Monday, 17 June 2013

Kuch Kuch Yadain


Kuch kuch batain aisi hoti hain jinhe hum yaad karke khushiyon ke samandar me gote lagane lagte hain. Yaadain samandar ki tarah hoti hai, ab ye hamaare upar hai ki hum is samandar me gote lagakar kitna maza loot sakte hain- Main bhi apne friend ke bagiche me baithe is maze ko lootne ki puri koshish kar raha tha.. Charo taraf chidiyon ke chahchahane ki aawajain aa rahi thi, suraj apne subah ki sunahari kiran failane hi waala tha, 5:00-5:30 baj rahe honge, charo taraf khushnuma maahaul nazar aa raha tha, hawaayain bhi puri masti ke sath chal rahi thi.. par iske baawajud bhi main khus nahi tha, tension mere mind ke charo taraf ghum rahi thi, main relax hone ki puri koshish kar raha tha par mujhe wo khusi nahi mil rahi thi jise main paana chahta tha, shayad iska sabse bada wajah hamare pariwaar ki pareshaniyan hi thi.. Feelings jaari rahegi 04 nov 1994, din shukrwaar… Ek shaks ne dunia me qadam rakkha, jiske chehre par raunak, masoom sa chehra, mota sa tandarust shareer, hansmookh chehra…wo shaks jiske aane se ghar me khushiyon ki lahar daurr padi..wo shaks Main tha.. ‘REHAN’ ye naam meri ammi ne mere liye chuna tha jiska meaning hota hai KING..Mera pura naam Rehan khan hai. Main apne mata-pita ka iklauta ladka hun so is wajah se main sabka chaheta hun..hum kul 5 log hain apne pariwaar me, meri ammi, abbu, badi bahan jo mujhse 5 saal badi hai, aur meri chhoti bahan jo mujhse 3 saal chhoti hai aur hum. hum log belthra me rahte hain. Jahan Mere abbu ki kapde ki dukan hai. Mere ghar me hamesha se hi paiso ka problem raha hai, mera bachpan to bahut hi achchhe tareeke se guzra jinhe main hamesha yaad karta hun..bachpan se hi main bahut shararti tha, hamesa khus rahna, sabko hasate rahna, chidhate rahna yahi meri aadat rahi hai. Padhai meri sauk thi..apni ek alag pahchan banana mera sapna raha hai… Bachpan se lekar 10th tak to main apne class me first aata raha, lekin jab maine wohi pe inter me admission liya to mera samna ek ladke se hua jo dikhne me jyaad khas to nahi tha lekin kamal ka dimag tha uska padhne me bahut tez tha. Meri aur uske bich hamesha kante ki takkar hoti. Hum dono ke bich hod lagi rahti first aane ki, mujhe bilkul pasand nahi tha ki koi mujhe haraaye. Main bahut mehnat karta apni image banaye rakhne ki. Uski bhi mehnat kam na thi. Kabhi wo first ata to kabhi main..ye silsila hamesha jari rahta chahe wo test ho ya exam ho..par iske baawjood wo mera sabse achchha dost ban gaya tha… . . ‘TAHSEEN’ jise pahli baar maine isi saal apne class me dekha.. Chup chap sar ko jhukaye apni puri nazar kitab me kiye hue thi. Ek pal ke liye to main sab kuch bhul sa gaya tha..use hi dekhta raha. Apne life me to maine bahut si khubsurat ladkiya dekhi thi lekin use dekhne ka maza hi kuch aur tha. Uske chehre se nazar hat nahi rahi thi…main use dekhe ja raha tha tabhi mere dosto ne mere peeth pe marte huye kaha.. Ye kya ho raha hai rehan..? “Kuch nahi be, wo dekh to sale, koi nayi ladki hai.. Kya mast lag rahi hai”. Haan to kya hua..? “kuch to hua hai be mujhe..khair chodo jao tun sab log apne seet pe” phir classtearcher aaye, english ki ghanti thi padhai hui, main apni nazare tirchhi kar ke use dekh liya karta. Mere bar bar dekhne ki wajah se wo mujhe gusse se dekh rahi thi. Lunch ke samaye main apne dosto ke sath baith ke use comment mar diya karta tha wo gusse se laal peeli ho jati… Intar me books bahoot jyaade thi, jyaade mehnat karni padti thi to maine socha coching join kar lun. Maine teen coching center main coching joine kiya..pahle waale me physics aur chemistry, dusre waale me math tha aur teesre waale me english tha. Meri coching subah 6 se 10 baje tak chalti, do teen din baad maine dekha wo ladki english wale cochin center me apna admission liya. Main to bahut hi khus hua use dekh kar. 6 se 10 tak coching karta aur uske baad sidhe school me pahunch jata.. Ek baar hamare school me physics ki ghanti khali thi, sir aaye nahi the.. Hum sab log class ke bahar khade ho kar maze kar rahe the, ladkiyon ki bate sun kar us par comment kar rahe the, main to use hi dekhe ja raha tha, wo mujhe bhaao hi nahi de rahi thi. Wo apni frndz ke sath baatain kar rahi thi. Maine suna unme se kisine apne me hi pucha ki pyaar kya hota hai.. Maine jhat se unchi aawaz me kaha ‘koi humse bhi puche pyaar kya hota hai…’ tabhi sare dosto ne kaha wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai..ham sabhi dost mil ke hasne lage..wo sab hame gusse se dekh rahi thi. Maine dekha un sab ki honth dheere dheere chal rahi thi shayad wo hame galiyan de rahi thi. Hum sabhi log apne me hi mashgul the tabhi pichhe se principal sir ne dande lekar hum sab logo ko daudaya, mere sare frndz to kamre me bhag gaye, main wohi pe khada raha, wo mere kareeb aakar bina kuch puche mere kamar aur pairo pe do dande jad diye.. Mujhe to bahut gussa aaya par kar bhi kya sakta tha wo mere principal the..unke aankho pe chashma tha aur chashme ke piche unki badi aur laal laal aankhe bilkul spasht rup se dekh sakta tha, bahut gusse me the wo..shayad wo hamaari baatain sun liye the.. “main dekh raha hun tum deen ba deen bigadte ja rahe ho, padhai pe dhyan nahi hai tumhara..” nahi sir aisi baat nahi hai… “Chup !” sir ne bahut kadak aawaz me kaha.. “sharm nahi aati tumhe maa-baap kitni mehnat padha rahe hain, aur tum log unki mehnat pe paani pher rahe ho, padhna likhna to hai nahi bas unka paisa barbad kar rahe ho..pad lo mehnat se inter me aa gaye ho..” sir ne bahut saari phylosiphy jhadi…unka gussa zaayaz tha, main unki bato se bilkul sahmat tha, lekin mujhe unpe bahut gussa aa raha tha, unhone mujhe dande jo maar diye the.. Wo ab wahan se chale gaye the, main abhi bhi wohi pe tha, meri itni beyizzati pahle kabhi nahi hui, main bilkul bardaast nahi kar paa raha tha. Maine apna bag uthaya aur bina kuch soche samjhe ghar ke liye nikal pada.. Feelings jaari rahegi
Share And Comment on this


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.