1)KASH TUM VO HOTE JO HAR PAL HME YAAD KARTE REHETA
AOR HME HAR PAL HICHKIYA AATI REHETI TERI PUKAR SE 2)VO PAL HME HAMESHA YAAD REHETE HAI PYAR BHARE
JABSE TUM HME ZINDGI BHAR K LIYE MIL GYE TTHE 3)Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo
Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain
Sab Ko Rudaad- e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,
Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho
Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,
Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin”
Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo. 4)Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha..!!
Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha..!!
Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal..!!
Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha ..!!
Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya..!! Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha..!!
Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi ..!!
Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha..!!
Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin..!!
Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha..!! 5)Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,
Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,
Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,
Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar
1)Is Duniya mai kabhi kisi ko alvida mat kehena
pta nahi kaha or kab phir se raaste ek ho jate hain 6)2-4 din ki ye zindgani hai jo pal mai beet jayegi
bas pya karo to manzil tumhe sitaro tak le jayegi 7)Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,
Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,
Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..
8)Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to,
Kese kese phool khile hain dekho to,
Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein,
Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to,
Hanste gaatey logon ki is dunya mein,
Hum kyon itne chup rehte hain socho to,
In chahat ki tarsi pyassi ankhon mein,
Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to,
Janaan in dunya walon ki nazaron se,
Door kahin le jaaon tum ko aao to,
Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye,
Tum bhi raah badal sakte ho chaho to,
Deewana sab log samajhne lagte hain,
Arshad bass khamosh raho ghar aao to.. 9)Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha 10)Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha
1)Mere pagal piya meri chahat na kr,
Mujhe daikha na kr mujhe socha na kr..
So bar kaha itni mohabbat nahi achi,
So bar kaha itna tamasha na kar..
Na jany kab tot jaye wafa ki ye dori,
Tu mujh pe bharosa ziyada na kr..
Kiya pta kab yeh ehad tot jaye,
Saath jeeny marny ka wada na kr..
Qurbton main faasly lazmi hain jana!
Kabhi mil na paoun to tarpa na kr..
Agr me na rahoun to phir kiya kro gy,
2)Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney
Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney
Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain
Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain
Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain
Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein
Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain
Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain
Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi
Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main
Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main
Wo shaks hamain aik din
Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta
Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha
Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai
Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai
Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney. 3)Sandhal se mehkati hoi pur kaif hawa ka..
Jhonka koi takrae to lagta hai k tum ho..
Orhay howay taroon ki chamakti hoi chadar..
Nadi koi bal khaye to lagta hay k tum ho..
Jab raat gaye koi kiran meray brabar..
chup chap c so jaye to lagta hay k tum ho 4)Hazar gardish e sham o sahar se guzaren hain
Wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain
Abhi hawas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz
Abhi ye log muqam e nazar se guzaren hain
Har ek naqsh pe tha tere naqsh e pa ka guman
Qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain
Na jane kaun si manzil pe ja ke ruk jayen
Nazar ke qafile diwar o dar se guzaren hain
Kuch aur phail gain dard ki kathin rahen
Gam e firaq ke mare jidhar se guzaren hain
Jahan surur mayyassar tha jam o mai ke bagair
Wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain 5)Suntay Hain K Mil Jati Hai Har Cheez Dua Se,
Ek Rooz Tujhay Maang K Dekhee~n Ge Khuda Se.
Tum Samne Hote Ho To Hai Kaif Ki Barish,
Wo Din Bhi Thay Jab Aag Barasti Thi Ghata Se.
Aye Dil Tu Unhe Dekh Kar Kuch Asay Tarapna,
Aajaye Hansi Un Ko Jo Baithay Hain Kafa Se.
Duniya Bhi Mili Hai Gham-E-Duniya Bhi Mila Hai,
Wo Kuen Nahi Milta Jisay Maanga Tha Khuda Se.
6)Hum Khushbu Kay Sodagar Hain
Hum Soda Sacha Kartay Hain
Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho
Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain
Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka
Tum Bhala Hal Kya Janoo
Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain
Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain.
7)Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi
Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat
Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin
Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat
Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya
Ye Payar Nahi Aasaan Bohat
Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya
Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat
Jab bikhar gaye tab ye jaana
Aaty hainn yahan toofan Bohat
Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat
kash wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat.. 8)Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi!
Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon!
Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul!
Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon!
Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani!
Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon!
Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki!
Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!" 9)Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya
Ab Hum Ne Rona Chor Diya
Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chor Diya
Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye
Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya
Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chor Diya
Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya 10)Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,-
Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili,
Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay,
Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili,
Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey,
Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili,
Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien,
Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili,
Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila,
koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili. 11)Death be not proud, though some have called thee
Mighty and dreadful, for thou art not so;
For those whom thou think'st thou dost overthrow
Die not, poor death, nor yet canst thou kill me.
From rest and sleep, which but thy pictures be,
Much pleasure, then from thee much more must flow,
And soonest our best men with thee do go, Rest of their bones, and souls' delivery.
Thou art slave to fate, chance, kings, and desperate men,
And dost with poison, war, and sickness dwell,
And poppy, or charms can make us sleep as well,
And better than thy stroke; why swell'st thou then?
One short sleep past, we wake eternally,
And death shall be no more; death, thou shalt die. 12) We pray for one last landing
On the globe that gave us birth;
Let us rest our eyes on fleecy skies
And the cool green hills of Earth.
Share And Comment on this
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.