Sunday 2 June 2013

Meri Life Phir Se


hello dosto, ye meri life ka dusra part hai, jo b ye padh rahe hai wo please pahla part padhle. To maine apna bag pack kiya aur hyderabad k liye nikalne hi wala tha k muskaan k papa aagaye, unhone mujhse pucha beta sahil kaha jaare ho, maine kaha uncle hyderabad jaaraha hu job k liye. Unhone kaha ye kya baat huwi, abhi to muskaan ki shadi ko do din hai aur tum jaare ho. Dosto mai aapko batadu k mere papa aur muskaan k papa ache dost b hai aur unka hamari family se attachment acha hai. Unhone kaha ki mera koi beta nai hai aur shadi k kaam me mera haat kaun batayega. Unhone mere papa se kaha mujhe rokne k liye. Hai re merpapa aagaye, unhone mujhse pucha beta sahil kaha jaare ho, maine kaha uncle hyderabad jaaraha hu job k liye. Unhone kaha ye kya baat huwi, abhi to muskaan ki shadi ko do din hai aur tum jaare ho. Dosto mai aapko batadu k mere papa aur muskaan k papa ache dost b hai aur unka hamari family se attachment acha hai. Unhone kaha ki mera koi beta nai hai aur shadi k kaam me mera haat kaun batayega. Unhone mere papa se kaha mujhe rokne k liye. Hai re mei kismat dosto, ab mujhe apni hi mehbooba ki shadi me kaam karna padega. Mere papa ne kaha k hydrebd shadi k bad chale jaana. Phir to mujhe rukna padha. Phir wo din aahigaya jis din muskaan ki shadi thi, mai bahot koshish karra tha k dur rahu shadi se. Lekin meri kismat mujhe kisi bahane se utna hi nazdeek karrahi thi, Mai andar hi andar tadap raha tha , mere aansu betaab the bahar aane k liye lekin sub k saamne ro b nai sakta tha. Meri halat aisi thi dosto k gala kaata gaya aur khoon b na nikle. Uski shadi hogayi aur idhar meri barbaadi. Phir to wo huwa jo mujhe marne tak yaad rahega. Shadi k hojane bad aur jab sub khakar chale jaate hai, yaani end me ek rasm hoti hai jisme dulha dulhan ko ek hi stage par bithakar kapde rakhte hai sub. To zyadatar aisa hota haik jahan dulhan baithi ho waha Par dulhe ki chair rakhdi jati hai. Mere papa ne idhar udhar dekha aur mujhse kaha k sahil udhar se dulhe ki chair to lao zara. Kaise batao dosto mai kya kya karra tha, maine chair uthayi aur laya to papa ne kaha stage par rakhdo. Waha jahan par muskaan baithi huwi hai, mere pairo tale zameen khisak gayi, mai muskaan ko dekhna nai chahta tha lekin majbooran mai chair ko leke stage par gaya, mere haat pair kaap rahe the aur chahra laal hogaya tha, maine dhire se chair rakhi aur dekha k muskaan nazre jhuka kar baithi huwi hai, thik usi tarah jaise wo baithi thi jab maine propose kiya, mere saamne wo manzar yaad agaya, Maine dekha k muskaan ki aankho me aansu hai, mujhse bardasht nai huwa mai palat kar chala aaya. Abhi mere aansu rukne k liye tayyar nai the, maine bahot koshish ki rokne ki. Maine apni bike start ki aur ghar chala aaya, mujhe roona tha bus, par meri kismat ko kuch aur hi manzoor tha. Mere ghar saare mehmaano Se bhara tha, mai pareshaan hogaya, subah k 4 baj chuke the. Tabhi kisi ne mujhe awaz di, wo muskaan k chacha the. Unhone mujhe phir kisi kaam se bahar lekar gaye. Dosto aisa kisi k saat na ho. Dusre din sub reception ko jaane k liye ready hogaye aur tab tak b mujhe akele me rahne ka mauka na mila. Reception dusre town me tha to do volvo bus ko hire kiya tha. Mere mummy papa pahli bus me bait gaye, maine kaha k dusri bus me aunga. Maine sochliya tha k nai jaunga. Aur mai dusri bus me b nai gaya. Phir dono bus chali gayi, maine mummy ko phone kiya aur kaha k meri tabiyat thik nai hai aur mai nai aaraha hu. Mummy shock hogayi. Maine kaha k headache hai aur nind b bahot aarahi hai. Aur kaha k papa ko batadena, mai apna phone band karke sojata hu. Jaise hi phone rakha to mere aansu jo betaab the bahar aane lage. Mere ghar par koi nai tha, mai bahot roya, kabi sofa dekhkar rota aur kabi kitchen wala din yaad karke. Wo saare lamhe yaad aare the jo maine muskaan k saat beete the. Raat bhar mai rota raha, bus phir maine dusre hi din hyderabad aagaya. Aaj do saal ho chuke muskaan ki shadi maine kabi dubara nai dekha aur apni shakal b nai dikhayi. Wo jab b maike aati hai hamare ghar zarur aati hai, lekin kisi na kisi tarah malum karleta hu k muskaan kaha hai. Aur wo jab maike aati hai to mai aPne ghar nai jaata. Meri mummy batati hai k muskaan aayi thi, aur mere baare me puchrahi thi. Ab mai jab ghar jaata hu to kabi muskaan ki mummy nazar aati hai, mai bat nai karta unse, wo b kuch nai kahti. kabi sofa dekhkar rota aur kabi kitchen wala din yaad karke. Wo saare lamhe yaad aare the jo maine muskaan k saat beete the. Raat bhar mai rota raha, bus phir maine dusre hi din hyderabad aagaya. Aaj do saal ho chuke muskaan ki shadi maine kabi dubara nai dekha aur apni shakal b nai dikhayi. Wo jab b maike aati hai hamare ghar zarur aati hai, lekin kisi na kisi tarah malum karleta hu k muskaan kaha hai. Aur wo jab maike aati hai to mai aPne ghar nai jaata. Meri mummy batati hai k muskaan aayi thi, aur mere baare me puchrahi thi. Ab mai jab ghar jaata hu to kabi muskaan ki mummy nazar aati hai, mai bat nai karta unse, wo b kuch nai kahti Dosto do saal me aisa koi din nai tha jab muskaan ki yaad na aayi ho. Din to guzar jaata hai job aur dosto k saat lekin raat roye bagair nai guzarti.
Share And Comment on this







No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.