Monday 16 July 2012

Sunaina's pic


1) Knowing a Friend like you has made me Happy in a million
    ways, and if ever i have To let you go, I would find a million
    Reasons , To make you STAY !!

 2)My dear let us re-concile,all our errors and total the trial balance
    of our affairs arithmetically without maintaining any suspense
    account :)

3)i was on a ship n thinking of u. i lucked down ndropped one of
   my tear in2 the ocean. thn i prommised myself"until i find it i
   won't forget U 

4)eri mehfil bhi gayi, chahne wale bhi gaye, Shab ki aahen bhi gayi, subah ke nale bhi gaye, Dil tujhe de bhi gaye, apna sila le bhi gaye, Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye. 

5)Aaye ushaaq, gaye waada-e-farda lekar, Ab unhen dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar! Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi, Nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi, Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi, Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi, 

6)Phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani, Apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya maani? Ishq ki khair, woh pehli si ada bhi na sahi, Jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi, Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai, Baat kahne ki nahin, tu bhi toh harjaai hai. 

7)Ahd-e-gul khatam hua, toot gaya saaz-e-chaman, Ud gaye dalion se zamzama pardaaz-e-chaman. Ek bulbul hai ke hai mahw-e-tarannum ab tak, Us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak. Qumrian shaakh-e-sanober se gurezaan bhi hui, Pattian phool ki jhad jhad ke pareshan bhi hui; 

8)Qaid-e-mausim se tabiyat rahi aazad uski, Kaash gulshan mein samjhta koi faryaad uski Chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon, Jaagne wale isi baang-e-dara se dil hon. Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon, Phir isi bada-e-deereena ke pyaase dil hon. Ajmi khum hai toh kya, ma'y toh Hejaazi hai meri, Naghma Hindi hai toh kya, la'y toh Hejaazi hai meri. Hai bajaa shaiwa-e-taslim meiN mashhoor haiN ham Qissa-e-dard sunate haiN ke majboor haiN ham Saaz-e-khamosh haiN, faryad se maamoor haiN ham Naala aata hai agar lab pe, to maazoor haiN ham

Share And Comment on this

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.