Thursday 2 May 2013

Apni Mohobbat ki kahani


1)Apni to mohabbat ki itni kahani hai, Tooti hui kashti or thera hua pani hai, Ek phool kitabon may dam tor chuka hai, Magar kuch yaad nahi aata yeh kis ki nishani hai 

 2)Girti hoi dewar ka humderd hoon Lakin charty hoy sourg ki prus-thish nahi karta humdard e ehbab se drta hoo lakin zakhm too rakhta hoo lakin nooma'ish nahi karta 

3)Mujhy yaad aa kar itna be-chain na kro...! Bs ik ye hi sitam kaafi hai k sath nahi ho tum. 

4)Tanhai jub muqaddar mein likhi hai, To kia shikayat apnon aur bayganon se, Hum mit gaye jin ki chahat main, Woh baaz nahin aatay hamain azmanay se 

5)Aagar mere yaad aye to ek Chand ko dekh lena ye soch k nahi k kubsoorat hi kitna ye soch kar k hazaroon sitaron may tanha hai kitna 

6)woh aam c shaam thi jab juda huay thay hum, na toot kar pyar kia or na ro sakay hum, na zamany say kuch kaha hum nay, barbad ho gaye bari saadgi say hum...! 

7)Koe mila hi nahi jis ko wafa date. Her ik ne dokha diya kis kis ko saza dete. ye humara zarf tha k khamosh rahe dastan sunate to mehfil ko rula dete. 

8)Dil pay chout lagi honto say aah nikli Jis say mohabat ki wo be-wafa nikli 

9)Tum dur ho¢â‚¬Â¦ aur pas bhi,! Tum hansi ho ¢â‚¬Â¦ aur aansu bhi! Tum Mere man ki shanti ho.. aur dil ki bechaini bhi! Tum meri amanat ho.. aur ek sapna bhi! 

10)Mujhe aansuon ki talab nahi, mujhe zindagi ki talash hy, Jise dhond kar bhi na pa saka, mujhe phir usi ki talash hy, Muje dushmano me na dhondna, muje doston me talashna, me mohabbaton ka aseer hon, muje dosti ki talash hy, Meri rah-e-azm-e-talash me, koi zindagi ka rafeeq ho, koi ansuon ka charagh de, muje roshni ki talash hy, Me bulandion ka zameer hon, me rafaqton ka pazir hon, muje nafraton ki zamin par 

11)Aaj teri yaaad ko seene se laga ke roye, khayalo me tujhe pas bulake roye, haazar baar pukara tujhko tanhai me, har bar tujhe paas na pakar roye. 

12)Usey Kehna K Mere Marny Par Aansoo na bahay.....! K Mujhe Apni Mout Sy Ziada Usky Aanso ka dukh ho ga 

13)USNE PUCHA MAIN KANHA HOON? maine kaha tu meri saanso main dil main khayalo main dhadkan main ruh main nas nas main hai..USNE POOCHA MAIN KANHA NAHI HOON? maine kaha shayad meri "KISMAT MAIN" 

14)Mujhe aaj bhi uske pyaar ki shiddat ronay nahi deti Wo Kehte The Mar Jayenge Tere Aansun K Girne Se Pehle. 

15)Dil yeh nadaan na samjhe duniya ki rashmo ko, Chali hai ishq ka izaar karne.. Lakh manaya padh phir bhi na mana kamwaqt ne Zaher pi karr bhi rok na paya Aankhon ki aasuyon ko. 

16)In aansuon ki kuch to kadar karr meri jaan Isme chupa hai mohabbat tere liye Youn to mera zanazaa uthega teri jane ke baad Jisme ek tajmahal banayenge tere liye. 

17)Kar diya kurban khud ko, hamne wafa ke naam par, Chod gaye wo hamko akela majburiyo ke naam par. 18)Kabhi Na Aaye Mere Saath Chalke.. Hamesha Gaye Muje Barbaad Karke.. Agar Kabhi Aa Jao Meri Mayaat Pe.. To Keh Dena Abhi Soya Hain Tuje Yaad Karke 

19)Sheeshe ke dil me thi tasveer teri bassi, Sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki.. Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar, Jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti 

20)Gham hai ki woh hume samajh na sake, hum mil karr bhi mil na sake, do pal ki khushuyan thi meri zindegi mein, gam hai ki ushe v hum rok na sake 

21)dil mein patthar rakh ke unse mooh mora humne, khud ko tod k unka dil toda humne, na jane kitane sitam saha tere liye is dil ne, padh kuch gila v na kar paya humne 

22)Khushiyaan ek kahani ban k rah gayi, milte milte yeh dooriyaan badti gayi, na jane kahaan gayi woh khilti huyi mausam, dil mein ek andhera si cha gayi. 

23)Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake, diwane dil pe kabu hum pa na sake, aaj itne karib se gujar gaye wo, phir bhi unka hath hum tham na sake 

24)Tum rooth jao mujse, Aisa kbi na krna Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kbi na krna Main puch puch haron, So so sawal kar k Tum kuch jawab na do, Aisa kbi na krna Mujse hi mil k hasna, Mujse hi mil k rona Mujse bichar k jee lo, Aisa kbi na krna Tum chand ban k rehna, Main dekhta rahon ga Kisi roz tum na niklo, Aisa kbi na krna Tum chalay jao jab b,To dekhon tumhara rasta Tum laut k na aao, Aisa kbi na krna 

25)Na karo behas haar jao gay, Husn itni bari daleel nahi 

26)Tm muhabbat khareed laaye ho Umer Ghar main pehly azaab km thy kiya ? 

27)Kbi Ulfat Bhara Lehja tera, Kabi Utra howa Chehra tera… Smajh Me kch Nhi Aata, btaa mera Gunah kya hy…? Meri Uljhan Mita to dy, Mujy Itna bata to dy… Me Mujrim hon, ya Mehram hon, Saza Keya hy, Jazaa Kya hy…? Meri Sansain to Chalti Hy, teri Yadon Sy Ay meri JAAN.. Nhi Fursat k yeh Sochoun, Fanaa kya hy, Baqaa Kya hy..? Mera ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, ye Sb “umer” Ye Sab kch Naam Tery hy, Bata Peechay Bacha Kya hy  

28)Nafrat Ki Dhop Main Barsat Se Pehly, Halaat Na Thy Aisey Teri Mulaqat Se Pehly Har kisi ko hamdard samajh lety thy Ham bi kitny saadah thay muhbton k tajrubat se pehly Ye Barish Ye Hawa Ye Dhanak Ye Mosam,,, kis kis Se Mohabat Thi Teri Zaat Se pehly Bikhry to bs aisy toot k bikhry Log dety thy misal hamari haadsaat se pehly Tu ye na samjh tujh se ulfat gaye dino ki bat thi Ham aaj b sochty hain tujhy apni zaat se pehly 

29)Har Sans Mohabbat Pe Fida Krta rahun ga, Saa’il Hun Tere Dar Pe Sada Krta rahun ga… Yeh Dard Yeh Aansu Meri Kismat Ki atta Hain, Han Tere Liye Dil Se Dua Krta rahun ga… Ta’zeer Lagao Mujhe Sooli Pe Char’ha do, Mujrim Hun magar Jurm_e_Wafa Krta rahun ga… Tasleem Kare Ya Na Kare Uski raza Hy, Main Farz Mohabbat Ka Ada Krta rahun ga… Main Farishta To Nahi Usko Khabar Hy, Aadam Hun Baghawat Ki Khata Krta rahun ga. 

30)Mohabbat rog hoti hy kaha b tha! Rula k khud b roti Hy kaha b tha! Usay tum dil ki dharti ka pata mat do, Ye is mai dard boti hai kaha b tha! Kinare k boht nazdeek le ja kar, Ye kashti ko duboti hai kaha b tha! Azal se is ki aadat hai zamane Ko, Jaga kar aap soti Hai kaha b tha. 

31)Tmhein jo Yaad rakha hai yahi apni mohabat hai Mohabat karne walon ki Mohabat kab Badalti hai Jo Dil me Naqsh ho jaye or Nigahon me Simat aye Alamat hai ye Chahat ki To Chahat kab Badalti hai Tumhi ko Chahte hain hum Tumhi se Piyar karte hain Yahi Barson se Aadat hai or Aadat kab Badalti hai.! 

32)Apni zaat pe tanhai ka Libaas rakhta hon, Main khaas Phool hun Rang b Khaas rakhta hon, Mjhe ab kisi khushi ki Haajat ho b to kese, Bus Us ki yaad se aksar Khud ko Udaas rakhta Hon, Main Us k dard ko kyiOn Bant’ta phiron, !.WASI.! Main apni cheezen faqat Apne pas rkhta hOn.


Share And Comment on this



No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.