1)Chale Jaana Magr Thehro Zara, Is Pair Ki Sargoshiyan Sun Lo Ye Kehtaa Hai, K Aage Dhoop Hai, Tum Meri Chhaon Saath Le Jao, Hare Mausam Jb Aayenge, Me Tumko Khushbuen Bhejunga, Meri Shaakh Aankhen Barg Aansu Roeynge, Me Janta Hoon, Jb Hawa Hi Pr Bane To Phir Parinde Rokne Se Ruk Nahi Paate, Chale Jaana, Magr Thehro Zara, Ye Lawn Tm ko Yaad Krta Hai, Yahan Shaam Ka Suraj Or Hamare Geet Ki Lai Aaj Tanhai Hai, Tumhare Qehqahon K Phool Soukhi Tehnion P Jhulte Hain, Titliyan Basi Dhuno Par Raqs Karti Hain, Sadaayen Bujh Gayi Hain, Door Tak Ye Dhoop Hi Dast-E-Dua Hai, Or Hawaeen Narm Lafzon Ki Tarah Koi Duaa Tashkeel Deti Hai, Chale Jaana, Magr Thehro Zara, Ye Dar Ye Deewar Judai Ki Lughat Hai, In Pe Likhe Lafz Ko Parh Lo, K In Bosedaah Deewaron Ki Aankho Mein Tmhare Aks Roshan Hain, Inhe Achhi Tarah Dekho, K Ik Din Tm Inhi Akson Ki Jaanib Lautna Chahoge, Lekin Waapsi K Saare Raaste Band Paoge, Chale Jana, Magr Thehro Zara, Par Kya?????? Thek Hai Chale Jaiye. Chale jaiye... |
Share And Comment on this
|
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.