Monday 11 March 2013

Me and u for us

1)Maine usse ek ishara kiya Usne salaam likh ke bheja.Maine pucha tumhara naam kya hai? Usne chand likh ke bheja. Maine pucha tumhe kya chahiye? Usne saara aasmaan likh ke bheja. Maine pucha kab miloge? Usne qyamat ki sham likh ke bheja. Maine pucha kis se darte ho? Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja. Maine pucha tumhe nafrat kis se hai? Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa 

2)Badnaam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte Dil Wale Toh Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte Tanhiye Me Karte Hain Yaad Aanso Bahakar Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte Waqt Aane Pe Yeh Maloom Hojayega Tumhe Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte 

3)Apno se juda kar deti hai, Aakhon mein paani bhar deti hai, Kitni shikayat hai zindgi se. Phir bhi iska aitbaar hai, Phir bhi iska intzaar hai, Humko mohabbat hai zindgi se. Kabhi khushiyon ka mela lagta hai, Kabhi har koi akela lagta hai. Kabhi humpe karam pharmati hai, Kabhi humse nazar churati hai. Palkon se isko chakhte hain, Isey pass hi apne rakhte hain, Itni nazakat hai zindgi se, Humko mohabbat hai zindgi se. Humko adaayein dikhati hai ye, Jeena bhi humko sikhati hai ye. Kabhi paas hai to kabhi door hai, Ye zindgi bhi badi mashhoor hai. Kabhi karti hai aankh micholi, kabhi sajaye sapno ki doli, Itni shararat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se. Door ye ho to ghum hota hai, Pass ho to iska karam hota hai. Khud apni marzi se chalti hai, Suraj ki tarah se ye dhalti hai. Isey jab bhi hum dekhte hain, Mann hi mann ye sochte hain, Kitni hifazat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se. Aansu bhi ho to pee lete hain, Pal do pal khushi se jee lete hain. Har pal humko nahi hai roka, Thoda humko bhi deti mouka. Zindgi gujar jaaye taqraar mein, Chahe gujar jaaye ye pyaar mein, Itni izazat hai zindgi se. Humko mohabbat hai zindgi se. 

4)Dil Tod Ke Tukde Kar Diye Ussne Pal Bhar Bhi Iss Dil Ko Sambhalne Naa Diya Ussne Aanaa Hai Uss Me Bohut Yeh Batana Usse Woh Ab Mile Toh Haal-e-Dil Matt Sunana Usse Akele Kis Se Utha Hai Taluqaat Ka Bojh Woh Tumko Naa Yaad Rakhe Bhool Jana Usse Kabhi Mujhko Sath leke Kabhi Mere Sath Chalke Woh Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badalke Hue Jispe Tum Meharban Woh Khushnaseeb Hogi Meri Hasratein Toh Nikli Meri Aansoun Me Dhalke… 

5)Tu jaane na ki kaun hai tu, phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu, honge gulshan me gul hazaar, in gulo ka gulaab hai tu, Tu na jane ki kaun hai tu, sangeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu, Hoti hai jab amaawas ki raat to, Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu, Tu na jane kaun hai tu udasi bhare chero ki mushkan hai tu hote hai jb gam k badal asman me th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu….. Tu Jaane na ki kaun hai tu, Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu, aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat, hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu, Tu jaane na ki kaun hai tu, Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu, Tanhai me jab band hoti hai palke meri, bahte huye ashko ka sailaab hai tu, Tu na jaane ki kaun hai tu mahakati hui garm saanso ka guman hai tu, Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar, Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu, yu to suni hai sangeet bahut maine, sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu, Tu Jane na ki kaun hai tu, Me na jaanu ki kaun hai tu, Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah, k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu, Tu na jaane kaun hai tu, chandni raat ke jazbaad hai tu, Hai dhero rang is jahana me magar, Hatho me lagi Mehndi ka rang hai tu Tu jane na kaun hai tu, khwabo me jo aaye,wo tajmahal hai tu, Likhe to rait pe lakho haseen naam maine, mera dil jo dhadkaye,wahi naam hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, savere ki pahli kiran ka naam hai tu, chah-chahati hai jab chidiya ujale me, us madhur awaz ka ahsaas hai tu, 

6)Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya Sari Duniya Roti hai Chup kar Me jo thoda Ro liya to Bat Kya Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki Maine thoda Soch liya to Bat Kya Roshni ki Chah to sab ko hai Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya Zindagi k is Haseen Khwab me Maine Use mang liya to Bat Kya Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya 

7)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein Pyar Apna Basane Ka Waada Karo Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo 

8)Unko karib lane k chaah main, Sabse dur hote gaye, Wo karib na aaye, Sab dur chale gaye. Paas jaane k chaah main, unke Sabse dur ho gaye, Sabse anzaan bante gaye, Wo hume anzaan kahe gaye. Har khusi unki dekhne k liye, Har waqt dur rahe unke nazroon se hum. Jaan na paa-e wo hume, Bhul gayi hume, do pal kya jo dur ho gaye hum. Kitni kosisho k baad manaya, Milne ko khudse, Uss Milan main bhi bechadna tha, Unko mujse. Hum tho bas unhe kuch kehana chahate, Per wo humse kuch sunna na chahate, Khwaab main tho der raat baate kar leta, Saamne unke main kuch bool na pata. Kaise karu main bayaan labo se, Karta tha main pyaar dil se, Kash samaj jaati pyaar ko mere, Na hona padta mujhe dur apno se. 

9)Jo bani ho Mere lye Jis ke lye mai Jee raha hoon Jo kahe Hum saath hain Tere Jise dekhne k liye Tarap raha hoon Ek aisa hi Dildaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye Ho har Waqt rahe saath mai Mere Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Jis ki ek Hansi k liye Mar jane ko Dil kare Jo kehde ek baar to Phir Jeene ko Dil kare Aisa hi Ek Humsafar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Ek baar mili thi Mujhe woh Par pata nahi kaha kho gayi Ab agar mil jaye toh use kahi jane na doon Wohi khoya Yaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye 

10)aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal guzarti nahin hai, meri koi bhi pal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal woh manzil yahaan nahin milegi jise tujhe talash hai woh manzar yahaan nahin dikhega jo tere dil ke aas paas hai milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal waise log yahaan nahin hai jinko dhund raha hai tu yahaan log waise nahin hai jinse jud raha hai tu na banegi yahaan mere sapno ka mahal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
Share And Comment on this


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.