Thursday, 18 April 2013

Jaha Teri Yaad Na Aye


1)Taaron mein akela chaad jagmagata hai….. mushquilo mein akela insaan dagmagata hai…. kaate se ghabrana mat mere dost….. kyoki kaaton mein hi akela gulab muskurata hai


2)Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, Beshak apni manzil tk jana h, Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki 

3)Tu jaane na ki kaun hai tu, phoolo ke Gulistan ka sartaj hai tu, honge gulshan me gul hazaar, in gulo ka gulaab hai tu, 

4)Tu na jane ki kaun hai tu, angeet jaisi awaz ka sur-taal hai tu, Hoti hai jab amaawas ki raat to, Ugte huye suraj ka ahsaas hai tu, 





 5)Tu na jane kaun hai tu udasi bhare chero ki mushkan hai tu hote hai jb gam k badal asman me th baadlo k beech se nikalta hua chand hai tu….. Tu Jaane na ki kaun hai tu, Oss ki boondo jaisi taajgi ka ehsaas hai tu, aati hai jab mere hoto pe udasi ki aahat, hasta hu fir bhi,us hasi ka raaz hai tu, Tu jaane na ki kaun hai tu, Dhadkate dilo ki baichani ka naam he tu, Tanhai me jab band hoti hai palke meri, bahte huye ashko ka sailaab hai tu, Tu na jaane ki kaun hai tu mahakati hui garm saanso ka guman hai tu, Tadpta raha pane ki chahat me jisko umar bhar, Wo reshmi khwaabo ka gunahgaar hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, Dil ko jo sakoon he,wo awaj hai tu, yu to suni hai sangeet bahut maine, sargam se bhi khanakati,koyal ki awaz hai tu, Tu Jane na ki kaun hai tu, Me na jaanu ki kaun hai tu, Me tujhme,tu Mujhme samaay is tarah, k me jism,tu jaan,par itna b na jane tu, Tu na jaane kaun hai tu, chandni raat ke jazbaad hai tu, Hai dhero rang is jahana me magar, Hatho me lagi Mehndi ka rang hai tu Tu jane na kaun hai tu, khwabo me jo aaye,wo tajmahal hai tu, Likhe to rait pe lakho haseen naam maine, mera dil jo dhadkaye,wahi naam hai tu, Tu na jaane kaun hai tu, savere ki pahli kiran ka naam hai tu, chah-chahati hai jab chidiya ujale me, us madhur awaz ka ahsaas hai tu, 

6)Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya Sari Duniya Roti hai Chup kar Me jo thoda Ro liya to Bat Kya Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki Maine thoda Soch liya to Bat Kya Roshni ki Chah to sab ko hai Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya Zindagi k is Haseen Khwab me Maine Use mang liya to Bat Kya Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar Me jo Bhatak gaya to Bat kya 

7)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein Pyar Apna Basane Ka Waada Karo Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo… 

8)Unko karib lane k chaah main, Sabse dur hote gaye, Wo karib na aaye, Sab dur chale gaye. Paas jaane k chaah main, unke Sabse dur ho gaye, Sabse anzaan bante gaye, Wo hume anzaan kahe gaye. Har khusi unki dekhne k liye, Har waqt dur rahe unke nazroon se hum. Jaan na paa-e wo hume, Bhul gayi hume, do pal kya jo dur ho gaye hum. Kitni kosisho k baad manaya, Milne ko khudse, Uss Milan main bhi bechadna tha, Unko mujse. Hum tho bas unhe kuch kehana chahate, Per wo humse kuch sunna na chahate, Khwaab main tho der raat baate kar leta, Saamne unke main kuch bool na pata. Kaise karu main bayaan labo se, Karta tha main pyaar dil se, Kash samaj jaati pyaar ko mere, Na hona padta mujhe dur apno se. 

9)Jo bani ho Mere lye Jis ke lye mai Jee raha hoon Jo kahe Hum saath hain Tere Jise dekhne k liye Tarap raha hoon Ek aisa hi Dildaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye Ho har Waqt rahe saath mai Mere Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Jis ki ek Hansi k liye Mar jane ko Dil kare Jo kehde ek baar to Phir Jeene ko Dil kare Aisa hi Ek Humsafar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Ek baar mili thi Mujhe woh Par pata nahi kaha kho gayi Ab agar mil jaye toh use kahi jane na doon Wohi khoya Yaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye 

10)aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal guzarti nahin hai, meri koi bhi pal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal woh manzil yahaan nahin milegi jise tujhe talash hai woh manzar yahaan nahin dikhega jo tere dil ke aas paas hai milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal waise log yahaan nahin hai jinko dhund raha hai tu yahaan log waise nahin hai jinse jud raha hai tu na banegi yahaan mere sapno ka mahal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal 

11)Pyar kiya to unki mohabbat nazar aayi. Dard hua to palke unki bhar aayi. Do dilon ki dharkan me ek baat nazar aayi. Dil to unka dharka par awaz is dil se aayi 

12)Badi gahrai se chaha hai tujhe, Badi duao se paya hai tujhe, Tujhe bhulane ki sochu bhi to kaise, Kismat ki lakiro se churaya hai tujhe 

13)Banane Wale Ne Bhi Tujhe, Kisi Karan Se Banaya Hoga, Choda Hoga Jab Zameen Par Tujhe, Uske Seene Mein Bhi Dard To Aaya Hoga… 

14)Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota, Koi Kisi K Bina Adhora Nahi Hota. Jo Chand Roshan Karta Hai Rat Bhar Sab Ko, Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota…..! 

15)Tum dil se hamein yon pukara na karo, Yon tum hamein ishara na karo, Door hain tumse ye majburi hai hamari, Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo 

16)Manzile insan ke hausle aazmati hai, Sapno ke parde aankho se hatati hai, Kisi bhi baat se himmat na harna, Thoker hi insan ko chalna sikhati hai 

17)Haste dilo me gham bhi hai, muskurati aankhe kabhi nam bhi hai, dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke, kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai 

18)Tere Her Dukh Ko Apna Bana Lu, Tere Har Ghum Ko Dil Se Laga Lu, Mujhe Karni Aati Nahi Chori Warna, Mai tere Aankho Se Har Aansu Chura Lu 

19)Gulab ki mehak bhi fiki lagti hai, Kaun si khushbu mujme basa gayi ho tum, Zindgi hai kya teri chehat ke siva, Yeh keisa khawb aankho ko dikha gayi ho tum. 

20)Mujhe Is Baat Ka Gum Nahi Ki… Badal Gaya Zamana, Meri Zindagi To Sirf Tum Ho, Kahi Tum Na Badal Jana.. 

21)Na jane wo kaun itna haseen hoga.. Aapke haath me jiska naseeb hoga.. Koi aapko chahe ye koi badi baat nahi.. Jisko aap chaho wo khushnaseeb hoga.. 

22)Tum dil se hamein yon pukara na karo, Yon tum hamein ishara na karo, Door hain tumse ye majburi hai hamari, Tum tanhaiyon mein yun tadpaya na karo…!! 

23)Itna khoobsurat chehara hai tumhara har dil diwana hai tumhara log kehate hai chand ka tukda ho tum lekin ham kehate hai chand tukda hai tumhara..
Share And Comment on this


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.