Thursday, 24 January 2013

Ek Bahana tumse milne ka

1)Hasna aur Hasana Koshish ha Meri, Har koi Khush rahe ye Chahat hai Meri, Bhale hi Koi Mujhe Yad kre ya na kre, Hr Apne ko Yad krna Aadat he Meri… 

2)Pal bhar mein tut jaye woh Kasam nahi, Apko bhul jaye woh Hum nahi, Tum hume bhul jao is baat me dum nahi, kyonki Tum hume bhul jao itne bhi bure hum nahi 

3)Missed call to ek bahana hai Irada to aapka ek lamha churana he Aap chahe humse baat karo ya na karo Aap ki yadon mein humara ana jana hai 








4)Phoolo se khushboo churayi nahi jati, Suraj se roshni chhipayi nahi jati, Kitni bhi door kyo na ho tum, Dosti me aap jaisi dost ki dosti bhulayi nahi jati. .. 

5)Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta, Marne wale ke saath har koi nahi marta, Are Marne ki baat to door rahi, Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta 

6)Humare aansu wo jaan na sake, Mohobbat ki kahani wo maan na sake, Kaha tha unhone marne k baad b yaad karenge, Jeete jee to wo yaad kar na sake 

7)In phoolo me ab to mehek hi nahi hai, In raaho ki ab koi manzil hi nahi hai, Kar leta mai mom agar koi patthar dil hota to, Par yaha to kisi me insani dil hi nahi hai 

8)Zindgi se apna har dard chupa lena, Khushi na sahi gam gale laga lena, Koi agar kahe mohabbat aasan hai, To use mera toota hua dil dikha dena 

9)Ajeeb Tarah Se Socha Tha Zindgi Ke Liye, Jeena Marna Tha Sirf Usi Ke Liye, Wo Mujhko Tanha Chod Gyi To Yaqeen Aaya, Ki Koi Bhi Nahi Marta Kisi Ke Liye… 

10)Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam, Teri Yaad Sath Hoti Hai Humdum, Socha Is Mausam Me Tujhe Yaad Nahi Karenge, Par Fir Socha Ki Hum Baarish Ko Kaise Rok Payenge… 

11)Pyar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai, Zindgi Dard Badhane Ke Liye Hai, Kash Koi To Padh Pata Meri Udasi Ko, Ye Hansta Hua Chehra To Sirf Dikhane Ke Liye Hai. 

12)Khuda Ne Jab Tujhe Banaya Hoga, Ek Suroor Sa Uske Dil Mai Aaya Hoga, Socha Hoga Kya Dunga Tohfe Mai Tujhe, Tab Jake Usne Mujhe Banaya Hoga… Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi, Aap Hume Bhool Jao Hume Koi Gum Nahi, Jis Din Humne Aapko Bhuladiya, Samajh Lijiyega, is duniya me hum nahi… Na Jagte Huve Khwab Dekha Karo, Na Chaho Use Jise Pa Na Sako, Pyaar Kaha Kisika Pura Hota Hai, Pyaar Ka Pehla Akshar Adhura Hota Hai 

13)Bas ab ek haan ke intezaar me raat yunhi guzar jaayegi, ab toh bas uljhan hai saath mere neend kahan aayegi, Subah ki kiran na jaane konsa sandesh laayegi, rimjhim is gungunayegi ya pyaas adhuri reh jaayegi… 

14)Zareee Zarree Mein Usi Ka Noor Hai Jhak Khud Mein Woh Na Tujhse Door Hai Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar Ishq Hai Usse To Sab Se Ishq Kar Is Ibadat Ka Yehi Dastoor Hai Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi Is Mein Us Mein Aur Us Mein Hai Wohi Yaar Mera H Ar Taraf Bharpur Hai .. Movie Name : Delhi 6 Singer :Amitabh Bachchan Lyrics:Prasoon Joshi Music Director :Rahman AR Actors : Abhishek Bachchan, Om Puri, Sonam Kapoor Director : Rakesh Omprakash Mehra Producer :Ronnie Screwvala 

15)Pani Se Pyaas Na Bujhi Toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla… 

16)Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai… jab aata hai tera naam mere naam ke saath.. naa jano kyon log hamare naam se jalte hai 

17)Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai? Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai? Paheli barish me train late hone ki fikr hai Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai? Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum hai par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai? Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi? 108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi? Internet ki duniya ke to touch me hai, lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi. Mobile, Landline sab ki bharmaar hai, Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai? Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai? Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai? To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai? 

18)Pyar ne ye kaisa tohfa de diya, Mujhko gumo ne pathar bana diya. Teri yaadon main hi kat gayi ye umar, Kehta raha tujhe kab ka bhula diya…

19)Arz Hai.. Kapde Silvane Ho To Dhund Lo Darji.. Wah Wah.. Ershad-Ershad.. Ki Kapde Silvane Ho To Dhund Lo Darji.. aur Nangu pungu Ghumna Ho To, Aapki Marji! 

20)Phone ke rishte bhi ajib hote hai. Balance rakhkar bhi log garib hote hai Khud to msg karte nahi hai, Muft ke msg padhne ke kitne shauqin hote hai. 

21)Aapko humse kabhi khone nahi denge, aapko mujh se alag hone nahi denge, kabhi sms bhi kar dia kro warna, aankh mein mirchi dal denge aur dhone bhi nahi denge. 

22)ndia ki reet-ladki agar apni marzi se patjaye to pyar, agar dost pata de to uphar, agar gharwale le aaye to sanskar, aur agar khud pata kar ghar leaao to hahakar. 

23)Bhaiyo aur Only Bhaiyo, Nind Nahi Aati Mujhe Tab Se, . . . . . Mujhe Nind Nahi Aati Tab Se, 

24)Har barish mein yahi dua hai hamari ki Barish ke jitne qatre zamin par gire, Utni baar aap slip ho ke gire, 

25)Na jane wo hmse kya chhupati thi, Kuch tha uske hotho pe, Mgar na jane kyu shrmati thi, jab muh khulwaya to pta chala, Saali kutti R.M.D. Khati thi. 

26)Aapke jaisa dost khone nahi denge, apko humse alag hone nahi denge, Roz sms kiya kro warna Aakhon mein mirchi dal denge aur dhone bhi nahi denge.
Share And Comment on this


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.