Friday 25 January 2013

Dosti me ek Nasha

1)Khuda Ne Jab Tujhe Banaya Hoga, Ek Suroor Sa Uske Dil Mai Aaya Hoga, Socha Hoga Kya Dunga Tohfe Mai Tujhe, Tab Jake Usne Mujhe Banaya Hoga… Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi, Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi, Jis Din Humne Aapko Bhuladiya, Samajh Lijiyega, is duniya me hum nahi… Na Jagte Huve Khwab Dekha Karo, Na Chaho Use Jise Pa Na Sako, Pyaar Kaha Kisika Pura Hota Hai, Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hota Hai… 

2)Bas ab ek haan ke intezaar me raat yunhi guzar jaayegi, ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi, Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi, rimjhim is gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi… 

3)Zareee Zarree Mein Usi Ka Noor Hai Jhak Khud Mein Woh Na Tujhse Door Hai Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar Is Ibadat Ka Yehi Dastoor Hai Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi Yaar Mera H Ar Taraf Bharpur Hai .. Movie Name : Delhi 6 Singer :Amitabh Bachchan Lyrics:Prasoon Joshi Music Director :Rahman AR Actors : Abhishek Bachchan, Om Puri, Sonam Kapoor Director : Rakesh Omprakash Mehra Producer :Ronnie Screwvala 

4)Pani Se Pyaas Na Bujhi Toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla… 

5)Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai… jab aata hai tera naam mere naam ke saath.. naa jano kyon log hamare naam se jalte hai… 

6)Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai? Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai? Paheli barish me train late hone ki fikr hai Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai? Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum hai par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai? Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi? 108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi? Internet ki duniya ke to touch me hai, lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi. Mobile, Landline sab ki bharmaar hai, Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai? Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai? Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai? To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai? 

7)Pyar ne ye kaisa tohfa de diya, Mujhko gumo ne pathar bana diya. Teri yaadon main hi kat gayi ye umar, Kehta raha tujhe kab ka bhula diya 

8)Jab se aapko jana hai, Jab se aap sa dost paya hai, Har dua me aap ka naam aaya hai, Dil karata hai punchu us rab se ke, Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai…. 

9)Kuch Log Jo Aankhon Mein Rhe Dil Mein Rhenge Ab, Bas Jagaah Bdal Rhee Hai Koi Duri Nhi Hai, Hum Aap Sey Mil Naa Sake Jab Dil Chahey Milna, Faaslon K Bad Bhi Aisi Mazburi Nhi Hai… 

10)Jada gum jab se najare ho gaye, Gardish me hamare sitare ho gaye, Nibhayi hai kuch yaro ne dosti aisi, Ki dushman bhi dost se pyare ho gaye.. :) 

11)Jab se aapko jana hai, Jab se aap sa dost paya hai, Har dua me aap ka naam aaya hai, Dil karata hai punchu us rab se ke, Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai…. 

12)Aap se door ho kar hum jayenge kaha, Aap jaisa dost hum payenge kaha, Dil ko kaise bhi sambhal lenge, Par aankho ke aansu hum chupayege kaha. .. 

13)Hum dosto ko jaan samjhate hai…. hum dosto ko humrah samjhate hai… dost hame bewafa samjhe to kya huwa… hum dosto ki parchaye banate hai… 

14)In ankho se sapne churaya na kero humari dosti ko azmaya na kero, tumhari ek hasi meri dil ki dhadkan hai unhe yu na ansuo mein gavaya kero… 

15)Dil mein armaan bahut hai Zindagi mein gham bahut hai Kab ki maar daalti yeh duniya humein Kambhakat doston ki duaon mein dum bahut hai..! There are lots of desires in my heart There are lots of sorrows in my life This world would have killed me since long But Damn, there is lot of strength in the prayers of my friends..! 

16)Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, Beshak apni manzil tk jana h, Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki… 

17)Tu jaane na ki kaun hai tu, phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu, honge gulshan me gul hazaar, in gulo ka gulaab hai tu, Tu na jane ki kaun hai tu, sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu, Hoti hai jab amaawas ki raat to, Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu, Tu na jane kaun hai tu udasi bhare chero ki mushkan hai tu hote hai jb gam k badal asman me th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu….. Tu Jaane na ki kaun hai tu, Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu, aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat, hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu, Tu jaane na ki kaun hai tu, Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu, Tanhai me jab band hoti hai palke meri, bahte huye ashko ka sailaab hai tu, Tu na jaane ki kaun hai tu mahakati hui garm saanso ka guman hai tu, Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar, Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu, yu to suni hai sangeet bahut maine, sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu, Tu Jane na ki kaun hai tu, Me na jaanu ki kaun hai tu, Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah, k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu, Tu na jaane kaun hai tu, chandni raat ke jazbaad hai tu, Hai dhero rang is jahana me magar, Hatho me lagi Mehndi ka rang hai tu Tu jane na kaun hai tu, khwabo me jo aaye,wo tajmahal hai tu, Likhe to rait pe lakho haseen naam maine, mera dil jo dhadkaye,wahi naam hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, savere ki pahli kiran ka naam hai tu, chah-chahati hai jab chidiya ujale me, us madhur awaz ka ahsaas hai tu, 

18)Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya Sari Duniya Roti hai Chup kar Me jo thoda Ro liya to Bat Kya Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki Maine thoda Soch liya to Bat Kya Roshni ki Chah to sab ko hai Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya Zindagi k is Haseen Khwab me Maine Use mang liya to Bat Kya Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya 

19)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein Pyar Apna Basane Ka Waada Karo Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo… 

20)Unko karib lane k chaah main, Sabse dur hote gaye, Wo karib na aaye, Sab dur chale gaye. Paas jaane k chaah main, unke Sabse dur ho gaye, Sabse anzaan bante gaye, Wo hume anzaan kahe gaye. Har khusi unki dekhne k liye, Har waqt dur rahe unke nazroon se hum. Jaan na paa-e wo hume, Bhul gayi hume, do pal kya jo dur ho gaye hum. Kitni kosisho k baad manaya, Milne ko khudse, Uss Milan main bhi bechadna tha, Unko mujse. Hum tho bas unhe kuch kehana chahate, Per wo humse kuch sunna na chahate, Khwaab main tho der raat baate kar leta, Saamne unke main kuch bool na pata. Kaise karu main bayaan labo se, Karta tha main pyaar dil se, Kash samaj jaati pyaar ko mere, Na hona padta mujhe dur apno se. 

21)Jo bani ho Mere lye Jis ke lye mai Jee raha hoon Jo kahe Hum saath hain Tere Jise dekhne k liye Tarap raha hoon Ek aisa hi Dildaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye Ho har Waqt rahe saath mai Mere Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Jis ki ek Hansi k liye Mar jane ko Dil kare Jo kehde ek baar to Phir Jeene ko Dil kare Aisa hi Ek Humsafar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Ek baar mili thi Mujhe woh Par pata nahi kaha kho gayi Ab agar mil jaye toh use kahi jane na doon Wohi khoya Yaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye 

22)aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal guzarti nahin hai, meri koi bhi pal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal woh manzil yahaan nahin milegi jise tujhe talash hai woh manzar yahaan nahin dikhega jo tere dil ke aas paas hai milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal waise log yahaan nahin hai jinko dhund raha hai tu yahaan log waise nahin hai jinse jud raha hai tu na banegi yahaan mere sapno ka mahal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal 

23)Tu Chand Aur Main Sitara Hota, Aasmaan Mein Ek Aashiyana Humara Hota, Log Tumhe Door Se Dekhte, Nazdeeq Se Dekhne Ka Haq Bas Humara Hota.. 

24)Na jane wo kaun itna haseen hoga.. Aapke haath me jiska naseeb hoga.. Koi aapko chahe ye koi badi baat nahi.. Jisko aap chaho wo khushnaseeb hoga. 

25)Haste dilo me gham bhi hai, muskurati aankhe kabhi nam bhi hai, dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke, kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai… 

26)Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu, Tere Har Ghum Ko Dil Se Laga Lu, Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna, Mai tere Aankho Se Har Aansu Chura Lu… 

27)Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai, Kaun si khushbu mujme basa gayi ho tum, Zindgi hai kya teri chehat ke siva, Yeh keisa khawb aankho ko dikha gayi ho tum. 

28)Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Ki… Badal Gaya Zamana, Meri Zindagi To Sirf Tum Ho, Kahi Tum Na Badal Jana.. 

29)Na jane wo kaun itna haseen hoga.. Aapke haath me jiska naseeb hoga.. Koi aapko chahe ye koi badi baat nahi.. Jisko aap chaho wo khushnaseeb hoga.. 

30)Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum. Duniya Ke Ghamon Ko Bhi Jante Hain Hum. Aap Jaise Dosto Ke Hi Sahare. Aaj Bhi Has Kar Jeena Jante Hai Hum… 

31)Teri palkon pe khwab rakh gaya koi Teri saanso pe naam likh gaya koi Chalo wada raha bhool jana hame Agar humse achha yaar tumhe mil gaya koi 

32)Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain, Hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain. Teri dosti ke saaye mein zinda hain, Hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain… 

33)Tere dosti me ek nasha hai, Tabhi to yeh saari duniya hamse khafa hai, Naa karo hamse itni dosti, Ki dil hi hamse puchhe teri dhadkan kahan hai… 

34)Kon kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi, yeh afwaah zroor kissi dushman ne udaayi hogi, shaan se rahenge tumahre dil mein hum, itne dino mein kuch to jagah bnayi hogi… 

35)Jo dil ke karib hi nahi saanso me base ho, Dost sache agar sath ho to roya nahi karte. Jo ho jeene ki wajah vo har pal yaad aate hai, Gum me bhi sukun de ese doston ko khoya nahi karte… 

36)Kashish dil ki har cheez bhula deti hai, Band aakhon mein bhi sapne saja deti hai, Sapno ki duniya jarur rakhna dost, Kyun ki hakikat to aksar logo ko rula deti hai…
Share And Comment on this


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.