Thursday, 17 January 2013

Dil ka dard

1)Kuch Log Jo Aankhon Mein Rhe Dil Mein Rhenge Ab, Bas Jagaah Bdal Rhee Hai Koi Duri Nhi Hai, Hum Aap Sey Mil Naa Sake Jab Dil Chahey Milna, Faaslon K Bad Bhi Aisi Mazburi Nhi Hai

 2)Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai, Kaun si khushbu mujme basa gayi ho tum, Zindgi hai kya teri chehat ke siva, Yeh keisa khawb aankho ko dikha gayi ho tum. 

3)Tum dil se hamein yon pukara na karo, Yon tum hamein ishara na karo, Door hain tumse ye majburi hai hamari, Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo… 

4)Pyar Ghajal Hai GunGunane Ke Liye, Pyar Nagma Hai Sunane Ke Liye, Ye Vo Zajba Hai Jo Sabko Nahi Milta, Kyoki Haunsla Chahiye Pyar Ko Nibhane Ke Liye… 







5)Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain…. Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain… Dil tho dene se ghabraathe hain… Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain…. 

6)Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, Beshak apni manzil tk jana h, Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki 

7)Tu jaane na ki kaun hai tu, phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu, honge gulshan me gul hazaar, in gulo ka gulaab hai tu, Tu na jane ki kaun hai tu, sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu, Hoti hai jab amaawas ki raat to, Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu, Tu na jane kaun hai tu udasi bhare chero ki mushkan hai tu hote hai jb gam k badal asman me th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu….. Tu Jaane na ki kaun hai tu, Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu, aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat, hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu, Tu jaane na ki kaun hai tu, Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu, Tanhai me jab band hoti hai palke meri, bahte huye ashko ka sailaab hai tu, Tu na jaane ki kaun hai tu mahakati hui garm saanso ka guman hai tu, Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar, Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu, yu to suni hai sangeet bahut maine, sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu, Tu Jane na ki kaun hai tu, Me na jaanu ki kaun hai tu, Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah, k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu, Tu na jaane kaun hai tu, chandni raat ke jazbaad hai tu, Hai dhero rang is jahana me magar, Hatho me lagi Mehndi ka rang hai tu Tu jane na kaun hai tu, khwabo me jo aaye,wo tajmahal hai tu, Likhe to rait pe lakho haseen naam maine, mera dil jo dhadkaye,wahi naam hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, savere ki pahli kiran ka naam hai tu, chah-chahati hai jab chidiya ujale me, us madhur awaz ka ahsaas hai tu, 

8)Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya Sari Duniya Roti hai Chup kar Me jo thoda Ro liya to Bat Kya Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki Maine thoda Soch liya to Bat Kya Roshni ki Chah to sab ko hai Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya Zindagi k is Haseen Khwab me Maine Use mang liya to Bat Kya Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya 

9)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein Pyar Apna Basane Ka Waada Karo Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo… 

10)Unko karib lane k chaah main, Sabse dur hote gaye, Wo karib na aaye, Sab dur chale gaye. Paas jaane k chaah main, unke Sabse dur ho gaye, Sabse anzaan bante gaye, Wo hume anzaan kahe gaye. Har khusi unki dekhne k liye, Har waqt dur rahe unke nazroon se hum. Jaan na paa-e wo hume, Bhul gayi hume, do pal kya jo dur ho gaye hum. Kitni kosisho k baad manaya, Milne ko khudse, Uss Milan main bhi bechadna tha, Unko mujse. Hum tho bas unhe kuch kehana chahate, Per wo humse kuch sunna na chahate, Khwaab main tho der raat baate kar leta, Saamne unke main kuch bool na pata. Kaise karu main bayaan labo se, Karta tha main pyaar dil se, Kash samaj jaati pyaar ko mere, Na hona padta mujhe dur apno se. 

11)Jo bani ho Mere lye Jis ke lye mai Jee raha hoon Jo kahe Hum saath hain Tere Jise dekhne k liye Tarap raha hoon Ek aisa hi Dildaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye Ho har Waqt rahe saath mai Mere Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Jis ki ek Hansi k liye Mar jane ko Dil kare Jo kehde ek baar to Phir Jeene ko Dil kare Aisa hi Ek Humsafar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Ek baar mili thi Mujhe woh Par pata nahi kaha kho gayi Ab agar mil jaye toh use kahi jane na doon Wohi khoya Yaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye 

12)Aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal guzarti nahin hai, meri koi bhi pal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal woh manzil yahaan nahin milegi jise tujhe talash hai woh manzar yahaan nahin dikhega jo tere dil ke aas paas hai milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal waise log yahaan nahin hai jinko dhund raha hai tu yahaan log waise nahin hai jinse jud raha hai tu na banegi yahaan mere sapno ka mahal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal 

13)Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta, Marne wale ke saath har koi nahi marta, Are Marne ki baat to door rahi, Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta… 

14)Humare aansu wo jaan na sake, Mohobbat ki kahani wo maan na sake, Kaha tha unhone marne k baad b yaad karenge, Jeete jee to wo yaad kar na sake. 

15)In phoolo me ab to mehek hi nahi hai, In raaho ki ab koi manzil hi nahi hai, Kar leta mai mom agar koi patthar dil hota to, Par yaha to kisi me insani dil hi nahi hai… 

16)Zindgi se apna har dard chupa lena, Khushi na sahi gam gale laga lena, Koi agar kahe mohabbat aasan hai, To use mera toota hua dil dikha dena… 

17)Ajeeb Tarah Se Socha Tha Zindgi Ke Liye, Jeena Marna Tha Sirf Usi Ke Liye, Wo Mujhko Tanha Chod Gyi To Yaqeen Aaya, Ki Koi Bhi Nahi Marta Kisi Ke Liye… 

18)Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam, Teri Yaad Sath Hoti Hai Humdum, Socha Is Mausam Me Tujhe Yaad Nahi Karenge, Par Fir Socha Ki Hum Baarish Ko Kaise Rok Payenge 

19)Pyar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai, Zindgi Dard Badhane Ke Liye Hai, Kash Koi To Padh Pata Meri Udasi Ko, Ye Hansta Hua Chehra To Sirf Dikhane Ke Liye Hai. 

20)Hum Agar Aapse Mil Nahi Paate Aisa Nahi Hai Ki Aap Hamein Yaad Nahi Aate Maana Jahan Ke Sab Rishte Nibhaye Nahi Jaate Lekin Jo Dil Me Bas Jaate Hain Unhe Bhulaya Nahi Jaata… 

21)Dil ke dard ko dil torne wale kya jana, Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane, Hoti hai kitni taklif kabar ke niche, Yeh upar se phool charane wale kya jane… 

22)Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki, Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki, Apna dard kise dikhau aye dost, Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki… 

23)Yaad karte hai tumhe tanhai me, Dil duba hai gamo ki gehrai me, Hume mat dhundna duniya ki bhid me, Hum milenge tumhe tumhari hi parchai me 

24)Dil ki khwahish ko naam kya dun, pyar ka use paigam kya dun. Is dil me dard nahi yaaden hai uski, ab yaaden hi mujhe dard de to use ilzam kya dun 

25)Kaas Yeh Sapna Bhi Pura Ho Jaye Hum Bhi Kisike Sapno Me Aa Jaye Ho Hamara Bhi Jikra Unke Labo Par Hum Bhi Unke Dil Me Bas Jaye… 

26)Tanha Rehna To Sikh Liya Humne, Per Khush Na Kabhi Reh Payenge Teri Duri To Pir Bhi Seh Leta Hai Ye Dil Per Teri Mohabbat Ke Bin Na Jee Payenge
Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.