har fiker ko janne wali, Mere jazbaaton ko pehcanne wali, Aisi hasti payi hai mai ne.. Meri zindagi sirf meri maa hai, Isi ke liye to, Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne 

5)Teray sheher teri soch say nikal jaon ga, kisi udaas shaam mein dhal jaon ga, Tu jo mukar gaya hai her baat say apni, dekh lena aik din mein bhi badal jaon ga, Mat dikha mujh ko apna pasheman chehra, jab ke tu jaanta hai mein pighal jaon ga, Chahay laakh tarpoon tere intizaar mein, mat lout ke aanaa mein sambhal jaaon ga, Tera hona itna zaroori to nahi hai Sahil, Me to yaadon ke khilonay se behel jaon ga!!! 

6)Veeraan hai mehfil meri jab se tum gaye ho Bujh gayi hai saari roshni jab se tum gaye ho Andheron ke saaye mein hai rooh meri Roshni ne chhora daaman jab se tum gaye ho.
Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.