1)Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,
Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,
Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,
Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,
Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi
2)Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain
Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain
3)Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere
Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
4)Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho
Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho
Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho
Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh
mera koi gawaah nah ho
5)Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi
Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi
Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi
Na ho
Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi
Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi
Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASEER’ dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi
6)Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi
Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi
Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi
7)Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota
Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota
Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota
Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Bazm-e-Tarab Sajana
Gar Mere Bas Me Hota
Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota
Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
Shahezad Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota…
8)Ae dil kissi ki yaad mein rona fazool hai
ye aansoo bade anmol hain inhe khona fazool hai
royo to unke liye
jo tum par nisaar hain
unke liye kya rona jinke aashiq hazaar hain…
9)Sachche pyar mein nikle aansu aur
rote hue bache ke aansu ek saman hote hai,
Kyun ki dono ko pata to hai ki dard kya hai
par kisi ko bata nahi sakte…
10)Ishq Mohbat to hazaro karte he
Gum aur judai se sabhi darte he
hum to na Ishq karte he na mohbat bus
DOST ki ek SMILE k liye SMS karte hai…
11)Muskura do ki ye subah tumhari hai,
Kah do dil ki baat ki aaj duniya tumhari hai,
Phaila do khusiyon ka aanchal aise ki,
Lage hume ki bus har waqt kami tumhari hai..
12)Aankhon Main Mehfuz Rkhna Sitaaron Ko
Ab Dur Talak Sirf Raat Hogi
Moosafir Tum Bhi Ho Moosafir Ham Bhi Hein
Kisi Naa Kisi Mod Par Phir Mulakaat Hogi…
13)Dooor Kahi Waadi Main Rehta Hai Koi
Her Lamhaa Khayaal Mein Rehta Hai Koi
Keisa Hai Woh Kiss Haal Mein Hai Koi
Diil Ke Harr Sawaal Mein Rehta Hai Koi…
14)Paraayeon Se Dosti Ki Gunzaaish Nahi Hoti
Marne Ke Baad Koi Khawaish Nahi Hoti
Kahi Koi Pyar Bhara Dil Toota Hoga Zaroor
Nahi Toh Naino Se Aansuo Ki Barish Nahi Hoti!
15)Ishq Mohbat to hazaro karte he
Gum aur judai se sabhi darte he
hum to na Ishq karte he na mohbat bus
DOST ki ek SMILE k liye SMS karte hai
16)Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi
17)Tujhe dekh kar hi din nikalta hai
tujhe dekh hi raat beet jaati hai
jab kabhi tu na ho paas mere
kambakhat neend hi nahi aati hai
18)Rishton ki dori kamzor hoti hai,
Aankhon ki baatein dil ki chor hoti hain,
Khuda ne jab bhi poocha dosti ka matlab,
Hamari ungli aapki aur hoti hai…
19)Ansu Bahe To Ehesas Hota Hai,
Dosti k Bina jiwan kitna Udas Hota Hai,
Umar Ho Apki Chand jitni lambi,
Aap jaisa Dost kaha Har kisi k Paas Hota Hai…
20)Zindagi K Tufano Ka Sahil Hai Teri Dosti
Dil Ke Armaano Ki Manzil Hai Teri Dosti
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni To Jannat
Agar Maut Aane Tak Sath De Teri Dosti…
21)Dosto Ki Kami Ko Pehchante Hain Hum.
Duniya Ke Ghamon Ko Bhi Jante Hain Hum.
Aap Jaise Dosto Ke Hi Sahare.
Aaj Bhi Has Kar Jeena Jante Hai Hum…
22)Dekha hai humane bhi aajma kar,
De jate hai dhokha log karib aakar!
Kahati hai duniya magar dil nhi manta,
Kya aap v bhool jaoge hume apna Dost banakr?
23)Kisne kaha hai hum tumko bhul gaye
aai dost ye afva kise aur ne udaye hogi
shaan se rahege tere dil me
itne dino me kuch to jaga banai hoge…
24)Kahte hai hatho ki lakire adhuri hoto
Kismat mein mohhbat nahi hoti.
Par sach to ye hai ki hatho mein ho koi
Pyara hath to lakiro ki bhi jarurat nhi hoti …
25)Yeh dil yeh pagal dil meraa kyon bujh gaya aawargee
Iss dasht me ik shahar tha, woh kya huwa aawargee
Kal shab mujhe beshakl see aawaj ne chaunka diya
Mai ne kaha tu kaun hai usane kaha aawargee
Ik ajnabee jhonke ne jab pucha mere gam kaa sabab
Sahara kee bhigee ret par maine likha aawargee
26)Sochate aur jaagte saanson ka ek dariya hoon main,
Apne guldastha kinaro ke liye bahta hu main
Jal gaya sara badan, in maasoom ki aag me,
Ek maasoom rooh ka hai, jismein ab zinda hu main
Mere honto ka tabasoom, de gaya dhoka tujhe,
Tumne mujhko baag jana, dekhle sahara hu main.
Dekhe meri pajirayi ko aab aata hai kaun,
Lamha bhar to waqt ki, dahliz par aaya hu main.
27)Jahaan talak bhi ye sahara dikhaai deta hai
Meri hi tarah se akela dikhaai deta hai
Na itani tez chale saraphiri hawa se kaho
Shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai
Ye ek abr ka tukada kahaan kahaan barase
Tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai
Wo alawida ka manzar wo chhalakati palaken
Pas-e-gubaar bhi kya kya dikhaai deta hai
28)Jab tasawwur mera chupke se tujhe chhu aaye
Apni har saans se mujhko teri kushbu aaye
Mashagala ab hai mera chaand ko takte rahana
Raat bhar chain na tujh bin kisi pahalu aaye
Ghantiyaan bajne lageen hijr ke sannaate se
Gunagunaata hua aaise mein agar tu aaye
Jab kabhi gardish-e-dauraan ne sataaya mujhko
Meri jaanib tere phaile huye baazu aaye
29)Aadamee aadamee se milta hai
Dil magar kam kisee se milta hai
Aadamee aadamee say milta hai
Bhul jata hu mai sitam usake
Woh kuchh iss sadagee se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
Milake bhee jo kabhee nahee milta
Tut kar dil usi se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
Aaj kee bat hai ke phulo kaa
Rang teree hasee se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
Silsila fitnae kayamat kaa
Teree khush kamtee se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
Karobar-e-jahan sanwarte hain
Hosh jab bekhudee se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
Dil magar kam kisee se milta hai
Aadamee aadamee se milta hai
30)(Apnee dhun me rehta hu -2, mai bhee tere jaisa hu) - (2)
O pichhlee rut ke sathee -2, abb kee baras mei tanha hu
Apnee dhun me rehta hu -2 mai bhee tere jaisa hu
Teree galee me sara din -2, dukh ke kankar chunta hu
Apnee dhun me rehta hu -2 mai bhee tere jaisa hu
Meraa diya jalaye kaun -2, mai teraa khalee kamra hu
Apnee dhun me rehta hu -2 mai bhee tere jaisa hu
Apnee leher hai
apna rooga-2, dariya hu aur payasa hu
Apnee dhun me rehta hu -2 mai bhee tere jaisa hu
Aatee rut mujhe rooyegi -2, jatee rut kaa jhonka hu
Apnee dhun me rehta hu -2 mai bhee tere jaisa hu
31)Jahaan talak bhi ye sahara dikhaai deta hai
Meri hi tarah se akela dikhaai deta hai
Na itani tez chale saraphiri hawa se kaho
Shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai
Ye ek abr ka tukada kahaan kahaan barase
Tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai
Wo alawida ka manzar wo chhalakati palaken
Pas-e-gubaar bhi kya kya dikhaai deta hai 32)Yeh dil yeh pagal dil meraa kyon bujh gaya aawargee
Iss dasht me ik shahar tha, woh kya huwa aawargee
Kal shab mujhe beshakl see aawaj ne chaunka diya
Mai ne kaha tu kaun hai usane kaha aawargee
Ik ajnabee jhonke ne jab pucha mere gam kaa sabab
Sahara kee bhigee ret par maine likha aawargee 33)Tum bin aawe naa chain, re sanwariya re
Dekh naa lu tohe jiya nahee lage
Mohe sunee lage rain, sanwariya.......
Pritam prit laga ke dur des mat ja
Baso hamaree nagaree ham mange tu kha
Kaga sab tan khaiyo mora, chun chun khaiyo mas re
Do naina mat khaiyo, mohe piya milan kee aas re 34)Ranjish hee sahee dil hee dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jane ke liye aa
Pahale se marasim naa sahee phir bhee kabhee toh
Rasmo rahe duniya hee nibhane ke liye aa
Kis kis ko batayenge judayee kaa sabab ham
Too mujhase khafa hai toh jamane ke liye aa
Kuchh toh mere pindare muhabbat kaa bharam rakh
Too bhee toh kabhee mujh ko manane ke liye aa
Ek umra se hu lajjate giriya se bhee maharum
Ai rahate jan mujhko rulane ke liye aa
Abb tak dile khush faham ko hain tujh se ummiden
Yeh aakhiree shamme bhee bujhane ke liye aa
Mana kee muhabbat kaa chhipana hai muhabbat
Chupake se kisee roj jatane ke liye aa
Jaise tujhe aate hain naa aane ke bahane
Aise hee kisee roj naa jane ke liye aa
Ranjish hee sahee dil hee dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chod ke jane ke liye aa
Pehle se marasim naa sahee phir bhee kabhee toh
Rasmoreh duniya kee nibhane ke liye aa
Kis kis ko batayenge judayee kaa sabab ham
Tu mujhase kafa hai toh jamane ke liye aa
Kuchh toh mere pindare muhabbat kaa bharam rakh
Tu bhee kabhee mujhko manane ke liye aa
Ek umrr se hu lajjate giriya se bhee mehrum
Ai rahate jan mujhako rulane ke liye aa
Abb tak dile khush faham ko tujh se hain ummiden
Yeh aakharee shamme bhee bhujane ke liye aa
Mana kee muhabbat kaa chupana hai muhabbat
Chupke se kisee roj jatane ke liye aa
Jaise tujhe aate hain naa aane ke bahane
Aise hee kisee roj naa jane ke liye aa 35)Naa jane kab woh palat aaye dar khula rakhana
Gaye huwo ke liye dil me kuchh jagah rakhana
Hajar talk hon yaden magar woh jab bhee mile
Juban pe achchhe dino kaa hee jayaka rakhana
Naa ho ke kurb hee phir marge rabt ban jaye
Mile agar toh jara usase fasala rakhana
Utar phaink de kush fahamiyo ke sare gilaf
Jo shaks bhul gaya usako yad kya rakhana 36)Khalee hai abhee jam mai kuchh soch raha hu
Ai gardishe ayyam mai kuchh soch raha hu
Sakee tujhe ek thodee see taklif toh hogee
Sagar ko jara tham mai kuchh soch raha hu
Pahale badee ragbat thee tere nam se mujhko
Abb sunake teraa nam mai kuchh soch raha hu
Phir aaj adam sham se gamagin hai tabiyat
Phir aaj sare sham mai kuchh soch raha hu 37)Kaun hai jisane may nahee chakkhee
Kaun jhuthee kasam uthata hai
Mayakade se jo bach nikalata hai
Teree aankho me dub jata hai
Ham tumhe aisee pila denge tum aao toh sahee
Hosh kaa nam bhula denge tum aao toh sahee
Jam botal se bharo aur laga lo munh se
Tumko pina bhee sikha denge tum aao toh sahee
Aaj kal roj hai maikhane me aana jana
Tumko sakee se mila denge tum aao toh sahee
Kya kaha gam ne sata rakha hai toba toba
Gam ko thodee see pila denge tum aao toh sahee
Share And Comment on this
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.