Wednesday, 15 May 2013

Love Is Real Test


1) MY LUV 4 U IS 4EVER LASTING AND 4EVER INCREASING BCOZ U 4EVER SHOW ME UR TRUE LUV 
.
2)LOVE IS A TEST WHICH STUPID PEOPLE FAIL AND THEN RE-TAKE THE TEST 

3)Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ? Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ? Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ? 



4)Apni haatir jage ho, soye ho, Apni haatir hanse ho, soye ho, Kis liye, Aaj khoye khoye ho, Tum ne aansuu bohat piye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho, Tum azal se dikhon ke dairey ho, Chahey khud ko ghamon mein ghairey ho, Jab se paida huye ho mere ho, Aaj kholain ge lab siye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere sirf mere ho ke raho, 

5)Ab mujhe apne dard sehne do, Dil ki har baat dil se kehne do, Meri banhon mein khud ko behne do, Mudatt’ton zakham khud siye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho, Hussan hi hussan ho, Zahanat ho, Aashiq hon mein, Tum to mohabbat ho, Tum meri , Bas meri amanat ho, Ji liye, Jis qadar jiye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho, Rehte ho ranj-o-gham ke ghairon mein, Dukh ke, asaib ke baseron mein, Kese choroon tumhain andheron mein, Tum ko de doon ga sab diye apne, Tum bohat saal reh liye apne, Ab mere, Sirf mere ho ke raho.. 6)Hum Khushbu Kay Sodagar Hain Hum Soda Sacha Kartay Hain Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka Tum Bhala Hal Kya Janoo Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain. 

7)Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya Ye Payar Nahi Aasaan Bohat Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat Jab bikhar gaye tab ye jaana Aaty hainn yahan toofan Bohat Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat kash wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat.. 

8)Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi! Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon! Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul! Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon! Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani! Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon! Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki! Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!" 

9)Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya Ab Hum Ne Rona Chor Diya Jub Rona Nahin To Hasna Kiya Ab Hasna Hasana Chor Diya Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya Tum Rootha Karte Thay Hum Se Ab Hum Ne Manaana Chor Diya Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya 

10)Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,- Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili, Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay, Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili, Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey, Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili, Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien, Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili, Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila, koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili. 

11)Death be not proud, though some have called thee Mighty and dreadful, for thou art not so; For those whom thou think'st thou dost overthrow Die not, poor death, nor yet canst thou kill me. From rest and sleep, which but thy pictures be, Much pleasure, then from thee much more must flow, And soonest our best men with thee do go, Rest of their bones, and souls' delivery. Thou art slave to fate, chance, kings, and desperate men, And dost with poison, war, and sickness dwell, And poppy, or charms can make us sleep as well, And better than thy stroke; why swell'st thou then? One short sleep past, we wake eternally, And death shall be no more; death, thou shalt die. 

12) We pray for one last landing On the globe that gave us birth; Let us rest our eyes on fleecy skies And the cool green hills of Earth.
Share And Comment on this



No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.