Saturday, 14 September 2013

Pyar Ki Gazal


1)I looked at a sweet, beautiful rose, and then I looked at you, and I kept looking at you, for the rose isn't as beautiful as you 

2)Adam and Eve did it, Anthony and Cleopatra pracised it, Romeo and Juliet died for it, King Solomon sinned for it, so what would you do for love 


3)Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya Umar meri thi magar,isko basar iss ne kiya Main bohut kamzor tha iss mulq main hijrat kay baad Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar iss ne kiya Rehbar mera bana gumraah karne kay liye Mujhko seedhey raste se darbadar iss ne kiya Shehar mein woh moatbir meri gawahi se huwa Phir mujhe iss shehar main na’moatbir iss ne kiya Shehar ko barbaad kar kay rakh diya iss ne ‘Munir’ Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya 


4)Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se Bin Bulaaye Nikal Pade Ghar Se Ek Tou Kuch Dasht Yaad Aatay Hain Aur Wo Abar Jo Bohat Barsay Koi Qaabil Nahi Bharosay Ke Koi Mehfooz Hee Nahi Shar Se Loog Tarsay Hain Paanion Ke Lye Ham Magar Teri Pyaas Ko Tarsay Aap Ko Yaad Hai Ke Hum Ek Din ? Lout Aaye Thay Aap Ke Dar Se 


5)Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni Laho Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona Mager Tashna Labi Ki Zid Ser – e – Saahil Tehar Jaaye Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye Kahin To Saans Lay 


Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yiii Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye Kahaa K QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye 


================================ 



1)If there was a shop of happiness And If I knew about it I would buy every happiness for you Even if my life be the price of it..! Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti Aur mujhe uski pehchaan hoti Khareed leta har khushi aapke liye Chahe uski keemat meri jaan bhi hoti..! 

2)Love is the greatest feeling, Love is like a play, Love is what I feel for you,Each and every day, Love is like a smile, Love is like a song, Love is a great emotion,That keeps us going strong, I love you with my heart, My body and my soul, I love the way I keep loving, Like a love I can‘t control, So remember when your eyes meet mine, I love you with all my heart, And I have poured my entire soul into you, Right from the very start. 




3) I‘m lost in your dreams, during the days, and coz of that ,i can‘t feel the sun‘s rays, I‘m lost in your dreams, even at night, and coz of that ,i can‘t see the moon light, I‘m lost in your dreams, for months together, and coz of that, i can‘t feel the changing weather, So dear now i can‘t leave you coz, Without U my life is “Blue“,. 


4)A sea is for you, and waves are for me. The sky is for you, and stars are for me. The sun is for you, and light is for me. Everything is for you, and you are for me 


5)Even though We don’t get to be with each other As much as we’d like… I wanted to let you know In the morning… in the night… U are on my mind… 24 x 7 


6)“Life isn’t counted by the number of breaths you take, it’s counted by the number of times your breath is taken away” You’re breathtaking 


7)Arkmidiz Love Low:- Jab koi ladka or larki love karte hai To ladka ke padhayi me ek kami aati hai Jo us ladki ke dawara diye gaye pyar ke equal hota hai 


8)kisi se Pyar karna utna hi aasan hai, jitna mitti se mitti par mitti likhna, Par kisi k pyar ko nibhana utna hi mushkil hai, Jitna paani se paani par Paani Likhna.. 


9) Pyar - ek mahak hai, anant sagar hai, jeevan ka anand hai, kyon ise din ke bandhan me bandhe? yeh to ahasas hai, us hava ki tarah , jo jab chaye jahan chahe bahti hai , aur sabko jeevan deti hai.


10)I cannot resist the tears of a woman, that is why I would do anything for you!! 


11)Those who love deeply never grow old; they may die of old age, but they die young 


12)My heart 2 u is givn Oh, do gve urs 2 me V'l lock thm up 2gthr & throw away d key 


13)A lady is a woman who makes a man behave like a gentleman. You r such a lady 2 me



 ============================== 



1) If someone would ask me what a beautiful life means, 
     I would lean my head on your shoulder n hold u 
     close to me n answer with a smile: "Like this 

2) How can i spell s_ccess?or H_mble? C_te?or Tr_st,Bea_tif_l?

    &How can i say I LOVE _?I MISS _?I NEED _? Heyyy!then
    how can I spend my LIFE without 

3) hum huye is kadar pagal tere pya main 

    k hum apne to na rahe par tum hmare ho gye 

4)Yehi Haalaat Ibtadaa Se Rahe Log Hum Se Khafaa Khafaa Se Rahe, Bewafaa Tum kabhi Na Thay Lekin Yeh Bhi Sach Hai K Bewafa Se Rahe, In Chiraghun Mein Tel Hi kam Thaa kiyon Gilaa Phir Hamen Hawaa Se Rahe, Bahas, Shatranj Sher Mauseeqi Tum Nahi Rahe To Yeh Dilaase Rahe, Us K Bandon ko Dekh kar kehiye Humko Umeed kiyaa Khudaa Se Rahe, Zindagi ki Sharaab Maangte Ho Hum ko Dekho K Pi K Piyaase Rahe. 


5)tna khali tou ghar nahi, hum hain! Hum nahi hain magar nahi, hum hain!! Chasm-e-dushman ke khauf se pocho Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain Sham-e-tanhai gham na kar k tera Koi bhi humsafar nahi, hum hain Chand se keh do, be dharak utre Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain Woh jo sab se hain be khaber, tum ho Jin ko apni khaber nahi, hum hain Kyun jalate ho jhonpri apni? Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain Hum hain humzaad, raat ke Mohsin Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain 


6)Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main Khayaloon Main Tera Mausam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho



 =================================== 



1)Is Duniya mai kabhi kisi ko alvida mat kehena pta nahi kaha or kab phir se raaste ek ho jate hain 

2)2-4 din ki ye zindgani hai jo pal mai beet jayegi bas pya karo to manzil tumhe sitaro tak le jayegi 


3)Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan, Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar, Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi, Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar, Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai, Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar.. 


4)Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to, Kese kese phool khile hain dekho to, Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein, Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to, Hanste gaatey logon ki is dunya mein, Hum kyon itne chup rehte hain socho to, In chahat ki tarsi pyassi ankhon 


mein, Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to, Janaan in dunya walon ki nazaron se, Door kahin le jaaon tum ko aao to, Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye, Tum bhi raah badal sakte ho chaho to, Deewana sab log samajhne lagte hain, Arshad bass khamosh raho ghar aao to.. 


5)Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha Har Simt Usi Ka Tazkara Tha Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha 


6)Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad 


Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha 7)Yuhi aankhon se ansu bahte nahi, Kisi aur ko hum apna kahte nahi, Ek tum hi ho jo ruk se gaye ho zindagi mein, Varna rukne ke liye hum kisi ko kahte nahi 


8)Teri duniya ka yeh dastoor bhi ajeeb hai Khudaya, Muhabbat un ko milti hai jinhen karni nahi aati.. 


9)Shikaayet to nahin hai lekin itna poochta hoon main, Woh aakhir kya kare jo har tarah majboor ho jaye 


10)Karley sitam chahey jitne zamaana, sehna hai, Hum ne har haal mein jeeney ki kasam khayi hai. 


11)Mitt chaley meri umeedon ki tarah harf magar, Aaj tak tere khato’n se teri khushbuu na gayi 


12)Hawaa se lipti hui siskiyon se lagta hai, Meri kahani kissi aur ne bhi dohraayi.. 


13)Woh aik akss ke pal bhar nazar main thehra tha, Tamaam umar ka silsilaa hai ab mere liye. 


14)Nahin mere liye kya aur koi, Usi ka rasta kyon dekhta hoon.. 


15)Mujhe yaqeen hai mohabbat issi ko kehte hain, Ke zakham taaza rahe aur nishaan chala jaye.. 


16)Har Majburi se ladna sikhlo Har gum ke sath jina sikhlo Busy hum bhi kam nahi par Hamari tarah DOSTO Ko yaad krna sikhlo 


17)Na Milne Ki Khushi, Na Judaai Ka Gum, Na Udaas Na Tanha Hai Hum, Kaise Kahe Kaise Hai Hum, Bas Itna Samajh Lijiye Aapke Bina Akele Hai Hum.. 


18)Aapko miss karna.. roz ki baat hai. Yaad karna.. aadat ki baat hai. Aap se duur rehna.. kismat ki baat hai. Magar aap ko jhelna.. himmat ki baat hai. 


19)Zindagi to sabhi ke lia wahi hai Fark hai to bas itna sa hai “Koi dil se jee raha hai” aur koi “koi dil rakhne ke lia jee raha hai” 1)Chupke Se Jo Mangi Hai, Un Duao Me Tum Ko Pana Hai, Tum Rooth Ke Mujse Na Jao, Muje Sath Tumhara Pana Hai, Tum Laut Ke Wapis Aa jao, Muje “Hamsafar” Tumhe Bnana Hai..



2)Wada hai humari ye mohabbat ki dastan khas rahegi, Aapki surat humesha dil ke pas rahegi, Nahi bhulenge hum aapko or aapke pyar ko, Jab tak dil me dhadkan aur ye saanse rahegi… 

3)Kash Meri Zindagi Ka Ant Kuch Is Kadar Ho Ki Meri Kabar Pe Bana Unka Ghar Ho Vo Jab Jab Soye Zameen Par Mere Seene Se Laga Unka Sar Ho 


4)Kabhi aana hamare sath, ek sapno ki duniya,apko batayenge, rehna chahoge aap bhi jaha, aisi woh duniya hum dikhayenge… 


5)Mein Khwabon Mein Tum Se Mila Karta Hoon Hansta Hun Rota Hun Shikwa Gila Karta Hoon Par Keh Na Pata Hun Haqeeqat Tum Se Ae Sanam Main Tum Se Bahut Pyar Karta Hoon… 


6)Door nighaon se bar bar jaya na karo Dil ko iss kadar tadpaya na karo Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum Yeh ehsas bar bar dilaya na karo..! 


7)Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai Dekhte Dekhte Dunya hi 


Ujar jaati hai Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya 


hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? 


8)Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye Tumarey Dil mai thori si jaga chahye Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe 


9)Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi 


10)Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar 


Chahiye Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye… Shayar:Aitebar Sajid Zindagi Maout Ki Amanath hai Zindagi ko sanbhal ke rakhiye 


11)Hame ek ajnabi achi lagne lagi, unki bathein dil ko chu ne lagi, dosti tho na thi par hone lagi, reply jab atha hai tho ek ajeeb se khusi mehsoos hone lagi. DOSTI tho na thee par hone lagi. sab dosti se payari ek Ajnabi ki dosti acchi lagne lagi.. Ab ajnabi ka shayar kehna achha laga… Apne naam se zayada shayar sunna acha laga..  


12)Hum tho shayar hai bhad me Dost app ne SHAYAR kaha wo lafz acha lagaa… Humne tho apna naam zahir kardiya Sunne ki jo ho kwashih ap ka naam Wo ab apse keh diya.. Dil ne b apni choti si jagah me Aap k naam kabza kar ne laga… Ek ajnabi dost hame call karega Ab barosa hone lagaa… Ab dil tho diwana hone laga…. 


Dosti ek ajnabi se jo karne lagaa… Kayaal rakne ko kehthe hoo…. Call tho karthe hoo, Magar mizaz puchna bhool jate ho Dost tho manthe hoo Magar dosti jatana bhool jathe hoo, Aye Qudha ye kaisa ajnabi dost ham ne paya hai… Kayaal rakne ko kehtha hai Magr baat karne ko darta hai… Hum b tho unke dost hai Phir kyun Ye yaad dilana padtha hai.. 


13)Zindagi ka yehi tarana hai Gam uthana hai muskrana hai. Rop tera bada suhana hai Tujh pe qurban ye zaman hai. Kis qadar pyaar mera sachcha hai Aaj dil bar ko aazmana hai. Tujh ko paon ya tera hojaon Zindagi ka yehi fasana hai. Is tarah se na muskuraya karo Jaan lewa ye muskurana hai. Aarzi hai ye dunya aye lugon Har kisi ko yahan se jana hai. Arzoo hai yehi meri Danish Dust dushman ko bhi banana hai. 


14)Thaharo satao na itna sanam humko. Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko. Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao. Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho. Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko. Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge. Tarase the jo naina ab,nis din barasenge. Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko. 


15)Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari

Share And Comment on this




No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.