Monday 25 March 2013

Not Hate only Love

1)Is Duniya mai kabhi kisi ko alvida mat kehena pta nahi kaha or kab phir se raaste ek ho jate hain 

2)2-4 din ki ye zindgani hai jo pal mai beet jayegi bas pya karo to manzil tumhe sitaro tak le jayegi 

3)Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan, Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar, Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi, Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar, Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai, Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar.. 

4)Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to, Kese kese phool khile hain dekho to, Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein, Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to, Hanste gaatey logon ki is dunya mein, Hum kyon itne chup rehte hain socho to, In chahat ki tarsi pyassi ankhon mein, Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to, Janaan in dunya walon ki nazaron se, Door kahin le jaaon tum ko aao to, Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye, Tum bhi raah badal sakte ho chaho to, Deewana sab log samajhne lagte hain, Arshad bass khamosh raho ghar aao to.. 

5)Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha Har Simt Usi Ka Tazkara Tha Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha 

6)Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha 7)Yuhi aankhon se ansu bahte nahi, Kisi aur ko hum apna kahte nahi, Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein, Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi 

8)Teri duniya ka yeh dastoor bhi ajeeb hai Khudaya, Muhabbat un ko milti hai jinhen karni nahi aati.. 

9)Shikaayet to nahin hai lekin itna poochta hoon main, Woh aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaye 

10)Karley sitam chahey jitne zamaana, sehna hai, Hum ne har haal mein jeeney ki kasam khayi hai. 

11)Mitt chaley meri umeedon ki tarah harf magar, Aaj tak tere khato’n se teri khushbuu na gayi 

12)Hawaa se lipti hui siskiyon se lagta hai, Meri kahani kissi aur ne bhi dohraayi.. 

13)Woh aik akss ke pal bhar nazar main thehra tha, Tamaam umar ka silsilaa hai ab mere liye. 

14)Nahin mere liye kya aur koi, Usi ka rasta kyon dekhta hoon.. 

15)Mujhe yaqeen hai mohabbat issi ko kehte hain, Ke zakham taaza rahe aur nishaan chala jaye.. 

16)Har Majburi se ladna sikhlo Har gum ke sath jina sikhlo Busy hum bhi kam nahi par Hamari tarah DOSTO Ko yaad krna sikhlo 

17)Na Milne Ki Khushi, Na Judaai Ka Gum, Na Udaas Na Tanha Hai Hum, Kaise Kahe Kaise Hai Hum, Bas Itna Samajh Lijiye Aapke Bina Akele Hai Hum.. 

18)Aapko miss karna.. roz ki baat hai. Yaad karna.. aadat ki baat hai. Aap se duur rehna.. kismat ki baat hai. Magar aap ko jhelna.. himmat ki baat hai. 

19)Zindagi to sabhi ke lia wahi hai Fark hai to bas itna sa hai “Koi dil se jee raha hai” aur koi “koi dil rakhne ke lia jee raha hai”


Share And Comment on this



No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.