Wednesday, 25 September 2013

Meri Life Ka Pyar


hi frnds mai aapko aapne bare mein sab kuch btata chahta hu or aap se yahi aasha karta hu ke aap mujhe sahi rah par jane ka marg bta sakte hai or shayad yahi mere liye meri is difficult life mein sahi tra jeene layak kuch sabab ban jaye.mai ek simple sa larka hu jisko simple log simple peherava acha lagta hai kabhi bhi mein kisi fukri bazi mein nahi pra , naam mera dilpreet hai or bathinda ka rehene wala hu pehele meri ek baat hai jo aap sab log mujhe iska answer do ke kya pyar shakal dekh kar money dekh kar gari dekh kar ya ghar bar dekh kar kiya jata hai agar esa hota to diniya mein kisi greeb ko to pyar karne ka hakk hee nahi hona chahiye,Mere shaher mein ek girls college hai naam nahi bta sakta yr varna to rehe kya jaega bta ne ky aap samajh hi gye honge ke kisi larki ki baat hone ja reahi hai baat to ek larki ki hi hai par dosto yr koi esi vaise larki nahi hai meri nazro mein,Pooja jise maine bachpan se chaha or aj tak usko pyar karta hu meri bachpan ki frnd thi hum sath khele satch bre hue or pyar bhi kafi tha hum dono mein par young hote hote hmari duriya barhti gai shayad umar ka tkaza tha jo larke larki ko samaj lete hai to larkia bhi larko se thora duur rehena hi theek samjhti hai par maine pooja se pyar to kiya par uske bare mein kabhi bhi galat nai socha kabhi bhi mann mein,pooja 12th ke baad girls college mein chali gai or main bhi colleger jane lag gaya par pooja ki yaad mere munn mein bohot gehri thi,maine new bike li to ek din pooja ko bus stand se life de kar college tak chor ke aya to roz hum dono sath sath jane lge kafi din tak sath jate jate hum mein phir se dosti pehele jaisi achi si ho gai or ek din maine pooja se kaha ke pooja kya tum jaanti ho ke mein tumhe bachpan se pyar karta hu par pooja kuch nahi boli or vo chup chap simple sa face lekar mere bike ke piche baithi rahi to colleger ke bahar utar gai to meine uske face ki taraf dekha par vo kuch nahi boli maine usko kaha k pooja kya baat hai tumhe meri baat agar achi nahi lagi to mai muafi mangta hu to vo boli ke mai bhi tumhe like karti hu kafi time se par larki pehele ye baate nahi karti tumne to itne saal laga diye ye ek baat karne to pooja ne btaya ke uska rishta taye hone ja raha hai kisi Delhi ke larke se to hum dono shayad ek nahi ho payenge ,ye sunke to mai colleger kya vapis ghar bhi nahi gaya pura din chote kulche ki reheri jaha main aksar ja kar khata tha vaha pura din baith kar rota raha har aane jane wala puch raha tha kya beta kya ho gaya larka hokar tu ese ro kyu raha hai mai unko kya btata ke kya ho gaya hai yr itne saal tak maine jise baat ko kehene ke liye himat jutai or aj vo baat kehene par mujhe ek himat maar dene wala baat suun ne ko mila to main kya kehera kiti ko kya ho gya hai mere sath.mai kya kri btao yr pooja se itna pyar karta hu ke ya agar uski shaadi ho gai kisi or ke sath to mai to gaya yar mai to marjana bas usi din chahe kisi to farak pre ya na pre;... ========================================

1)Woh Hamare Nehi To Kya Gam Hai...... . Hum To Oonhi KeHain,Yeh Kya Kam Hai...... Na Gam Kam Hai, Na Ansu Kam Hai...... . Dekhte Hain Rulane Walo Mein Kitna Dum Hain...... 

2)Maut ke aagosh mein sone ko jee karta hai, Dil to kho diya ab jindagi khone ko jee karta hai, Uski yaad aati hai jab bhi mujhe Naa jaane kyu, kahi pe tanha baith ke rone ko jee karta hai. 

3)Dil Ne Jo Chaha Aaj Tak Naa Paaya, Jhooti Muskan Se Humne Hmesha Gum Chupaya...!! . Vaise To Har Insan Takdeer ko Azmata Hai, Ek Hum Hai Jise Har Bar Takdeer Ne Aazmaya...!! 

4)chaha hai tumko har pal humne har pal tumhe hi paane ki dua karte hai insaan vaise to ek baar marta hai zindgi mai tum par to hum har ek pal marte hai 

5)Nahi Hai Honsla Mujh Mai Tumhain Khony Ka Par Sun Lo... Ye Dunia Mujhy Kho Dy Gi Agar Tum Kho Gaie Mujh Se... 

6)Agar Nend Aa Jaye Tu So Bhi Liya Karo.... Raat'on Ko Jagney Se Muhabbat Lota Nahi Karti... 

7)Mein Ne Us Se Kaha Ke Chor Du Ya Tor Du Muje Us Ne Hans Kr Galey Lgaya Or Kaha Chor Raha Ho Aaj Tujey Toot Tum Khud Hi Jao Gey 

8)Jab Bhi Teri Yaad Aati Hai Naam Likhta Hon Jab Takya Per Ser Hota Hai Mahsoos Karta Hon Ya Rab De Un Ko Sabre Jameel Or Humko Chain Woh Juda Huwe Hain Jab Se Na Hai Kisi Ko Sukoon… 

9)Chahte the jinhe unke dil badal gaye :( Samandar to wahi tha, sahil badal gaye. Katal aesa hua kishton mein mera. Kabhi badle khanjar to kabhi qaatil badal gaye. 

10)yahan kaun kis ko dil me jagah deta hai, Ped bhi sukhe hue patton ko gira deta hai,Waqif hai hum bhi khoob duniya ke riwaajon se,JAAN nikal jaaye to apna hi koi dafna deta hai. 

11)Wo Bewafa H To Kya Hua ? Mat Bura Kaho Use. . .. . . . . Wo Bewafa H To Kya Hua ? Mat Bura Kaho Use. . . . Hum Kisi Or Ko Set Kar Lenge Dafa Kro Use. 

12)Gulab ki pati sy b nazuk tha mera dil Zamany ki thokron ny usy Pathr bna dya Nikly the is liye k dhoondh lain ge tujhe Teri talsh ne umar bhar ka musafir bana dya. 

13)Kabhi hum tute to kabhi khwab tute, na jane kitne tukdo me arman tute, Har tukda aaina hai zindgi ka, har aaine ke sath lakhon jazbat tute,,, 

14)Hum Se Khelti Rahi Duniya Taash K Patton Ki Tarha! Jis Ne Jeeta Us Ne Bhi phenka,,,, Jis Ne Haara Us Ne Bhi phenka,,,, 

15)Hum Se Khelti Rahi Duniya Taash K Patton Ki Tarha! Jis Ne Jeeta Us Ne Bhi phenka,,,, Jis Ne Haara Us Ne Bhi phenka,,,, 

16)khud ke Ishq ko fanna kuan karega, sabhi nek banenge toh gunhaa kuan karega, ae khuda bachaye rakhna uss bewafa sanam ko, warna hamari maut ki dua kuan karega… 

17)Pyar Me Bewafaai Mile To Gam Na Karna.. Apni Ankhe Kisi Ke Liye Nam Na Karna.. Wo Chaahe Lakh Nafrat Kare Tumse.. Par Tum Apna Pyar Uske Liye Kam Na Karna.. 

18)Pyar Aur Dosti Me Itna Fark Paaya H Pyar Ne Sahaara Diya Dosti Ne Saath Nibhaya H Kis Rishte Ko Gahra Kahu Ek H Zindgi To Dusre Ne Jeena Sikhaya H. 

19)Jindagi me kabhi aisa bhi waqt ayega, Apko chahane wala he apko rulayga, Phir bhi usi se pyar karna, Kiu ke akele me wo ap se bhi jyada ansu bahayga. . . . . 

20)Ganesh ji ka roop nirala hai Chehra bhi kitna bhola bhala hai Jise bhi aati hai koi musibat Use inhi ne to sambhala hai Jai Shri Ganesha 

21)Madam Askd Pappu: Agr ped par 5 birds baithe ho, aur tum 1 ko goli maar do to kitne baki bach gaye? Pappu: Koi nhi, sab ud jayenge. Teacher: Nahi, 4 bachenge, lekin tumhari soch muje pasand aayi. Pappu: Madam, mera bi 1 sawal Hai. 3 ladies ice cream kha rahi Hain, 1 chaat kar, 1 kaat kar aur 1 choos kar, To konsi shadi shuda Hai? Teacher(sharmate hue): Jo choos rahi Hai Pappu: Nahi, jiske gale me mangalsutra hai, lekin apki soch bhi mujhe pasand aayi... 

22)Mohabbat hum ne ki jo ek khata hogayi Ki wafa or zindagi saza ho gayi Wafa karte rahe hum ibadaton ki tarhan Phir ibadat khud ek gunah ho gayi Kitna suhana tha safar jab sath thay hum Phir kia howa kyun manzil juda ho gayi.. Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi wo gaya to laga duniya fana hogai..!!! 

23)kuch patthar me b phool khil jate hain... kuch anzane b apne ban jate hain....... is katil duniya me kuch lasho ko kafan b nasib nahi hote., aur kuch lasho pe tajmahal ban jate hain... 

24)Meri mohabat ka is tarah mazak na bana Ki teri aankhen hi taras jayein mujhe dekhne ke liye 

25)Hansata tha phir mujhe rula b deta tha kar k aksar wade mujhe se bhula b deta tha kabhi kabhi batein muhabbat ki suna b deta tha tham leta tha hath mera kabhi yun hi khud kabhi hath apna mere hath se chura b leta tha kubhi bewaqt chala ata tha milne ko kabhi keemti pal muhabbat k guma b deta tha ajab dhop chaaon sa mizaj tha us ka Mohabbat b karta tha Nazron se gira b deta tha 

26)Tumhari mohabbT K 2 LamHe JaaN Lewa THey PaHLe 
MohbbaT Ka iqraar Karna PhiR MohabbT Se inkaar Karna 

27)Insaan ki fitrat par ek sachhi baat: Sukhe honthon se hi hoti hai Meethi baatein... Pyaas bujh jaye to Alfaaz aur Insaan dono badal jaate hain...! 

28)Dil sambhalta bhi nahi,dhadakta bhi nahi, Khamosh hone ke bawjud ye rukta bhi nahi, Bata do mere"KHUDA" ke kaise jiye zindagi, Ke yaha koi shaqs apna bhi nahi,paraya bhi nahi... 

29)Kitni Ajeeb Judai Thi Ki Tujhe Alwida Bhi Na Keh Saki Teri Sadgi Me Itna Fareb Thi Ki Tujhe Bewafa Bhi Na Keh ski. 

30)Aisa Nahi Kay Tujh Say Muhabbat Nahi Humein Par Ghum Roz-Roz Sehnay Ki Aadat Nahi Humein 

31)Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai Par toot ke chahna sirf ek baar hota hai 

32)Love doesn't start in morning & doesn't end in evening. It starts wen U dn't need it & it ends wen U need it most 

33)Unko Apne Haal ka Hisaab Kya Dete? Sawal Saare Galat The, Hum Jawab Kya Dete? Wo Toh Lafzo Ki Hifazat Bhi Naa Kr Sake. Phir Unke Hath Mein Zndgi Ki Puri Kitaab Kya Dete??? 

34)Mein Saans Rokna Chahta Tha, Is Nirdayi Duniya Se Door Jaana Chahta Tha, Kyunki Wo Har Saans Me Mujhe Yaad Aati Thi, Par Mein Aisa Kar Nahi Paaya, Kyunki Ye Zindagi Bhi To Usi Ki Thi, Mein Use Aise Hi Samapt Kaise Kar Sakta Tha. 

35)Wafa Ka Dariyaa Kabhi Rukta Nahin Ishq Mein Premi Kabhi Jhukta Nahin Khamosh Hain Hum Kisi Ki Khushi Ke Liye Na Socho Ke Hamara Dil Dukhta Nahin! 

36)Intzar Ki Aarzu Ab Kho Gayi Hai, Khamoshiyo Ki Aadat Ho Gayi Hai, Na Sikwa Raha Na Shikayt Kisi Se, Agar Hai To Ek Mohbbat, Jo In Tanhayion Se Ho Gayi Hai..! 

37)Jo Mananay K Fun Se Waqif Hon Wohi Aksar Khafa Bhi Hotae Hain.! Jo Baray Ba-wafa Se Dikhte Hain Wo Baray Be-wafa Bhi Hote Hain Jo Theherty Hain Zeest Ka Haasil Wohi Lamhay Saza Bhi Hoti Hain Hum Ko Itni Khabar Nahi Hoti Hum Kisi Ki Dua Bhi Hoty Hain Jo Bicherny Ka Wehem Rakhtay Hain Wohi Aksar Juda Bhi Hoty Hain. . 

38)U May Find Someone Better Than Me More Exciting Than Me.. Or So Much More Different Than Me But There Will Never Be Another Person Same As Me..! 

39)Humane Bhi Kabhi Kisi Se Pyar Kiya Tha. Thora Nai Besumar Kiya Tha. Humari To Duniya Hi Badal Gai Tab. Jab Usne Kaha Are O Pagal, Humane To Time Pass Kiya Tha. 

40)Nigaaho Se Qatal Kar Do. Na Ho Takleef Dono Ko, Tumhain Khanzar Uthanay Ki, Hamain Gardan Jhukanay Ki...!! 

41)Jinke Dil Par Chhot Lagti Hai Wo Ankho Se Nahi Roote. Jo Apno Ke Nahi Hue Wo Kisi Ke Nahi Hote. Waqt Ne Hume Ye Sikhaaya Hai Ki Sapne Toot Jaate Hain Par Poore Nahi Hote..! 

42) Har Roz Unki Yaado Me Hum Khoote Hain Unki Tasveer Ankho Me Lekar Soote Hain. Bheeg Na Jaye Ye Tasveer Ansuoo Se. Isliye Hum Ankho Se Nahi Dilse Roote Hain..! 

43)Har Roz Unki Yaado Me Hum Khoote Hain Unki Tasveer Ankho Me Lekar Soote Hain. Bheeg Na Jaye Ye Tasveer Ansuoo Se. Isliye Hum Ankho Se Nahi Dilse Roote Hain..! 

44)Jinke Dil Par Chhot Lagti Hai Wo Ankho Se Nahi Roote. Jo Apno Ke Nahi Hue Wo Kisi Ke Nahi Hote. Waqt Ne Hume Ye Sikhaaya Hai Ki Sapne Toot Jaate Hain Par Poore Nahi Hote..! 

45)Wafa Ka Dariyaa Kabhi Rukta Nahin Ishq Mein Premi Kabhi Jhukta Nahin Khamosh Hain Hum Kisi Ki Khushi Ke Liye Na Socho Ke Hamara Dil Dukhta Nahin! 

=========================================================== 




1)Chupke Se Jo Mangi Hai, Un Duao Me Tum Ko Pana Hai, Tum Rooth Ke Mujse Na Jao, Muje Sath Tumhara Pana Hai, Tum Laut Ke Wapis Aa jao, Muje “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai..


2)Wada hai humari ye mohabbat ki dastan khas rahegi, Aapki surat humesha dil ke pas rahegi, Nahi bhulenge hum aapko or aapke pyar ko, Jab tak dil me dhadkan aur ye saanse rahegi… 

3)Kash Meri Zindagi Ka Ant Kuch Is Kadar Ho Ki Meri Kabar Pe Bana Unka Ghar Ho Vo Jab Jab Soye Zameen Par Mere Seene Se Laga Unka Sar Ho 

4)Kabhi aana hamare sath, ek sapno ki duniya,apko batayenge, rehna chahoge aap bhi jaha, aisi woh duniya hum dikhayenge… 

5)Mein Khwabon Mein Tum Se Mila Karta Hoon Hansta Hun Rota Hun Shikwa Gila Karta Hoon Par Keh Na Pata Hun Haqeeqat Tum Se Ae Sanam Main Tum Se Bahut Pyar Karta Hoon… 

6)Door nighaon se bar bar jaya na karo Dil ko iss kadar tadpaya na karo Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum Yeh ehsas bar bar dilaya na karo..! 

7)Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi Apni Aankhon se 

Mohabbat ki Tijaarat dekhi Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? 

8)Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye Tumarey Dil mai thori si jaga chahye Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe 

9)Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi 

10)Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye… Shayar:Aitebar Sajid Zindagi Maout Ki Amanath hai Zindagi ko sanbhal ke rakhiye 

11)Hame ek ajnabi achi lagne lagi, unki bathein dil ko chu ne lagi, dosti tho na thi par hone lagi, reply jab atha hai tho ek ajeeb se khusi mehsoos hone lagi. DOSTI tho na thee par hone lagi. sab dosti se payari ek Ajnabi ki dosti acchi lagne lagi.. Ab ajnabi ka shayar kehna achha laga… Apne naam se zayada shayar sunna acha laga..  

12)Hum tho shayar hai bhad me Dost app ne SHAYAR kaha wo lafz acha lagaa… Humne tho apna naam zahir kardiya Sunne ki jo ho kwashih ap ka naam Wo ab apse keh diya.. Dil ne b apni choti si jagah me Aap k naam kabza kar ne laga… Ek ajnabi dost hame call karega Ab barosa hone lagaa… Ab dil tho diwana hone laga…. Dosti ek ajnabi se jo karne lagaa… Kayaal rakne ko kehthe hoo…. Call tho karthe hoo, Magar mizaz puchna bhool jate ho Dost tho manthe hoo Magar dosti jatana bhool jathe hoo, Aye Qudha ye kaisa ajnabi dost ham ne paya hai… Kayaal rakne ko kehtha hai Magr baat karne ko darta hai… Hum b tho unke dost hai Phir kyun Ye yaad dilana padtha hai.. 

13)Zindagi ka yehi tarana hai Gam uthana hai muskrana hai. Rop tera bada suhana hai Tujh pe qurban ye zaman hai. Kis qadar pyaar mera sachcha hai Aaj dil bar ko aazmana hai. Tujh ko paon ya tera hojaon Zindagi ka yehi fasana hai. Is tarah se na muskuraya karo Jaan lewa ye muskurana hai. Aarzi hai ye dunya aye lugon Har kisi ko yahan se jana hai. Arzoo hai yehi meri Danish Dust dushman ko bhi banana hai. 

14)Thaharo satao na itna sanam humko. Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko. Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao. Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho. Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko. Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge. Tarase the jo naina ab,nis din barasenge. Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko. 

15)Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi  
Share And Comment on this






No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.