1)KASH TUM VO HOTE JO HAR PAL HME YAAD KARTE REHETA
AOR HME HAR PAL HICHKIYA AATI REHETI TERI PUKAR SE 2)VO PAL HME HAMESHA YAAD REHETE HAI PYAR BHARE
JABSE TUM HME ZINDGI BHAR K LIYE MIL GYE TTHE 3)Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Rudaad- e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,
Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,
Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo. 4)Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha..!!
Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal..!!
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha ..!!
Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya..!!
Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!
Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi ..!!
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha..!!
Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha..!! 5)Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,
Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,
Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,
Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar
1)Is Duniya mai kabhi kisi ko alvida mat kehena
pta nahi kaha or kab phir se raaste ek ho jate hain 6)2-4 din ki ye zindgani hai jo pal mai beet jayegi
bas pya karo to manzil tumhe sitaro tak le jayegi 7)Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,
Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,
Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..
8)Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to,
Kese kese phool khile hain dekho to,
Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein,
Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to,
Hanste gaatey logon ki is dunya mein,
Hum kyon itne chup rehte hain socho to,
In chahat ki tarsi pyassi ankhon mein,
Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to,
Janaan in dunya walon ki nazaron se,
Door kahin le jaaon tum ko aao to,
Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye,
Tum bhi raah badal sakte ho chaho to,
Deewana sab log samajhne lagte hain,
Arshad bass khamosh raho ghar aao to.. 9)Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha 10)Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha
Share And Comment on this
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.