Monday 25 March 2013

You are sweet

1)I looked at a sweet, beautiful rose, and then I looked at you, and I kept looking at you, for the rose isn't as beautiful as you 

2)Adam and Eve did it, Anthony and Cleopatra pracised it, Romeo and Juliet died for it, King Solomon sinned for it, so what would you do for love 






 3)Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya Umar meri thi magar,isko basar iss ne kiya Main bohut kamzor tha iss mulq main hijrat kay baad Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar iss ne kiya Rehbar mera bana gumraah karne kay liye Mujhko seedhey raste se 

darbadar iss ne kiya Shehar mein woh moatbir meri gawahi se huwa Phir mujhe iss shehar main na’moatbir iss ne kiya Shehar ko barbaad kar kay rakh diya iss ne ‘Munir’ Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya 

4)Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se Bin Bulaaye Nikal Pade Ghar Se Ek Tou Kuch Dasht Yaad Aatay Hain Aur Wo Abar Jo Bohat Barsay Koi Qaabil Nahi Bharosay Ke Koi Mehfooz Hee Nahi Shar 

Se Loog Tarsay Hain Paanion Ke Lye Ham Magar Teri Pyaas Ko Tarsay Aap Ko Yaad Hai Ke Hum Ek Din ? Lout Aaye Thay Aap Ke Dar Se 

5)Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni Laho Ki Mouj May Aks-e-

Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona Mager Tashna Labi Ki Zid Ser – e – Saahil Tehar Jaaye Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye Kahin To Saans Lay 

Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yiii Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye Kahaa K 

QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye 6)6)Hum Khushbu Kay Sodagar Hain Hum Soda Sacha Kartay Hain Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka Tum Bhala Hal Kya Janoo Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain. 

7)Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya Ye Payar Nahi Aasaan Bohat Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat Jab bikhar gaye tab ye jaana Aaty hainn yahan toofan Bohat Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat kash wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat.. 

8)Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi! Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon! Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul! Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon! Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani! Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon! Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki! Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!" 

9)Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya Ab Hum Ne Rona Chor Diya Jub Rona Nahin To Hasna Kiya Ab Hasna Hasana Chor Diya Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya Tum Rootha Karte Thay Hum Se Ab Hum Ne Manaana Chor Diya Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya 

10)Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,- Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili, Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay, Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili, Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey, Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili, Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien, Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili, Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila, koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili. 

11)Death be not proud, though some have called thee Mighty and dreadful, for thou art not so; For those whom thou think'st thou dost overthrow Die not, poor death, nor yet canst thou kill me. From rest and sleep, which but thy pictures be, Much pleasure, then from thee much more must flow, And soonest our best men with thee do go, Rest of their bones, and souls' delivery. Thou art slave to fate, chance, kings, and desperate men, And dost with poison, war, and sickness dwell, And poppy, or charms can make us sleep as well, And better than thy stroke; why swell'st thou then? One short sleep past, we wake eternally, And death shall be no more; death, thou shalt die. 

12) We pray for one last landing On the globe that gave us birth; Let us rest our eyes on fleecy skies And the cool green hills of Earth.


Share And Comment on this



No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.