Thursday, 26 December 2013

Pyara Rishta


Hi I LIKE THIS STORY ::hi am Sahir,me bahut hi saf or bold type ka the or aaj bhi hu.Me manta tha ki me kisi se pyar kar hi nahi sakta,tab tak mene hamesa pyar karne balo ka majak udadane bala tha,par pahali bar mene unhe dekha jab ek ghar ki shadi me vo aaye the.bus dekhe ja rahetha.na soch sath thi na samajh.Fir din u hi pass ho rahe the finally shadi ki vo rat jab hum fero pe vethethe.me sab ke sath majak kar raha tha,lagbhag ladke balo ko majak kar kar ke pareshan kar liya.Tabhi unhone fero bale hall me enter kiya or pass me he rajai me apni sisters ke sath beth gai.me chup ho gaya.or bar bar unki taraf dekh raha tha.Rat nikal gai,shadi ho gai or sab ghar chale gaye par man se khayal nahi gaya.Unke school ke samne hi grandfather ki hospital me duty thi,lagbhag har roj unhe baha chupke se dekhta,married sister ke yaha jane bale raste me unka ghar padta tha,to kisi na kisi bahane se lagbhag roj vaha se nilta.Lagbhag isi me one year nikal gaya.Ek din himmat kar ke mene ek letter likha or decide kiya ki aaj deke hi dum lunga.school ke samne hospital ke gate pe pahuch gaya bo samne se nikal gaye par me or mera khat piche rah gaya.2007 se suru hui ye story u hi band dibbe me padi rahi 2008 me me study ke liya vahar aa gaya. professional degree me aaya tha.kuch ladkiyo ke option pass se nikle par dil me jagah kahli hi nahi thi.pyar ke do shabdo ke sang bus ye hi hope liye chal raha tha ki vo bus jese mere liye bane he.3salo tak same conditions me,same feeling man me liye ghum raha tha.ek din bajar se nikal raha tha kuch gulabi chudiya dikhi man me ek image bani ki gulabi chudiya unke hath me he.bus vo mene kharid li or ek silver ring bi kharidi,ye soch ke ki jis din mera din hoga me ye dunga.par himmat nahi ban pa rahi thi yaro.vo din aa gaya jab hamare pas apne dil ki bat kahne ka din tha.Relation me ek shadi thi or sari raj me vaha apne jiju ke sath bha tha.or man me socha ki vo vaha rukengi par kismat bi kuch or chahti thi.par mere sath unke chote bhai puri rat sath ruke.hum bat karte rahe. Dosto kuch boring lag raha hoga abi tak par aage sono hamare ulte kam jo hamne kiye,kuki hum jo thare anadi.unke bhai ne pucha ki koi girl friend banai he pandy g(hamari health sahi hone ki vajah se vo hame pandayg kahte he).Hamne kaha nahi,or bat tal gaye.Thode din bad hamne apne ek dost ko sab kuch bataya, usne kaha ki fatafat bata de,agar koi or hua unki life me to kya karega.hamne kaha ho hi nahi sakta 4 salo tak intjar kiya he to Bhagban hamari laj rakhega.Bus usi din soch liya ki ab to pariksha ki ghadi he or bolna he.unke bhai se sms se bat nayi nayi hone lagi thi,hum aksar late night tak bat karte,kuki vo rat ko kasarat karta tha.Bus ek din hamne unke Bhai se pucha ki kya uski koe girlfriend he to bola nahi.usne hamse b yahi dobara puch so mene kaha ha he to sahi to bo bola apne dost se chipaya,to mene kaha ki yar bus 4sal se ummed me ji raha hu par dil ki bat kah nahipaya.to usne pucha nam kya he.mene kha ki me ku batau.Usne kaha ke agar hum kisi kam aa jaye to kah ke dekh lena.hum sacche pyar ki vese bi bahut izzat karte he.uski is bat se thodi himmat badi.Thode din uske exam ki bajah se bat ni ho payi.Badi muskil se din nikle.15-20din bad uske ekdum se sms aaya,”kese ho pandayg”.me usko pucha kaha tha yar phone band ku tha to bola papa ne exam ki vajah se fon le liya tha.kher bat aage badi,usne pucha ki apne pyar ke nam ke pahla akshar to bata do.Mene badi muskil se hamare pyar ke nam ke shabd “N” and “R” usko sms kar diye.vo ekdum se bola ye to hamari didi ke nam ke pahle akshar he.Mene kaha pagal ho kya yar,koi or he,to vo man gaya,par saq uske dimag se nahi gaya,ek din usne kaha ki yar sach bata do me bura nahi manunga.mene us din accept kar liya.or usne kaha ki aap mujhe unke liye pasand ho par me bhai hu or aap ek bahut aache ladke ho bus isi liye accept kar raha hu,par kuch b galat andaja mat lagana.mene kaha 4 sal intzar kiya he , or jindgibhar intzar karne ki himmat rakhta hu.kahani aage badi.Bo din mera pahala din tha jab sms me usne mujhe jiju kaha,or bola ki me pyar se aapko Baji kahunga jab tak didi or aap ki shadi nahi ho jati.kuch din u hi bite.par fark itna tha ki ab hame apne pyar ki jankari milti rahati,unki aadat,choice,gussa,pyar ke tarike.unka bhai aksar hamari tarif unse karta,,to ek din unhone apne bahi se kaha ki tu jayada kisi se bat mat kiya kar or ye jayada tarif mat kiya kar,janta kya he kisi ke bare me.ye usne mujhe bataya to me thoda udas hua.Mene kaha ki yar propose kese karu to usne kaha ki me to Bhai hu isliye isme koi help nahi kar sakta,to jo karna he khud karo.mene kisi tarah se un tak apna sandesh ek din pahucha hi diya,jin ke through mene apne proposal pahuchaya,hamare pyar ne unse kaha ki aaj ke bad is bat ke bare me kabi bat matkarna.ye bat jab hame pata chali to dil tut sa gaya.par mene ye kahalbaya dobara ki bus ek bar bat kar le vo hamse par unki taraf se mana kar diya gaya.us din pahali bar me thak sa gaya ki shayad kuch nahi hoga.par fir ek aavaj aayi ki yar tu to bana hi unke liye he to har kesi.fir kosis ki.unke bhai se bat karta raha. Kk din u hi room me bister pe leta tha,unka bhai apne ghar ke dusre number se b sms karta tha. usi number se ek sms aaya ki “aap bura mat manna par hamare bich esa koi relation nahi ban sakta,par bhagban se wish karungi ki aapke liye mujh se b aachi ladki banaye”sms padte he mere hath kapne lage.me bus kya kahu,sms ka material nahi balki usko likhne bale hath ke bare me soch ke hi gaganchumbi ho gaya yaro.mene fat se sms likha “kuch mat kaho,me is sms se he kam chala lunga jindgi bhar pad ke bus ek bar call kar raha hu apni aavaj suna do’mene call kiya dosto unhone hello hollo hello bolte rahe.me sunta raha,mene call kat ke ek sms likha ki koi relation mat banao bus ye aavaj mujhe sunate raha karo puri jindgi nikal dunga jese ye 4sal yado me nikale he”.unhone kaha esa b kuch hota he kya,esa koi nahi karta or thik he me aapke 4salo ki kadar karti hu par unki kimat me nahi de sakti.mene kaha mat do,ektarfa kar lunga, promiss,vese b aapko dekhne ke bad akele rahne ki si aadat pad gai he.(ye sab sms se bate hui).fir unke sms band ho gaye,par unhe ye malum nahi tha ki unke bhai ko mere bare me sab malum tha. Ek din unka fon karib 15 din bad dobara aaya me fir hadbada gaya.me ek bar call attend nahi kar paya,sochta raha hya bat karni he.fir call aaya,mene call kat kar dobara kiya unki aavaj aayi,mene pucha kese ho to unhone kha aachi hu.Me soch nahi pa raha tha ki kis tarah se bat suru karu,to mene kaha I==”me aapke liye chudiya laya hu gulabi rang ki” she==ku I====ek silver ring b kharidi. she==ku I====ek Tika b he. she==ku. I====aap pahan ke aache dikhoge.mene aakh band kar ke dekha he aapko pahne hue. She==4sal tak koi or ladki nahi aayi life me. I====aayi par aap ne nahi aane diya pas. She==or kitna intzar karoge. I=====jab tak aap chahoge,aap aaj ha kho to aaj tak,or aaj aap na kaho to jindgi bhar intzar karung. She===itna bharosa he khud pe, I=====nahi,khud pe nahi,mere ander jo aap ho us pe.or bat rahi bharose ki to to aap aaj abi fon kat do,par me har bar aap ko ese hi yad karunga jese aaj karta hu. aap hamesha sath ho mere.or me nahi janta ki aap mujhe fir call karogi ya nahi,isliye me jo kh raha hu bo final he ki mujhme aap hamesha rahoge,jese mandir me pavitra murti hoti he.mujhe jo kahana tha vo mene kaha diya.aage aap ki marji. She====unhone kaha ki mene kabi esa nahi suna ki koi intzar karta he,par meri kuch majburi he,mera paribar he,ma he,pa he,inki izzat ka khayal rakhna beti hone ke nate meri jayada jimmedari he. I======to me is bat ka pura khayal rakhunga,or inki izazat ke bad hi aap ka hath thamunga. Iske bad hamari kafi dino tak bat nahi hui.unke bhai ko mene sari bat batai.usne kaha ki vo mummy papa ka bahut khayal rakhati he,jayada kisi se bat nahi karti or ghar pe hi rahati he,kahi ni jati,use pasand nahi he.Ek din garmiyo ke samay me chat pe cooler ke aage leta tha,tabi ekdum se ek sms aaya,ye unhi ka tha.mene kaha ki aaj is samya kese kiya.vo bole study kar rahi thi sab let gaye the,to socha bat kar lu.mene kaha ye to hamara sobhagya he.fir unhone kaha. She=====aap itna pyar karte ho,mene kabi apne ghar balo ke alaba kisi ko nahi jana.hamesha ese hi karoge.kuki agar ma pa ki aakho se giri to jina aap ke sath he,or aap b na hue to,me kahi nahi ji paungi.or koi itna pyar karne bala takdeer bale ko milta he. I=======aap mujhe mile ye meri takdeer he , Is tarah kuch din bat hoti rahi.hum pahali bar kahi mile vo or me akele the.itna pass.mujhr yski hi nahi ho raha tha. mena pahali bar unke gal pe hath lagake apne upar visvas karne ki kosis ki.vo kap rahe the or apna chehra apne nanhe hatho ke piche chipa liya.mene unke hatho ko unke chehre se hata ke unhe dekhta raha.vo kap rahe the mene unhe hag kiya or hum aakh band kar ke kafi der tak u hi khade rahe.vo boli ab dur mat jana.mene kaha kisi kimat pe nahi,chahe duniya kahi ki kahi ho jaye.vo mere liye jindgi ke golden time tha jo me aaj tak yad kar ke apni yado ko khusnuma banata hu.fir hum u hi milte rahe.vo apne hath ka bana halua ya aalu ka paratha bna ke late,me unse milne ko aatur rahata,or chutti bale din sidhe unse jaipur se milne pahuch jata. lagbahag one and half year hum u hi milte or phone se bate karte rahte,vo mera vesabri se intzar karti or me unhe dekhne ke liye lalayit rahata.unki bas ek jhalak dikh jaye bus jese amrat pi liya ho.ek din unhone ek khuskabri di ki vo agle mahine jaipur aa rahe he ek relation me program he,me to bus fula na samaya.unke relative b hamare pass me hi rahete the.mene kaha ok me intzar kar raha hu. next month vo aaye.unhone kaha ki vo hum ghar pahuch gaye aap ka ghar kha he,mene kaha pass he 1 kilomitar aage.bus fir kya tha dosto me gadi nikal ke nikal pada apni unkodekhne.me pyar se unko kannu kahata or vo mujhe nannu bulati.vo apne relation balo ke ghar ke upar chat pe mera intzar karne lagi,unke sath unki cousion bhi thi jo 10th me thi.unhe icecreame bahut pasand he,me ek ice creame ka dibba leke pahucha.vo aaye or leke chale gaye.agle din vo apni cousion and ek or relative ke sath mere yaha milne aaye.mene puri teyari kar rakhi thi Icecreame ke sath kuch der humne kuch der akele me bat ki or vo chale gaye. me jab b office se aata unke liye icecreame sath lata. vo vahi pas me aate or milte or icecreame leke chale jate.ek din unki tabiyat kharab thi me icecreame laya vo or unki cousion aaye,samay ki demand thi ki mujhe unhe icecreame apne hath se khilani chaiye thi par bad me mahsus hua.agle din vo apni cousion ke sath aaye hum sath sath rahe or kafi samay tak unko hug kar ke rakha.fir vo samay b aa gaya ki jab vo free hoke vo sabhi apne ghar yani home town jane lage. kuch dino bad unki cousinon ne apni ma ko hamere bare me bataya to agle din cousion ki ma ne kannu ki ma ko call karke bataya ki jaipur me hamere milne se lekar or kafi sari bate unko galat tarike se bataya or kaha ki ye kafi der tak akele kamre me band rahe.ye sun ke nuke pero ke niche se jamin nikal gai.unhone kannu se is bare me pucha to unhone kaha ki cousion b mere sath thi or hamne galat kuch ni kiya.magar unki cousion ne mana kar diya or kaha ki me inhe chod ke vaha se aa gai thi. dosto unhone apne ma pa se kabul kiya ki vo humse bahut pyar karte he tab se laker aaj tak yani one and half(1-1/2 years) years se unhe kadi bandis me rakhte he.kebal unhe pass ke hi ek coaching me chodne jate he or le ke aate he.par hum bat karte he kese b communication bithate he. dosto is bich me unhe kai bar dekhne jata hu bus koi 2minut ya vo kahte he ki unhe mujhe dekhna he to me jata hu or vo coaching ke bich me bahar aa ke dekhti he.or me b vas yahi hamari kahani he.unke ghar vale raji nahi he or hum unke aassirbad ke bina shadi nahi karenge or na hi kahi or. dosto hum dono he ab government ke liye teyari kar rahe he,ab to bus unke bina nahi jina.bada he mera aap sab se.7 december ko mere birthday pe hum chupke se mile unke ghar balo ko pata chala to Bada babal hua.par vo mera pyar he or me unke ghar valo ki hamesa izzat karta rahunga. aap agar koi suggestion de sako to meri email id pe sms karna please.jab b shadi hogi me ispe aapko jarur inform karuga.or dosto batana chahunga ki aaj tak humne physical relation jesi kisi bat ka koi issue nahi hua.ye bas puar ka rista he. ====================================================== 1)Kamyabi Badi Nahi Paane Wale Bade Hote Hai. Zakhm Bade Nahi Bharne Wale Bade Hote Hai. Itihas K Har Panne P Likha Hai. Dosti Badi Nahi Nibhane Wale Bade Hote Hai…  

2)Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai, Kaun si khushbu mujme basa gayi ho tum, Zindgi hai kya teri chehat ke siva, Yeh keisa khawb aankho ko dikha gayi ho tum. 

3)Na jane wo kaun itna haseen hoga.. Aapke haath me jiska naseeb hoga.. Koi aapko chahe ye koi badi baat nahi.. Jisko aap chaho wo khushnaseeb hoga.. 

4)Bandh Lain Hath Seeney Pey Saja Lain Tum Ko Jee Main Ata Hey Keh Taweez Bana Lain Tum Ko Phir Tumhain Roz Sanwarain Tumhain Barhta Daikhain Apney Angan Main Chanmbeli Sa Laga Lain Tum Ko Is Qadar Toot Key Humain Tum Per Pyar Ata Hey Bhar Lain Bahon Main Or Maar Hi Dalain Tum Ko Kya Ajab C Khawahish Uthi Hey Hamarey Dil Main Ker Key Faza Sa Hawaon Main Uchalain Tum Ko Hey Tumharey Liyey Kuch Kuch Aisi Haqeeqat Dil Main Apney Hathon Main Duwaon Sa Utha Lain Tum Ko Yeh Khawahish Hey Merey Dil Ki Key Tumhain Khud Sey Zyada Chahain Khushboo Ki Tarha Apney Man Main Basa Lain Tum Ko Na Lagey Kisi Ki Nazr-E-Bad Tumhain Aye Merey Hamdam Apney Dil Main Is Tarha Chupa Lain Tum Ko 5)Chiragh-e-Shab Ko Jaise, Aandhiyan Achhi nahi Lagti. Kuchh ayse hi Humain Khush Fehmiyan Achhi nahi Lagti. Jinhen Sone K Pinjre Me Ghiza Mil Jaya Karti hay, Unhain Phir Umar Bhar Aazadiyan Achhi nahi Lagti. Wo Jin K Dil Me Fasl-e-Gham Ne Dere daal Rakhe Hon, Unhain Pholon Pe Bethi Titliyan Achhi nahi Lagti. Mera Dil Chahta Hai K Unhain Aaina Dikhaon M0HSIN, Wo Jin Ko Dosron Ki Khobiyan Achhi nahi Lagtien 

6)Boht ajeeb hain ye bandishain muhabbat ki faraz, Na uss nay qaid main rakha na hum faraar hoe………. Wo Tu Milta Hay Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz Yeh DIL Hay Kitni Fursat Se Sochta Hay Usay Saleeqa Ho Agar Bheegi ANKHON Ko Parrehnay Ka FARAZ To Behtay Howe AANSU Bhi Aksar Baat Kerte Hain Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samjthe Ho Faraz Dost Hota Nahi Har Haath Milanay Waala Jab Mere Dil Mein Tere Yaado Ki Azan Hoti Hai Faraz To Apne He Aanso Se Wazo Kar Kay Teri Muhabbat Ki Ebadat Karta Hun. Meri Chahat Ko Mere Halaat K Tarazu Main Kabhi Mat Tolna “Faraz” Maine Wo Zakham Bhi Khaye Hain Jo Meri Qismat Main Nahi The.. Tanhai Tho Hai Saathi Apni Zindagi K Har Ek Pal Ki ” Faraz “ Chalo Yeh Shikwa Bhi Door Huwa K Kisi Nei Saath Na Diya… Na Murawat Na Mohabbat Na Khuloos Hain Faraz Main Tho Sharminda Hun Is Daur Ka Insaan Hokar.. Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai “Faraz” Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti.. Bin mangay hi mil jati hain tabeerain kisi ko “Faraz” Koi khali hath rah jata hain hazaroon duaoon ka baad Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!! Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din Faraz, Gham bhi to mill gaye thay tamanna kiyay baghair..! Mere jazbat se waqif hai mera qalm FARAZ Main pyar likhon to tera naam likha jata hai.. ghar ki talaash me ess sheher aaya tha, chaar deeware to mili par qaid ho gaya..!! minnate karte hai neend se aa jao, nahi aati hai, phir unka aise he na aana yaad aata hai..!! na jaane kab ess sheher ki taseer badal gayi, ghar par nahi aati hai ab vo boodhi bhikaran...!! Rozbaroz akhbaro me khud ko dhundhta hu, gumshuda ki talaash me lage chehro ko tareeke se dekh kar...!! Ab chandni utarti hai mere sehan main aksar, Tere anay se yeh khali makan ghar hone laga hai...!! Mujhe maloom hai meri ankhon ko talash kis ki hai, Tujhe dekhoon to bass manzil ka gumaan hota hai..!! Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,, ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,, mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,, rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,, ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FARAZ” yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath. Na chupaye ga Naqaab uske Shabaab ko Faraz…. Nigaah-e-Ishq se Paththar bhi toot jatay hain.. Suna Hai Un Ka Ashkon Se Bujhti Hai Pyas Sehra Ki ‘Faraz’ Jo Kehtay Thay K Pathar Hain Humain Rona Nahi Aata Teri Dosti ne diya “SAKOON” itna, Ke tere baad koi “ACHA” na lagey, Tujhe karni hai “BEWAFAI” ‘FARAZ’to is ada se kar, Ke tere baad koi “BEWAFA” na lagey. tum mujhe kabhi aankhon se pukaro faraz yeh honton ka takal’luf to zamanay k liye hai. mujhe bhi shooq huwa mohabbat ka faraz. aghaz-e-muhabat main hi jaan garvi rakhni pari waapasi ka safar ub mumkin na hogaa “faraz” hum to nikal chuky hain aankh sy aansu ki tarha! u apni mohabbat ka dawa na kia kar “faraz” zinda tu wo bhi rahta hai jo muhabat nahi kerta Pyaar Ka Daava Karne Wale Hum Ne Dekhe Hain faraz…..! Jinhen Hum Aziz To Hain Magar Apni Masrofiyat K Baad. Us Se Milte He Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko FARAZ Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga Haath zakhmi hoa kuch apni he khata the faraz maine kismat ke lakeroun ko mitana chaha Chand Ka Mizaaj Bhi Tere Jaisa hai Faraz! Jab Dekhne Ki Tammana Hoti Hai Nazar Nahi Aata.. Tanhai jab muqaddar mein likhi hai, To kya shikayat apne aur begaane se… Hum mitt gaye Jinki chaahat mein Faraz, Woh baaz nahi aate humein aazmaane se. Qasoor nahi is me kuch bi unka ” FARAZ “ hamari chahat hi itni thi k unhe ghuroor aa gya Hum ne suna tha ka dost wafa kertay hain Faraz… Jab hum ne kiya bharosa to riwayat hi badal gayi… Iqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi FARAZ Jab Duniya Chor Ke Hum Janay Lagay Hain Tu hosh mein tha phir Bhi hamhein pehchaan na paya “Faraz” . . . . Ik HUM hein K pee kar Bhi tera naam letay rahey. Qadam ruk se gaye hein phool bikty dekh kar Faraz….! Main aksar us sey kehta tha MUHABAT phool hoti hai……!!! Qadam ruk se gaye hein phool bikty dekh kar Faraz….! Main aksar us sey kehta tha MUHABAT phool hoti hai……!!! Main us k Haathon main tha! Tuttey hue Sheeshe ki tarhan”Faraz”! Bari Umeed thi k Bikhrny nhi dega! Bus giraya kuch is Ada sy k! Simatne ki Aaas Hi na Rahi. Uski Qurbat to Muqaddar hai milay ya na milay Faraz… Uski yaadon se bhi ho jati hai Tasalli dil ko. Kyun na gharoor karta mein apney aap pey “FARAZ” Mujhe us ney chaha jis ka chahnay waly hazaron the. Faryaad kr rahi hein tarasti hui nigahein. FARAZ. . . . Dekhe huwe kisi ko bohat din guzar gaye. Apne Hi Hote Hain Jo Dil Pe Waar Karte Hain, Faräz…! Wärnä Ghairon Ko Kaya Khäbär Dil Ki Jaga Kon Si Häi.. Meri nighahon ki Talash bas itni hai Faraz. K aakhri saans se pehly us ka deedar ho jaey. Manzil qareeb dekh kar mutmain na hoo Faraz…. Aksar Kashtiyan doobti han, Manzil ka aas paas. Hamari Pyaas ka Andaaz bhi alag hai Faraz… Kabhi Daryaaon ko thukratay hain to kabhi Aansu tak pee jaty hain. pehli mulaqaat thi aur hum dono hi be bass thy FARAZ. wo zulfain na sambhal paaye aur hum khud ko… Ye bhi acha hoa ka usay paa na sakay “Faraz” Humara ho k agr bicharta to shayad qayamat hoti. “”Wafa ki aaj bhi qadar wohi hy Faraz. “”Faqat mit chukey hen toot k chahne waley..!! her juram meri zaat se mansoob huwa hai faraz, kya mare sawa shahr main masoom hai sare. Kitnay gharor main hain wo mujhy tanha chor k “faraz” unhen malom nhe mery aansu mujhy tanha honay nhe dety parda tu hosh walaalon say kaiya jaata hai”faraz”. be naqaab chaley aao hum tu nashey main hain. Hussan walon ko kiya zarorat hai sanwarney ki “Faraz” Wo to sadgi main bhi Qiyamat ki adda rakhtey hain. Aasman bhi ro para us waqat mere haal par “faraz” jis waqt mery naseeb me usey likh mita diya. dil tootne ka ghum na kar. faraz pathar k dost tum ne khud banye thy. suna tha dil samndar se bhi gehra hota hy faraz… hairan hon samaya nahi is me tairay siwa koi. Us ka honto ko chuwa to ehsas howa faraz. k pyas faqat paani sy hi nahi bujhti… hum ne muhabtain chord deen “faraz”. tanha raat din ka tarpna hamaray bas ki baat nahi. raabtay iss liye main torr raha hoon sab se faraz. mar bhi jaon tu kisi aankh main ansoo na milain.. Ajab hai “RASAM-E-ULFAT” ay “FARAZ” dil hamara hai magar “IKHTIAR” kisi aur ka hai… zindagi mein is se badh kar ranj kya hoga faraz uska ye kehna,ke tu shayar hai, deewaana nahi. Tum Taluq torney Ka Kahin Zikar Na Karna Faraz ….! Main Logon Se Kehdonga K usey Fursat Nahi Milti….! hazaroo tukray kiye us ne mere dil ka “Faraz” kudhi ro para har tukray pe apna naam dekh kar zalzalay youn hi Besabab nahi atay Faraz, Koi dewana tah-e-khak tarapta hoga… Ek khalish ab bhi mujhe bechain karti hai FARAZ sun ke mere marne ki khabar wo roya kyo tha Kal raat aapnay sary dhuk kamray ki dewaron se keh daly “Faraz” Ab main soota hun to dewarain roote rahti hain main KHUDA ki nazron may kesay na gunahgar hota Faraz k ab to sajdon main bhi wo yaad aany laga… yehi darr tha k humse daman-e-muhabat na chhoot jaey faraz maloom na tha kal ye muhabat hi hamein chhor degi… “BIK”raha tha waqat k bazar main meri gherat ka lahu “faraz” “MURR”k jo dekha to apna he pyar kharidar nikla. Teray baad na aaye ga meri zindagi ma koi aur “Faraz” Ek mot hai k jis ki hum Qasam nahi detay… Mere Shikwon Par Us Nei Has K Kaha FARAZ…. Kisne Ki Thi Wafa Jo Hum Karty….!!!!! Mere Sajdo Mei Kami To Nahi The FARAZ Mujse Bhar Kar Kis Ne Manga Tha Khuda Se.. Jitni shiddat se mujhe zakham diye hain us ne FARAZ. Itni shiddat se to main ne usay chaha bhi na tha. Mujhe khairaat main mili khusian ache nahi lagti Faraz main apne dukhoon main rehta hoon nawabon ki tarah Kal raat apny sary dhuk kamray ki dewaron se keh daly Faraz Ab main soota hun to dewarain roote rahti hain jiss ka tum puchte ho wo mar gaya FARAZ, us ko kisi ki yaad ne zinda jala diya….. Aaj Uss k taswer ka aalam kuch is tharha tha “Faraz” Ka neend aayi to aankhon nei bura maan liya… Us shaks se faqat itna sa taaluq hai Faraz.,, Wo pareshan ho to hamain neend nahin aati…… hum se to ek rootha hua shaks na maana FARAZ log to roothi hui kismat mana lete hain… Suna hai tumhari ik nigah say qatal hotay hain log FARAZ ik nazar hum ko bhi daikh lo k zindagee achi nahin lagti Roue ga is kadar wo meri laash say lipat kar Faraz Agar is bat ka pata hota to kab k maar gaey hotay Kitni Nafrat thE ussE Teri TasveeR sE FaraZ.. KE apnA haTh hi Jala DalA Teri TasveeR jalanE k bAAd Apni nakami ka ik yah bhi sabab hy Faraz cheez jo mangty hain sab say juda mangty hain Humne Sookhi hui ShakoN pe Lahu Chhirka tha FaraZ.. phool Agar Ab b Na khilTe To KayamaT Hoti ab melengay to khubb rulayain ge us sangdil ko faraz, suna hy rote mai usko lipat jane ki aadat haay Teri bewafion par mar jany ko ji chahy Faraz Tuj main wafa hoti too kiaa hoota' Ab neend say kahoo hm say sulah kar lay Faraz Wo rooth gaey jin k liay hm jaga karty thay fakat is dur sa sona bhi chore dia ha faraz… kahin wo khuwab main bhi bichra to mer jain gay Janay kis bat pay us nay mujy chora hy faraz Main to mukhlis tha kisi maa ki duwaon ki tarah Us ki “NIGAH” main itna assar tha, “FaRAz” Khared li us ne aik nazar main zindagi humari. Kisi” ki yaad ne Zakhamon se bhar dia seena faraz’ Hr aik saans pr shak hai k Aakhari hogi !!! Mujhko tum rooh main basa lo, to acha hai Faraz. Dil-o-Jaan k Rishty aksar toot jaaty hain. her roz dil udaas hota hai or shaam guzar jaati hai “faraz”.. ek roz sham udas hoga or huma guzar jaayenge..! Ab osay roz na sochoon to badan toot-ta hai FARAZ…!! ik umer ho gayi us ki yaad ka nasha kartay kartay… Ankhain khuli to jag uthi hasratain FARAZ… usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main….. shiddathe dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge……. shiddathe dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge……. Woh Mujhe Apni Zindagi Samjti Hain FARAZ Kya Osay Mujhpar Aithbar Nahi..!! Uskay Shehar Main Ki Guftogo Hawaon Se FARAZ Yeh SoCh Kar Kay Hawaon Main Sansain Thi Uski tum tu kaha karte thay k waqat sahra hai faraz’ to phir shub tanhai main roya kauon karte ho Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne FaRaZ, Kafan bhi lain gey to zindagi apni de kar..!! Be wajah nahi rulata ishq mein “faraz” jisay khud se barh k chaho wo milta zaror hai Rotay Hain Tanha Dekh Kar Mujhe Wo Rastay ** !! FARAZZ !! ** Jin Pe Tere Bagair Main Guzra Kabhi Na Tha ** Zindagi se koi cheez udhar nahin mangi main ne FaRaZ, Kafan bhi lain gey to zindagi apni de kar..!! Ajeeb Andhera Hai “FARAZ” Teri “MEHFIL” Mein…!!! Kisi Nay “DIL” Bhi Jalaya Tu “ROSHNI” Na Hui..!!! Peeenay Ku Tu Pee Jaoo Zeher Bhee Faraz Per Shert Yeh Hy Kay Woh Bahoon Main Sambhalay Mujh Ku….. Phir itne mayoos kyun ho us ki Bewafaai Per “Faraz” Tum khud hi to kehty thay k wo sab se Juda hay Gham-e-Hayat ka Jhagra mita raha hai koi, Chale aao k duniya se Ja raha hai koi, Azal se keh do k ruk jaaye do ghari k lye, Suna hai aane ka waada nibha raha hai koi, Woh is naaz se bethe hein Laash k paas, Jese roothe howe ko mana raha hai koi, Palat ker na aa jaaye phir saans nabbzon mein, Itne haseen haathoon se mayyat saja raha hai koi 

7)Mat puch mere sabar ki inteha kahan tak hai? tu kar le sitam,teri taqat jahan tak hai, wafa ki umeed jinhe hogi,unhe hogi, humein to dekhna hai,tu bewafa kahan tak hai?? -------------------------------------------- Dafnane Se pehlay Mere Dil Ko, Nikaal Lena "FARAZ" Kahin Khaak Main Na Mill Jaye, Mere Dil Main Rehnay Wala!! Apne Siwa batao tumhein, Kuch MiLa Hai FARAZ? Hazar bar leen hain tumne, mere dil ki talashiyaan!! Pyaar Karna Tumne Sikhaya, Pyaar Pe Yakeen Karna Tumne Sikhaya, Sapne Sajana Tumne Sikhaya, Bas Tumhare Bina Jeena Nahi Sikhaya… Udasi Bi Muskan Ban Jayegi, Rukti Hui Saanse Bi Jaan Ban Jayegi, Bhej Dijiye Hawao Mai Apni Khusbu, Wo Hi Meri Khusi Ka Farman Ban Jayegi.. Aap Udas Udas Se Lagte Hain, Koi Tarkeeb Batao Manane Ki. Hum To Zindgi Girvi Rakh Sakte Hain, Aap Keemat To Batayen Muskurane Ki.. Mere dard ki intiha na pucho, meri zindagi mei gum bahut hai! jab bhi chaha unhe haal-e-dil sunana, to wo haskar bole ki aaj hum busy bahut hain!! Aarzu Yeh Nahi K Gum Ka Tufan Tal Jye, Fikr To Yeh Hai K Tumhara Dil Na Badal Jye, Kabhi Bi Mujh Ko Agr Bhulna Chaho Tum, To Dard Itna Dena K Mera Dum Nikal Jye. Karoge Yaad Hame, K Zamane Ko! Jab Hum Jayenge, Kabhi Na AaneKo!! Chedega ZIQR koi, Jab Hamara Mehfil Me! To Chale Jaoge Tanhayi Me Aansu Bahane ko!! Jina chahte hain magar, zindagi raas nahi aati! marna chate hai magar, maut pass nahi aati, bahut udas si hai, yeh zindagi hamari! unki yaadein bhi tadpaane se. baz nahi aati!! 

8)Good time Bad time, Day time Nite time, Off time Work time, Happy time, Sad time, Naye sal ma ksi b time, Aphun ka sms aa skta hai, Happy new yaer biroo, bindaas rahny ka maamu.. Tom Cruise.. Angelina Jolie.. katreena kaif… Salman Khan.. Jennifer Lopez.. aamir khan.. & Also Me.. All The Stars Wish U A Very Happy New Year. The way Thou leadest me, But this I ask: Teach me to do The thing that pleaseth Thee. I want to know Thy guiding voice, To walk with Thee each day. Dear Master make me swift to hear And ready to obey. And thus the year I know begin A happy year will be, If I am seeking just to do The thing that pleaseth Thee. When the mid-nite bell rings tonight.. Let it signify new and better things for you, Let it signify a realisation of all things you wish for, Wishing you a sooper & prosperous new year. Friends Bring Happiness throughout the Year! Especially a Friend Like You! Happy New Year!! Ring out the old, ring out the new, Ring, Happy Bells, across the Snow: The Year is going, let him go; Ring out the false, ring in the true. Happy New Year 2013 May This New Year Brings All The Crazy Colors And Fun In You Life.. Happy New Year I Whispered a Prayer, for Someone so Dear, Wishing Peace & Hope, and a Happy New Year Share Memorable moments are celebrated together you are my best friend for now and forever Hope this 2013 year bring happiness for you Make me miss you Even more this new year! Oh my Dear, Forget ur Fear, Let all ur Dreams be Clear, Never put Tear, Please Hear, I want to tell one thing in ur Ear Wishing u a very Happy It’s a new year Let’s give a cheer Pour us some wine And maybe some beer Get all your friends Party till the day ends Then the ball will drop And the balloons will pop It will be 2013 Give me a high five Another year passes Through life’s glasses Happy New Year Oh my Dear, 4get ur Fear, Let all ur Dreams be Clear, Never put Tear, Please Hear, I want 2 tell one thing in ur Ear Wishing u a very Happy NEW YEAR Fill ur life with Happiness & Bright Cheer, Bring to u Joy and Prosperity for the whole Year, And it’s my New Year wish 4u Dear 

9)Aap Jahan jaye wahan se kare Fly all Tear Sab Log Aap ko hi mane apna Dear Aap ki har Raah ho Always Clear… Aur Khuda dey Aap ko Ek Jakkas New Year… Beet gaya so beet gaya, Kahe yaad naa tuh bhulaye re, Kat jaat jivan uski khoj mein Jis safalta ke hit tuh nain bhichaye re… Bhool ja kal ko … Naye saal mein ab naye geet banaye re.. Naya Savera Nayi Kiran Ke Sath Naya Din Ek Pyari Si Muskaan Ke Sath Aapko Naya Saal Mubarak Ho Dher Sari Duaon Ke Sath Happy New Year 2013 … Aaj bhul jao duniya ke saare gam, Chalo jma ek sang tum aur hum.. Aao baante chaaron taraf khushiyan aur Pyaar, Chalo dil khol ke bole Happy New Year Mere Yaar!! Phool Khilenge Gulshan Me Khubsurti Nazar aayegi Beete Saal Ki Khatti Meethi Yaade Sung Reh Jaayegi Aao Milkar Jashn Manaye Naye Saal Ka Hansi Khushi Se Naye Saal Ki Pehli Subha Khushiyan Anginat Laayegi.. Iss Naye Saal mein.. Jo tu chahe woh tera ho, Har din khubsoorat aur ratain roshan ho, Kamiyabi chumte rahe tere kadam hamesha yaar, Naya Saal Mubarak ho tuje mere Yaar… Pyar ke ujaale me gumm ka andhera kyun hai, Jisko hum chahe wahi rulata kyun hai, Mere rubba agar wo mera nasib nahi toh, Aise logo se hume milata kyu hai… Happy New Year 2013 Is new year mai, Lumha Bher ki jo rafakat mil jae muj ko, Mai apne Subah sham tere naam ker dun, Ager tu mil jae Buz-me-History mai, Mai apni zindgi ki haseen shaam tere naam ker dun. Happy New Year 2013 Aap mulakat to karo hamari ibadat ho jayegi, Inkaar jo kiya to bas qayamat ho jayegi, Do pal baith kar to dekho hamare pass, 

10)Ho aapki life me khushiyon ka mela kabhi na aaye koi jhamela sada sukhi rahe aapka basera wish you Happy Dussehra… Everyday sun rise to give us a message That darkness will always be beaten by light. Let us follow the same natural rule And enjoy the festival of the victory of good over the evil. 

11)May all the tensions in your life burn along with the effigy of Ravna. May you be successful and happy ever! Happy Dussehra! Day 4 victory of Ram over Ravana. When in Satya Yug, Ram killed da great demon and king of Lanka, Ravana. Lets celebrate together and believe in blessings of God for good. Dasara mangalmay ho! As the candlelight flame Ur life may always be happy, As the mountain high U move without shy, As sunshine creates morning glory fragrance fills years as Flory, All darkness is far away As light is on its way. 

12)Pyari Hawa! :-* :-* :-* :-* :-* :-* : Tum Meri Duaon K Phool Apne Sang Le Jao, Aur Khamoshi Se Unki Jholi Mein Daal Dena Our Kehna. *(*Meri*)* *(*Duaon*)* *(*Se*)* *(*Aap Ki*)* *(*Zindagi*)* *(*Sada*)* *(*Mehekti*)* *(*Rahe*)* *(*Ameen*)* 

13)Ae Mere ALLAH Meri Izzat Ke Liye Yeah Hi Kafi Hai Ke Mein Tera Banda Hoin… Aur Mere Fakhar Ke Liye Yeah Hi Kafi Hai Ke To Mera Parwardigar Hai… To Wesa Hi Hai Jaisa Mein Chahta Hoin… Bas To Mujh Ko Wesa Bana De Jaisa To Chahta Hai… 

14)Woh to kehta tha usey bahut si duaen yaad hain SAHIL Kya bichhar kar phir se milne ki dua bhool gaya hai wo 

15)Admi ki halakat 3 baton mein hy.. >1) Tauba ki umed pe Gunah karna. >2) Zindagi ki umed pe tauba na karna. >3) Tauba kiye bagher rehmat ki umed rakhna. 

16)Ye Duä Häy Teri Zindägi Sänwär jäy Här Näzär Mäin Bäs Pyär Näzär Aäy Tujhe Jis Khushi ki Täläsh Häy KHUDA Käräy Wö Khushi Khud Teri Täläsh Mäin Chäli Aäy… 

17)Koi ehsas b usko yaad nahi, Koi baat b usko yaad nahi, Ik shakhs ne usko chaha tha, Wo zaat b usko yaad nahi, Jab shab ki bijli chamki thi Or badal toot k barsa tha, Ham dono jis mein bheege the Wo barsaat b usko yaad nahi, Wo SAHIL DARIA PHOOL HAWA Wo wada sath nibhane ka, Or shab bhar CHAND ko dekha tha Wo raat b usko yaad nahi, Wo kehti thi main sunta tha Main kehta tha wo sunti thi, Un lakhon baton mein koi Ik baat b usko yad nhi. 

18)Us ko fursat he nahi waqt nikaalay Mohsin, Aisay hotay hein bhala chaahnay waalay Mohsin? Yaad k dasht mein phirta hoon main nangay paa’on, Daikh too aa k kabhi paa’on k chhaalay Mohsin, Kho gai subho ki umeed,or ab lagta hai, Hum nahi hon gay,k jab hon gay ujaalay Mohsin, Khaak ko b nahi pohnchay ga koi Karbala ki, Ab bhalay aik jahaa’n khoo’n mein naha lay Mohsin, Haakim-e-waqt kahan,mein kahan,adal kahan.., Kiun na khalqat ki zubaa’n’ par lagay talay Mohsin. Wo jo ik shakhs mataa’e dil-o-jaan tha, na raha, Ab bhala kaun meray dard sambhaalay Mohsin 

19)Itna Kia Sochte Ho , Likh Do Na Lafz Ek ” BeWaFa” Hi To Likhna Hay Hum Bebas Hai Be Parwa Nhe. Hum Udas Hai Khpa Nhe Karta Ho Doste Dil Sy Qadar, Hum Majbor Hai Bewafa Nahe Bewafa Waqt Tha? Tum Thay ? Ya Muqaddar Mera ? Waja Jo Bhi Thi Anjaam Judai Nikla Pyasi Muhabat “Bewafa Wo Zamaaney Bharr Ka, Phir Bhi Acha Lagta Hai Zamaaney Bhar Se, Lut gai youn Sar-e-Bazar Wafa ki Ponji, Bik gaye hum kisi Majbor k Zewar ki tarah 

20)Ksi ki Rah Me Ankhen Bicha kr kuch Nhi Milta. Ye Dunya Bewafa HE Dil Laga kr kuch Nhi Milta. Koi Bhi Lot kr Ata Nhi Anso Bahany Sy. Ksi ki Yad Me Dil ko Rula kr kuch Nhi Milta Ksi k Dil Pay kya Guzry ksi ko kya khabr Is ki. Kisi ko Apna Hal-E-Dil Suna k kuch Nhi Milta ..:
Share And Comment on this








No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.