Tuesday 24 July 2012

Nilima's pic


1) Knowing a Friend like you has made me Happy in a million
    ways, and if ever i have To let you go, I would find a million
    Reasons , To make you STAY !!

 2)My dear let us re-concile,all our errors and total the trial balance
    of our affairs arithmetically without maintaining any suspense
    account :)

3)i was on a ship n thinking of u. i lucked down ndropped one of
   my tear in2 the ocean. thn i prommised myself"until i find it i
   won't forget U 

4)Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi, Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi, Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi, Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi, Par tere naam pe talwar uthai kis ne, Baat joh bigdi huyi thi woh banaayi kis ne? The hameen ek tere maarka aaraaon mein! Khushkion mein kabhi ladte, kabhi dariyaon mein 

5)Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein, Kabhi Africa ke tapte huye sahraaon mein. Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke liye, Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke liye? Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti, But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti? 

6)aqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne, Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne. Tu hi kah de ke ukhada dar-e-Khyber kis ne, Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne? Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne? Kaat kar rakh diye kaffaar ke lashkar kis ne? 

7)Aa gaya ain ladaai mein agar waqt-e-namaz, Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hejaz, Ek hi saf mein khade ho gaye mahmud-o-Ayaz, No koi banda raha aur no koi banda nawaz. Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek huye, Teri sarkar mein pahunche toh sabhi ek huye.


Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.