Saturday 2 March 2013

Mohobat hai

1)Zindagi se sabhi ko mohabat hai, Par Zindagi kisi ki mohabat nahi banti, Tamanna le kar jeete hai sab log, Magar har tamanna Taqdeer nahi banti 

2)If there was a shop of happiness And If I knew about it I would buy every happiness for you Even if my life be the price of it..! Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti Aur mujhe uski pehchaan hoti Khareed leta har khushi aapke liye Chahe uski keemat meri jaan bhi hoti 

3)KASH TUM VO HOTE JO HAR PAL HME YAAD KARTE REHETA AOR HME HAR PAL HICHKIYA AATI REHETI TERI PUKAR SE 

4)VO PAL HME HAMESHA YAAD REHETE HAI PYAR BHARE JABSE TUM HME ZINDGI BHAR K LIYE MIL GYE TTHE 


5)Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo, Log Har Baat Ka Afsaana 
Banaa Lete Hain Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo, 

Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo, Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin” Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo. 

6)Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!! Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha..!! Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal..!! Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha ..!! Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya..!! 

Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!! Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi ..!! Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha..!! Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!! Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha..!! 

7)Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar, Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar, Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de, Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar, Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz 

uchaal de, Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar, Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye, Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar 

8)Unhe chahana hamari kamzori hai, Unse keh nahi pana hamari majburi hai, Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko, Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai 

9)Mohabbat har insaan ko azmaati hai Kisi se rooth jaati hai aur kisi par muskurati hai Mohabbat khel hi aisa hai Kisi ka kuch nahi jaata aur kisi ki jaan chali jaati hai 

10)Na thi jisko mere pyaar ki kadar Ittefaaq se usi ko chah raha tha main Usi diye ne jalaya mere hathon ko Jisko hawa se bacha raha tha main… 

11)Hasna aur Hasana Koshish ha Meri, Har koi Khush rahe ye Chahat hai Meri, Bhale hi Koi Mujhe Yad kre ya na kre, Hr Apne ko Yad krna Aadat he Meri 

12)Dard ko na dekhiye dard se Dard ko bhi dard hota hai Dard ko bhi zaroorat hai pyar ki Aakhir pyar mein dard hee toh hamdard hota hai 

13)Apni mohabat ka izhar karne wala hun, chitthi nahi taar karne wala hun, koi haseena to ab ghas dalti hi nahi, isi liye ek budiya se ishq karne wala hun 

14)Hamein yun hi apni saanson me basa kar rakhna, apne dil k ek kone me basa k rakhna. Pyaar karo na karo hamse aap tut kar, bas apne hothon me mera naam yun hi saza kar rakhna… 15)Pani Se Pyaas Na Bujhi Toh Maikhane Ki taraf Chal Nikla Socha Shikayat Karun Teri Khudha Se Par Khudha bhi Tera Ashiq Nikla… 

16)Garmiye hasrat ke nakam se jalte hai hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai… jab aata hai tera naam mere naam ke saath.. naa jano kyon log hamare naam se jalte hai 

17)Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai? Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai? Paheli barish me train late hone ki fikr hai Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai? Serails ke kirdaaro ka 

saara haal hai malum hai par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai? Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi? 108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi? Internet ki duniya ke to touch me hai, lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi. Mobile, Landline sab ki 

bharmaar hai, Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai? Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai? Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai? To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai? 

18)Pyar ne ye kaisa tohfa de diya, Mujhko gumo ne pathar bana diya. Teri yaadon main hi kat gayi ye umar, Kehta raha tujhe kab ka bhula diya…

19)Arz Hai.. Kapde Silvane Ho To Dhund Lo Darji.. Wah Wah.. Ershad-Ershad.. Ki Kapde Silvane Ho To Dhund Lo Darji.. aur Nangu pungu Ghumna Ho To, Aapki Marji! 

20)Phone ke rishte bhi ajib hote hai. Balance rakhkar bhi log garib hote hai Khud to msg karte nahi hai, Muft ke msg padhne ke kitne shauqin hote hai. 

21)Aapko humse kabhi khone nahi denge, aapko mujh se alag hone nahi denge, kabhi sms bhi kar dia kro warna, aankh mein mirchi dal denge aur dhone bhi nahi denge. 

22)ndia ki reet-ladki agar apni marzi se patjaye to pyar, agar dost pata de to uphar, agar gharwale le aaye to sanskar, aur agar khud pata kar ghar leaao to hahakar. 

23)Bhaiyo aur Only Bhaiyo, Nind Nahi Aati Mujhe Tab Se, . . . . . Mujhe Nind Nahi Aati Tab Se, 

24)Har barish mein yahi dua hai hamari ki Barish ke jitne qatre zamin par gire, Utni baar aap slip ho ke gire, 

25)Na jane wo hmse kya chhupati thi, Kuch tha uske hotho pe, Mgar na jane kyu shrmati thi, jab muh khulwaya to pta chala, Saali kutti R.M.D. Khati thi. 

26)Aapke jaisa dost khone nahi denge, apko humse alag hone nahi denge, Roz sms kiya kro warna Aakhon mein mirchi dal denge aur dhone bhi nahi denge.

Share And Comment on this





No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.