1)Reza-Reza bikhre pade hain dil ke armaan, Muskano se wasta nahi, gammo se hai khoob pehchaan, Wo khush hai bahut door ja kar mujhse, Mein bhool pao.n, avval-avval ki mohabbat nahi imkaa.n, Mausam-e-hijraa.n aaya to yaad aaye tum, Aayegi jab ihq-e-bahar, to aayenge yaad shahjahaa.n 2)darad kis ko dhekaye koi darad dhekta bhi nehi payar kis se kare koi payar karta bhi to nehi? ab to haste howe bhi dar lagta hain kahe yah khushi chale na jaye har khushi ka saath 1000 ghum hote hain jaha hasi hain wahe matham hain jaha payar hain wahe nafarat hain hum jase [...]
3)Sabaah-E-Noor Hota Hai, Aur Gham-E-Shaam Bhi Hoti Hai Phir Aisa Wakt Ek Aata Hai, Jab Aankhein Namm Hoti Hai Jahan Tum Aa Nahi Sakte, Wahan Basera Karte Hain Jahan Shaam Tanha Hoti Hai, Jahan Rooh Hamari Rotee Hai Ki Abb Yaado’n Se Waabasta Hai, Laraztee Ye Meri Saansein Kyun Halki Si Aahat Par, Ye Aankhein [...] 4)WO MUJE ILZAM DETA HAI K MAIN HON BE WAFA.. JAB K MERA TU HAR PAL US KI YAD SE KHALI NAI JATA SHAID WO NAI JANTA.. K KUCH LOG UUN BHI WAFA NIBHATE HAIN K CHAHY HON HALAT JAISE BHI NAHI BHOOL PATE WO APNE MAHBOB KO 5)Kehte ho dokha mila tumhe gairo.n se, Hamse pocho dard, hame to apno ne loot liya!! Lete rahe jo ta-umar mujhse mohabbat, Manga jo hamne kuch, gusse se mooh pher liya!! Log jeete hai sirf khud ke liye aaj-kal, Aur mein nadan, jab bhi jiya dusro ke liye jiya!! 6)KAISE KAHUN, MAIN TUMSE PYAAR KARTA HUN, KAHIN TU INKAR NA KAR DE,YEH SOCH KE DAR TA HUN. PEHLA-PEHLA PYAAR HAI,TUJH KO KHONE SE GABAR TA HUN, TUJH KO HI CHAHATA HUN,SIRF TUJH PAR HI MARTA HUN. SANJH-SAVERE TERI TASVEER HI DEKHA KARTA HUN, DER-DER TAK TERI TASVEER SE BAATEN KARTA RAHETA HUN. DIN BAR [...] 7)Reza-Reza bikhre pade hain dil ke armaan, Muskano se wasta nahi, gammo se hai khoob pehchaan, Wo khush hai bahut door ja kar mujhse, Mein bhool pao.n, avval-avval ki mohabbat nahi imkaa.n, Mausam-e-hijraa.n aaya to yaad aaye tum, Aayegi jab ihq-e-bahar, to aayenge yaad shahjahaa.n, 8)Mera Rishta tujh se bahoot purana hai jab na tha tera sath, wo bhi ek jamana tha Mile ho jab se Bhool gai main is dunia ko Tujhko bhi to sirf mere he sung anna tha thi hairaan main, kaise aor kyun tum mere ho gaye socha bas phir yahi, jo mera tha, usne he [...] 9)Kya ho tum, aur kya hai wajood tumhara dikhao, Gamo se ro-b-ro na sahi khud se to kabhi milwao, Bhoode ho, jawan ho ya ho phir namurad aashik, Mehfil-e-yaar me aake u dastaan-e-ishq na chupao, Bahut bikhre pade hai phool ishq-e-raah me yaar, Utha kar pyaar se kisi ek ko apni zindagi me sajao, Incoming [...] 10)Mila woh bhi nahi kertey, Mila ham bhi nahi kertey. Wafa woh bhi nahi kertey, Jafa ham bhi nahi kertey. Unhain ruswai ka dukh hai, Hamain tanhai ka gham hai. 11)Guftugo Ke Lamhon Main Dekh He Nahi Paatay Ham Tumharay Chehray Ko Tum Hamari Aankhon Ko Aaj Aisa Kartay Hain Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain Baat Chor Datay Hain Jaane Kiya Lamha Hoga Jab Ye Hath Hathon Say Gar Kabhi Juda Hoga Aaj Aisa Kartay Hain Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain Hath Chor Datay Hain 12)Teri Ek Ada Mein Ghayal Ho Gaye Tujhe Dekha Jabh Dobara Tere Pyar Mein Paagal Ho Gaye Hum Tu Chhod Kar Jo Chali Gayi Humey Gham Ki Duniya Mein Kahin Kho Gaye Teri Bewafai Ke Zakhm Abhi Bhi Dard Dard Karte Hain Ey Bewafa Sanam Hum Tumhe Abhi Bhi Yaad aTe Hain paagal Ho Chuke [...] 13)Its In Hindi ???? ??? ???? ??? ??? ?? ???? ????? ? ???? ??? ?????? ???? ?????? ?? ??????? ?? ? ???? ???? ??? ??? ?? ???? ????? ???-????? ???-????? ????-????? ????? ?? ???? ? ??? ??? ????? ???? ????? ?? ???? ??????? ?? ???? ??? ?? ???? ?????? ?? ???? ??? ?? ??? ??????? [...]
14)Jab kabhi milte hai unse.. To lagta hai , Hum apni kahi khoi huyi khushi se milte hai.. Sar ko rakh lete hai unke dar par khwaish.. Hum unse itni deewangi se milte hai.. Jab kabhi judaa hote hai hum unse.. Koi hosh na koi sukoon milta hai.. Samajhlo jaise hum apni tanhai se milte [...] 15)MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA MERI TOOFAAN ME KASHTI, KINARA KON DEGA YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO ZINDIGANI ADHOORI SEE LIKHI GYEE HA KYUN MERI KAHANI HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA KON DEGA MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA MAIN HOON OUR SATH MERE AB MERI [...] 16)Kahin chand rahon mein khö gaya Kahin chandni bhatk gai Mein charag wo b buja huwa Meri rat kaise chamk gai Meri dastan ka arooj tha Teri naram palkon ki chaon mein Mere sath tha tuje jagna Teri ankh kaise jhpak gai Bhala hm mile b to kya mile Wohi doorian wohi faslay Na kbi [...] 17)Khuwabon Ki Dehleez Pe Sona Acha Lagta Hai, Kuch Lamhon Ko US Ka Hona Acha Lgta Hai. Khel Khel Main Jewan Bhar K Dukh Mit Jatay Hain, Kho Kr Pana, Pa Kr Khona Acha Lgta Hai. Dil Walon Ko Dekh K Dil Aisay Khush Hota Hai, Bachay Ko Jis Tarha Khilona Acha Lgta Hai. Hijar [...] 18)Umer khushion mein basr ho yeh zrori to nahi Phir shab-e-ghum ki sahar ho yeh zrori to nahi Neend to dard k bistar pe b aa skti hai Unki Aaghosh me sir ho ye zarori to nhi Mohabat ko logo ne khail samjh rkha hy Is k matlub se sub aashna hon ye zarori to [...]
19)Aankhon Me Samaa Jatey Ya Dil Me Utr Jatey, 2nu Ka Bhala Hota 2nu Hi Sanwr Jatey,,, Milty To Ye Acha Tha Jeevan Ki Musaft Me, Kuch Faasley Km Hotey Kuch Roz Guzr Jatey,,, Doori B Ghanimt Hy Ik Aas To Hy Warna, Jo Aas Pe Jeetey Hain Wo Log Bikhr Jatey,,, Kuch Roz Judai [...] 20)Har shy ka soda hota he Her cheez bikaau hoti he Har fard yaha per taajir he Har waqt tijaarit hoti he Tum ap he apne daam kaho Chup k nhi sar_e_aam kaho Kya lo ge apni yari ka Kya lo ge tum dildaari ka Gham_khwar bno ge kitne men Tum pyar kro ge kitne [...] 21)Zara tham tham k barsa kar abhi itna na rotha kar Abhi to dur hai manzil Abhi khud ko na tanha kar Teri ankhen smandar hen Samandar ko na sehra kar Mera dil doob jata hai Mujhe ase na dekha kr Hawa mujh se kahe pagal 22)Jaanti hoon tumse bohot pyaar kerti hoon,, Lekin kehne se dartii hoon. jaanti hoon tum sirf mere ho fir kyun tumhe khone se dartii hoon,, jaantii hoon yeh duniya ek dhoka hai fir b iss mein jeeti hoon… janti hoon tumhare paas mere liye waqt nahi fir b tumhara intezaar kerti hoon.. janti hoon tum [...] 23)hay tamana, na havaon main reekhtay jaatay teray labon say ye naghmay paseejtay jaatay jahaan main aansoovon ka motiyon sa mole nahi wagarna dard hain jitnay, khareedtay jaatay tere hayaat ki gham-geeniyon say haar gay ajab na tha k haseen lab bhe jeetetay jaatay teray wajood say haasil hain dard-o-nakhun bhe ye zakhm dard dain [...] 24)tu nhi he to tera gham meri tanhai he teri ek yaad he jo mere dil ko bhai he ankhein nam he or dil me dard ka alam honth si kar bhi ruswai yan uthai hei kya gamon ko hi piyar kehte hei ya taqdeere moohabbat hi judai he haal dil ka kuch aaj aesa [...] 25)Oh ! Muskan Har Chehre ka asli gehna ho tum Nari ki anmol bholi pehchan ho tum Mahakta hua sugandhit pushp ho tum Vishva Sundari ka komal tan ho tum Chapal yuvti ka chanchal man ho tum Ho sake agar,tou aakar Mere Chehre ko bhi sajaa jaana Apni rahashyamayi chhavi de jaana Apni jaadooyee klaa [...] 26)NA CHAHTE HUE BHI HUMKO YAAD KARENGE AAP DIL KEHATA HAI. HICHKIYON SE PARESHAN BAHUT HO JAAYENGE AAP DIL KEHTA HAI KISI AUR KO UUN NAZRON SE NA DEKH PAYENGE AAP DIL KEHTA HAI. MERE GEETON KO YAAD KARKE GUNGUNAYENGE AAP DIL KEHTA HAI. APNI TAAREEF AUR SE ZARAA NAHIN SUN PAYENGE AAP. DIL KEHTA [...] 27)Zindagi Main Hai Dhoka is ke Siwa Kuch Nahi Tamashai Hai Yeh Dunya is ke Siwa Kuch Nahi Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai Zindagi Hai Aik Khuwab is ke Siwa Kuch Nahi Khushiyan Hain Lakhon is Dunya Main Magar Udasi Hai Mere Dil Main is ke Siwa Kuch Nahi Mujh Se Jo Log [...] 28)Aaj ham ayesa kuch kar jaye Rasme dunia se chal kahi jaye Tere kandhe pe rakh ke sar apna Sari duni ko ham bhula jaye Chal kahi aeyse des ham jaye Jis jagha piyar ho mohabbat ho Koi nafrat na shikayat ho jhan Har taraf phool ho bharei hon Door tak ham jhan nazar dale [...] 29)Kach_che makano ki tooti khid_kiyaa.N Kach_che raasto ki veeraniyaa.N Poochti hai humse lautoge kab Gaav se purkho ki nishaniyaa.N Yeh zamee.N kya zamee.N ab tumhari nahi Zindagi gaav ki kya tumko pyaari nahi Mere damen q bhar gaye mehroomiyaa.N Poochti hai humse lautoge kab Gaav se purkho ki nishaniyaa.N Maa bankar nadiyo me nehlaya tujhe [...] 30)Teri budhi maa darwaze pe nigah basaye baithi hai, Ke uska beta laut ayega uske paas, Tera baap tooti parri kursi pe lachar lash ban parra hai, Ke uske beta uska sahara ban’ne ke liye laut ayega, Dono ke dil ki dhadkane bas yehi guzarish karti hai tujse, Ae musafir laut aa… Tu ghar se [...] 31)Kehne ko to bahut hai mere apno me, par koi ho jise apna kehte hi guroor aa jaye to….kya baat ho..! Suna hai ishq me tez ho jati hai dil ki dhadkane, par koi jo khud aisi dhadkan ban jaye to….kya baat ho..! Chahten hain sab saat janmo ka pyar, par ye ehsaas koi ek [...]
32)Tumhari AAnkhei?n kehti hai?n hisaar-e-Zaat se niklo Tamanna meri bann jao Shab-e-Barbaad se niklo Kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa Kabhi sachi hansi hans do?purani yaad se niklo Khayal-e-Yaar acha hai mager jis ne wafa na ki Palat ker phir Sada na do, dar-e-feryad se niklo Nahi koi Muhabbat bhi,hijr rutt [...] 33)maiN “Cigarette” jalti hu’ii , bujhti hu’ii dhooeN ko ugalti hu’ii hai ziNdagee meri chaNd pal ki aur kar jati huuN auroN ki ziNdagee bhee chaNd pal ki.. kyuuN peeta hai mujhe ko’ii shauKh meiN koi roz meN koi apni ziNdagee ke har soz meiN na samjh aaya mujhe aaj tak kabhee bhii ziNdagee ko [...]
34)ISHO KAR KE KHUD KO TABAH KIYA MAINE TAUBA DIL LEKE USKA GUNAH KIYA MAINE USKE INTEJAAR MEIN EK OR DIN BEETA DIYA USKO BHI NA PAA SAKA KHUD KO BHI GAVAN DIYA MAINE ISHQ KAR KE KHUD KO TABAH KIYA MAINE TAUBA DIL LEKE USKA GUNAH KIYA MAINE FAKAT ITNI HAI DIL KI KI [...] 35)Tere paas aaun ki tumse door rahun.. Tujhe haalat bataun yaa kuchh na kahun.. Taklif le aaun baazar me ya sahta rahun.. Mod lun rukh ya prawaah me bahta rahun.. Koi bhi nahi ab,ye dil kyun nahi maanta.. Jab yahi sach hai to mai kyun nahi jaanta.. Use bhulna hai kyun ye dil bhul jata [...]
1)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum
Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin
Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam
Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo… 2)Jo bani ho Mere lye
Jis ke lye mai Jee raha hoon
Jo kahe Hum saath hain Tere
Jise dekhne k liye Tarap raha hoon
Ek aisa hi Dildaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye
Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye
Ho har Waqt rahe saath mai Mere
Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jis ki ek Hansi k liye
Mar jane ko Dil kare
Jo kehde ek baar to
Phir Jeene ko Dil kare
Aisa hi Ek Humsafar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Ek baar mili thi Mujhe woh
Par pata nahi kaha kho gayi
Ab agar mil jaye toh
use kahi jane na doon
Wohi khoya Yaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye 3)aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
guzarti nahin hai, meri koi bhi pal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
woh manzil yahaan nahin milegi
jise tujhe talash hai
woh manzar yahaan nahin dikhega
jo tere dil ke aas paas hai
milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal
waise log yahaan nahin hai
jinko dhund raha hai tu
yahaan log waise nahin hai
jinse jud raha hai tu
na banegi yahaan mere sapno ka mahal
mujhko yahaan se le chal
aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal 4)Wo Boli, Dil Ko Koi Beyaqeeni Hai Muhabbat Me
Mai Bola, Thik Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Wo Boli, Arzoain Dil Ke Andar Bain Karti Hai
Mai Bola, Thik Hai Mujh Ko Sunayi Dete Rahete Hain
Wo Boli, Hum To Jaise Ek Musalsil Dukh Ke Qaidi Hain
Mai Bola, Thik Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hain
Wo Boli, Koi Shab To Khab Me Bhi Khab Aate Hain
Mai Bola, Thik Hai Kuch Hasraten Aise Bhi Kartin Hain
Wo Boli, Bareshon Me Aur Ziyadh Jaan Silagti Hai
Mai Bola, Thik Hai Ye Aag Pani Ke Masael Hain
Wo Boli,Raat Kion Mushkil Se Katti Hai Judai Me Mai Bola, Waqt To Kaifiyaton Ka Naam Hota Hai
Wo Boli, Chahaton Me Dard Ke Rahene Ki Qahish Kion
Mai Bola, Dard Ke Mare Howoon Ko Chain Mil Ta Hai
Wo Boli, Ruh Ki Aasoodgi Ko Kiya Zaroori Hai
Mai Bola Ruh Ko Aaloodgi Achchi Nahi Lagti Hai
Wo Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kiya Kahani Hai
Mai Bola, Aadam O Hawwa Ki Chahat Ki Nishani Hai…
5)Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar 6)Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar 7)Darte hain agg say kahin jal na jayen..
Darte hain Khwab say Kahin Toot Na jayen..
Lakin Sub Say Ziada Darty hain Es baat say…
Kay App Hamain Kahin Bhool Na jaye..
Boy :
Yeh mat sochna ki hum bhool jayenge tumhe…
Door rehkar bhi hamesha chahenge tumhe…
Agar Dost bankar raas na aaye to…..
Bhoot bankar darayenge tumhee…
Khuda Karay K Tum Ko Judai Na Milay
Kabhi Bhi Tanhai Na Milay
Mujhay Sms Na Karo To Kuch Aisa Ho
K Mosam Ho Sardi Ka Or Tum Ko Razai Na Milay
Unki gali se jab mera janazza nikla
Wo na nikle jinke liye mera janaja nikla
Unka ghar aaya toh mujhe bhul kar
Mere dost seeti bajane lage
Rakh kar mera janaza kambakth use 8)Apno se juda kar deti hai,
Aakhon mein paani bhar deti hai,
Kitni shikayat hai zindgi se.
Phir bhi iska aitbaar hai,
Phir bhi iska intzaar hai,
Humko mohabbat hai zindgi se.
Kabhi khushiyon ka mela lagta hai,
Kabhi har koi akela lagta hai.
Kabhi humpe karam pharmati hai,
Kabhi humse nazar churati hai.
Palkon se isko chakhte hain,
Isey pass hi apne rakhte hain,
Itni nazakat hai zindgi se,
Humko mohabbat hai zindgi se.
Humko adaayein dikhati hai ye,
Jeena bhi humko sikhati hai ye.
Kabhi paas hai to kabhi door hai,
Ye zindgi bhi badi mashhoor hai.
Kabhi karti hai aankh micholi,
kabhi sajaye sapno ki doli,
Itni shararat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
Door ye ho to ghum hota hai,
Pass ho to iska karam hota hai.
Khud apni marzi se chalti hai,
Suraj ki tarah se ye dhalti hai. Isey jab bhi hum dekhte hain,
Mann hi mann ye sochte hain,
Kitni hifazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se.
Aansu bhi ho to pee lete hain,
Pal do pal khushi se jee lete hain.
Har pal humko nahi hai roka,
Thoda humko bhi deti mouka.
Zindgi gujar jaaye taqraar mein,
Chahe gujar jaaye ye pyaar mein,
Itni izazat hai zindgi se.
Humko mohabbat hai zindgi se 9)Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa… 10)Badnaam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale Toh Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte
Tanhiye Me Karte Hain Yaad Aanso Bahakar
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte
Waqt Aane Pe Yeh Maloom Hojayega Tumhe
Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte
Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein
Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte 11)Dil Tod Ke Tukde Kar Diye Ussne
Pal Bhar Bhi Iss Dil Ko Sambhalne Naa Diya Ussne
Aanaa Hai Uss Me Bohut Yeh Batana Usse
Woh Ab Mile Toh Haal-e-Dil Matt Sunana Usse
Akele Kis Se Utha Hai Taluqaat Ka Bojh
Woh Tumko Naa Yaad Rakhe Bhool Jana Usse
Kabhi Mujhko Sath leke Kabhi Mere Sath Chalke
Woh Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badalke
Hue Jispe Tum Meharban Woh Khushnaseeb Hogi
Meri Hasratein Toh Nikli Meri Aansoun Me Dhalke… 12)Haath mein usko kalam ka aana achchha lagta hai,
usko bhi school ko jaana achchha lagta hai.
bada kar diya ghardish ne waqt se pehle warna,
sar pe kisko bojh uthana achchha lagta hai… 13)Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki,
Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki,
Beshak apni manzil tk jana h,
Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki… 14)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai
Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen
Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen
Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum
Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum
Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir
Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin
Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai
Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam
Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo… 15)Pareshaan thi Pappu ki wife
Non-happening thi jo uski life
Pappu ko na milta tha aaram
Office main karta kaam hi kaam
Pappu ke boss bhi the bade cool
Promotion ko har baar jate the bhul
Par bhulte nahi the wo deadline
Kaam to karwate the roz till nine
Pappu bhi banna chata tha best
Isliye to wo nahi karta tha rest
Din raat karta wo boss ki gulami
Appraisal ke ummid main deta salami
Din guzre aur guzre fir saal
Bura hota gaya Pappu ka haal
Pappu ko ab kuch yaad na rehta tha
Galti se Biwi ko Behenji kehta tha
Aakhir ek din Pappu ko samjh aaya
Aur **** di usne Appraisal ki moh maya
Boss se bola, “Tum kyon satate ho ?”
“Appraisal ke laddu se buddu banate ho”
“Promotion do warna chala jaunga”
“Appraisal dene par bhi wapis na aunga”
Boss haans ke bola “Nahi koi baat”
“Abhi aur bhi Pappus hai mere paas”
“Yeh duniya Pappuon se bhari hai”
“Sabko bas aage badhne ki padi hai”
“Tum na karoge to kisi aur se karaunga”
“Tumhari tarah Ek aur Pappu banaunga” 16)Aankho se bahe jai woh Moti kehlate hain,
Khushi ke hote hai to gam ke woh moti.
Zindagi me humare chahne na chahne se kya hota hai,
hota wahi hai jo kismat me likha hota hai.
ye baat alag hai ke hum apne haath se
apni mehanat se usse jine ki wajah,
ya sahara banasakte hai .
Heena ,maa baap ki ankho ka tara hai
jo aaj kisi ke ghar ki zinat baane jarahi thi.
Apne dil ke tokde ko khushi kisi bida karan
Kitna mushkil hota hai haar maa,baap ,bhai bahen ke liye
Apne sath najane kitni sari yaade chud jati hai
To kitni sarai yaade dejati hai.
&nkisi ke chale jane se
Yaad aati hai
Heena ki ankhe naam thi apno se bichdne ka gam tha
un me na chahte huwe bhi aanss bahe jarahe the.
Zindagi ki sab se badi khushi mili iss baat ko jante huwe bhi
Ankhe naam thi.woh the aansu.jo bahe ja rahe the.
Nai naweli dulhan,gaheri khubsurta ankhe,gulab ki pankdiyu ki tarha hoti,kayam dhati muskan.Jo dekhe to bass dekha hi rahejaye.
Gazab ka hussn paya tha Heena ne.
Mudikahi me log tarfi karte nahi thak rahe the
Har kisi ke alfaz yahi the ke Asif ,”bahot khush kissmat hai
Jo chanda jaisi biwi mili.”
Kya wakai me Asif lucky hai? Heena kya sach me itni Khubsurat hai ke kismat ko uss par gurror ho
ke Khuda ne uss ko iss kadar khubsurat banaya?
Jitni Khubsurat woh hai kya utni hi khubsurat uss ki kiss mat hai?
Kissmat ke naam ko to sab jaante hai lekin,
Kissmat me kya likha hai Allah Jaanta hai.
Ghughat ko jaise hi Asif ne uthaya
Uss ke muh se ye hi nikl pada Mashallah ,
Allah aap ko nazre bad se humesha bachaye rakhe ,
Duniya ki sari khushiya aap ko mile[ameen]
baato hi baato me raat kab guzar gai pata hi nahi chala.
Heena ko gulab behad passand the iss liye Asif chate the
ke woh valime[reception] ka sara hall gulab ke pholo se sajaye .
Heena ,”aaj hum aap ke liye kuch karna chate hai ,
I have one surprise for you jaan.
Aap jaab dekhoge to bass dekhte hi reh jaoge
dekhiyega. aap zindagi me kabhi nahi bhul paoge ”
Heena: par kya bataiye to zara…
Asif : abhi nahi.intezar kariye ga aap humara .
ye keh kar Asif chale gaye. Aur jaab woh se lote to
Heen sach me Heen bilkul surprise ho gai
Iss kadar ke uss se kuch kehte hi nahi baan raha tha
nahi kuch karte. bass tak taki lagaye thi Heena.
se jaana chate hai ,
kya aap kisi ladki ka husband ke marjane se
us ki zindagi ruk jati hai,?
kya samaj me uss ko jine ka haakh nahi hai?
Aur kya hum pade likje hone ke nate
Kya iss samaj ko badalne ki takat nahi rakhte.
Dosto koi galt kaam kare uss se pahele uss ko rukdo.
Pyar se pyar baate chaliye dekhiye
zindagi me behad khushiya milegi.
Dil ko jo sukun milega woh unmol hota hai.
Aisa koi kaam karo jo insaniyat kahelaye
aur Allah Tallah bhi aap se razi ho jaye.
Zindagi me socha bhi nahi hoga ke kabhi aisa bhi waqt aayega ,
Bhai apni bahen ko pagh phere ke liye lene aarahe the
bahot khush ke aaj bahen kitni khush hogi
uss ki muskan par to duniya kurban kardo..
Lekin ye kya HeenA aise kyu baithi hai ,Allah!
ye sab kaise aur kab huwa .
ye kaise ya mere Parwar digar meri bahen.
Apni bahen ko sine se laga liya.
HeenA muh se to kuch nahi bol pa rahi thi
Lekin aankho se uss ke bahe ja rahe the Aansu bass Anssu.
Kya khushiyo aati hai to sath pane gaam bhi le aati hai kya?
khushi theek se mahesus bhi nahi ki theek se
to gam ki andheri raat chagai.
Saaz aur singar utardiya gaya.
Chudiya jo pyar se pahenai thi kal aaj unhe tod diya ja raha tha,
Gahene jo uss ki khubsurti badha rahe the nikal diye jarahe the.
Kal hi ek nai zindagi ki shurwat ki thi ,
To aaj se nai zindagi ki shurawat karni hogi
kal tak sirf khushisy hi khshiya dikhai de rahi thi
To aaj se sirf andhera hi andhera…
Khubsurti ki tarif karte nahi thak rahi thi jin logo ki zaabn.
Aaj uss ko bhala bura keh rahi hai.
Kya iss me Heena ka koi kasur hai?
kya uss ko iss tarah ke tane sunte huwe jina hoga?
Yaa gaam badjane par taklif bardash nahone ki surat me
Apne aap ko taklif pahochale ?
jaan de de woh apne?
Husband ,shohar ,pati ,ya life patner sath na hoto
Us ladki ki zindagi behad muskil se guzarti hai .
Ache log jitne nahi hai jitne ke buri niyyat wale
Apni nazre jamaye hi baithe hai .
Acha to nahi karege lekin ungliya 100 ki uthegi.
uss ko iss kadar majbur kardete hai
ke woh zindagi se haar jaye apni jaan dede.
Dosto story yaha khatam nahi hoti iss story ko aap jaise hum jaise log hi aage bada sakte hai
Uss ko jine ka maksad de sakte hai
Hum aap sab se yahi kehna chate hai..
Allah Tallah ne khubsurat zindagi hume ata ki hai.
Iss me kisi ke gaam ko kaise kaam kare.
Ye soche kisis ko kaise khushi de .
Dusro ko khushi dene me behad sukun milta hai.
Aur Allah bhi Khush hota .
Aap logo ko ye story kaisi lagi hume bataiyega
hume aap ke repaly ka intezar rahe ga
Henna ke life me kya huwa
Share And Comment on this
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.