Saturday 30 March 2013

Yaadein Hain Tumhari

1)Yaadien aksar hoti hain satane ke liye, Koi rooth jaata hai phir maan jaane ke liye, Rishte nibhana koi muskil to nahi, Bas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye… 

2)Tanhaiyon me muskurana ishq hai, Ek baat ko sab se chupana ishq hai, Yun to neend nahi aati hamein raat bhar, Magar sote sote jagna aur jagte jagte sona ishq hai../ 

3)Zindagi ek chahat ka silsila hai, Koi mil gaya to koi bichad gaya, Jise har pal maanga maine duaon mein, Khuda se mujhe wo bina maange hi mil gaya… 

4)Tum hasti ho mujhe hasane ke liye, Tum roti ho mujhe rulane ke liye, Tum ek baar rooth ke to dekho, Agar marna bhi pade to mar jaunga tumhare liye… 

5)Pariyon se sunder hai mehbooba meri, Paakar use khud par naaz karta hun, Har hanam mein bas usi ka banna hai, Ye elaan sareaam karta hun 

6)Hasna jamara kisi ko gawara nahi hota, Har musafir zindagi ka sahara nahi hota, Milte hain bahot insaan is tanha is zindagi mein, Par har insaan tumhare jitna pyaara thodi na hota hai… 

7)Naraaz Naa Ho Humse Hum Na Reh Payenge.., Itna Bada Sadma Na Seh Payenge.., Deti Hai Gum Zindagi Pal Pal humein .., Tune Diya To Jeene Se Pehle Hi Mar Jayenge… 

8)Log puchte hain kyu surkh hain tumhari aankhein, Hans ke keh deti hoon raat ko so na saki, Laakh chahoon bhi magar ye keh na sakoon, Raat ko rone ki hasrat thi magar ro na saki 

9)Ab aansoonon ko aankhon me sajana hoga, Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga, Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum, Hamein logon ki khatir muskurana hoga.. 

10)Dil Ke Sagar Me Lehre Uthaya Na Karo, Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo, Bahot Chot Lagti Hai Mere Dil Ko, Tum Khwabo Mein Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo 

11)Pyaar Karne Ka Hunar Hamein Nahi Aata, Isliye Pyaar Ki Baazi Hum Haar Gaye, Hamari Zindagi Se UnHe Bahot Pyaar Tha, Shayad Isiliye Wo Hamein Zind hI Maar Gaye… 

12)Duniya Jise Neend Kehti Hai , Na Jaane Wo Kya Cheez Hoti Hai, Aankheon To Hum Bhi Band Karte Hain, Par Wo To Unse Milne Ki Tarkeeb Hoti Hai, Hum Neend Ke Shouqin Jyada To Nahi, Lekin Kuch Khwab Na Dekhe To Guzara Nahi Hota 

13)Kitna Dur Nikal Gye Riste Nibhate Nibate, Khud Ko Kho Diya Humne Apno Ko Pate Pate, Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me, 

14)Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta, Marne wale ke saath har koi nahi marta, Are Marne ki baat to door rahi, Yaha to zindgi hai phir b koi yaad nahi karta… 

15)Pyaar baarish ki bundho ki tarah hai, Jikso chune ki khwaish mein, Hatheliyan to gili ho jaati hain, Par haath hamesha khali hi rehti hain… 

16)Ho gayi shaam kisi ke intejar mein, Dhal gayi raat usi ke intejar mein, Fir hoga sawera usi ke intejar mein, Intejar ki aadat pad gayi hai intejar mein… 

17)Kisi Ko Apna Banane Me Der Lagti Hai, Kiya Hua Waada Nibhane Me Der Lagti Hai, Pyaar To Pal Bhar Me Ho Jaata Hai, Par Unhe Bhulane Me Saari Umar Bhi Kam Pad Jaati Hain… 

18)Badalna aata nahi humko mausmon ki tarah Har ek rut mein tera intejar karte hain Na tum samet sakogi jise qyamat tak Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain… 

19)Shayari karne ke liye kya chahiye Na koi mushaira na hi koi mehfil chahiye Sher ko sun kar jo dard mehsoos kar sake Sirf ek aisa dil chahiye 

20)Sapno Ki Duniya Ajib Lagti Hai, Jhuthi Hi Sahi Par Har Khushi Nasib To Hoti Hai, Beshak Aate Hai Sapne Kuch Pal Ke Liye, Par In Palo Me “Jannat” Kitni Karib Hoti Hai… 

21)Mohabbat ke anjaam se darr rahein hain, Nighaon main aapni khoon bhar rahein hain , appki Jaan ko le udda hai koi, Aur app yahi bethe hue sher o shayari kar rahein hain 

22)Yaadien aksar hoti hain satane ke liye, Koi rooth jaata hai phir maan jaane ke liye, Rishte nibhana koi muskil to nahi, Bas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye 

23)Tanhaiyon me muskurana ishq hai, Ek baat ko sab se chupana ishq hai, Yun to neend nahi aati hamein raat bhar, Magar sote sote jagna aur jagte jagte sona ishq hai. 

24)Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi, Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi, Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar, Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi, Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir, Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi, Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya, Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi, Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye, Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi … 

25)Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath jaane kyon log mere naam se jal jaate hain…
Share And Comment on this




No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.