Sunday 3 February 2013

Chahte hain hum aapko


1)Mere pagal piya meri chahat na kr, Mujhe daikha na kr mujhe socha na kr.. So bar kaha itni mohabbat nahi achi, So bar kaha itna tamasha na kar.. Na jany kab tot jaye wafa ki ye dori, Tu mujh pe bharosa ziyada na kr.. Kiya pta kab yeh ehad tot jaye, Saath jeeny marny ka wada na kr.. Qurbton main faasly lazmi hain jana! Kabhi mil na paoun to tarpa na kr.. Agr me na rahoun to phir kiya kro gy

2)Ek shakhs ko deakha tha Taron ki tarha Hamney Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney Ek shaks ko samjha tha Phoolon ki tarhaa Hamney Wo shaks qayamat tha Kya uski karein Batain Din us ky liye Paida Aur uski he thi Ratain Kab milta kisi se tha Ham se thi mulaqatain Rang uska Shahaabi tha Zulfon mein thi Mehkarein Aankhain thi ke jaadu tha Palkain thi k talwarain Dushman bi agar dekhein so jaan se dil Harain Kuch tum se wo milta tha Baton mein shahaabat thi Han tum sa hi lagtaa tha Shokhi mein sharaarat main Lagta bhi tumhe sa tha Dastur-e-mohabbat main Wo shaks hamain aik din Apnon ki tarhaa Bhoolla Taron ki tarha doobba Phoolon ki tarha tootta Phir haath na aaya woh Hamney bohat dhoondha Tum kis liye chonkey hom Kab zikar tumhar hai Kab tum se takaaza hai Kab tum se shikaayat hai Ikk taaza Hikayat hai Sun lo tou inayat hai Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney. 

3)Sandhal se mehkati hoi pur kaif hawa ka.. Jhonka koi takrae to lagta hai k tum ho.. Orhay howay taroon ki chamakti hoi chadar.. Nadi koi bal khaye to lagta hay k tum ho.. Jab raat gaye koi kiran meray brabar.. chup chap c so jaye to lagta hay k tum ho 

4)Hazar gardish e sham o sahar se guzaren hain Wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain Abhi hawas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz Abhi ye log muqam e nazar se guzaren hain Har ek naqsh pe tha tere naqsh e pa ka guman Qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain Na jane kaun si manzil pe ja ke ruk jayen Nazar ke qafile diwar o dar se guzaren hain Kuch aur phail gain dard ki kathin rahen Gam e firaq ke mare jidhar se guzaren hain Jahan surur mayyassar tha jam o mai ke bagair Wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain 

5)Suntay Hain K Mil Jati Hai Har Cheez Dua Se, Ek Rooz Tujhay Maang K Dekhee~n Ge Khuda Se. Tum Samne Hote Ho To Hai Kaif Ki Barish, Wo Din Bhi Thay Jab Aag Barasti Thi Ghata Se. Aye Dil Tu Unhe Dekh Kar Kuch Asay Tarapna, Aajaye Hansi Un Ko Jo Baithay Hain Kafa Se. Duniya Bhi Mili Hai Gham-E-Duniya Bhi Mila Hai, Wo Kuen Nahi Milta Jisay Maanga Tha Khuda Se. 

6)Hum Khushbu Kay Sodagar Hain Hum Soda Sacha Kartay Hain Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka Tum Bhala Hal Kya Janoo Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain. 

7)Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya Ye Payar Nahi Aasaan Bohat Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat Jab bikhar gaye tab ye jaana Aaty hainn yahan toofan Bohat Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat kash wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat.. 

8)Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi! Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon! Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul! Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon! Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani! Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon! Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki! Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!" 

9)Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya Ab Hum Ne Rona Chor Diya Jub Rona Nahin To Hasna Kiya Ab Hasna Hasana Chor Diya Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya Tum Rootha Karte Thay Hum Se Ab Hum Ne Manaana Chor Diya Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya 

10)Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,- Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili, Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay, Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili, Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey, Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili, Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien, Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili, Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila, koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili. 

11)Death be not proud, though some have called thee Mighty and dreadful, for thou art not so; For those whom thou think'st thou dost overthrow Die not, poor death, nor yet canst thou kill me. From rest and sleep, which but thy pictures be, Much pleasure, then from thee much more must flow, And soonest our best men with thee do go, Rest of their bones, and souls' delivery. Thou art slave to fate, chance, kings, and desperate men, And dost with poison, war, and sickness dwell, And poppy, or charms can make us sleep as well, And better than thy stroke; why swell'st thou then? One short sleep past, we wake eternally, And death shall be no more; death, thou shalt die. 

12) We pray for one last landing On the globe that gave us birth; Let us rest our eyes on fleecy skies And the cool green hills of Earth 

13)Aik pathab ne Veena Malik se masjid ka chanda manga. Veena : ap log to kehte hen k mera paisa naapak hai? Pathan : tumhary paison se hum BATHROOM banaey gy..;- 

14)taaro ne chamkna chor diya Jis din se juda vo humse hue, is dil ne dharkna chor diya hai chaand ka mooh bhi utra utra, taaro ne chamkna chor diya 

15)Full Name: By Nadia x uk Suraj ki kirne, taaron ki bahaar. Chand ki chandni, apno ka pyaar. Har ghadi ho khushaal. ussi tarhan Mubarak ho aapko har ek teyohar 

16)Mujhay ghair tum nay samjha,yeh sitam bhi kam nahin hai. main shareekay zindagi hoon,tu sharikay gham nahin hai. Abh aisi zindagi say behtar hai mooot aa-ay Mehfil to ajnabi thi ,tum bhi howay para-ay. hasan 

17)Apnay ehsaas say chhoo kar mujhay sandal kar doo. Main kay sadyoon se adhoora hoon,Mukaamil kar do. Na tumhain hoosh rahay aur na mujhay hoosh rahay. Iss qadar toot kay chahoo,Mujhay pagal kar doo. Tum hatheli ko meray piyar ki mehndi say rangoo. Apni ankhoon main meray naam ka kajil kar doo. Dhoop hi dhoop hoon main,Toot kay barsoo mujh per Isqadar barsoo meri rooh main jul thal kar doo. Tum chupaa loo mera Dil ooot main apni dil ki . Aur mujhay meri nigahoon say bhi aujhal kar doo. 

18)Ap K Berukhi Ko B Rutba Diya Hum Nay, Dosti Ka Har Farz Ada Kia Hum Ne, Mat Sochiye Ga K Hum Bhula Dainge Apko, Aj Phir Ap Se Pehlay Apko Yaad Kiya Hum Nay. 

19)Jis Ki Qurbat May Qarar Bohat Ta, Jis Se Milna Dushwar Bohat Ta, Wo Jo Hathon Ki Lakeeron May Na Ta, Us Shakhs Se Hamain Pyar Bohat Ta. 

20)Khwabon May Ayengay Sms Ki Tarha, Dil Main Bus Jayengay Ringtones Ki Tarha, Pyar Kabhi Kam Na Hoga Balance Ki Tarha, Bus Ap Busy Na Rehna Network Ki Tarha. 

21)Life Brings U Kabhi Khushi Kabhi Gham It Is Always Hum Tumharay Hay Sanam Let's Live Together Who Know Kal Ho Na Ho When It Ends Na Tum Jano Na Hum If U Need A Good Aashiq May Hu Na! 

22)Log Kehtay Hay K Haseen Mar Jatay Hain To Sitaray Ban Jatay Hain May Kehti Hu Jab Sitaray Gir Jatay Hain To Tum Jaisay Dost Ban Jatay Hain., 

23)Ap Samajtay Hay Hum Nay Apko Bhula Rakha Hai, Ap Nahi Jantay Dil May Chupa Rakha Hai, Dake Na Lay Apko Koi In Ankho May, Is Dar Se Palko Ko Juka Rakha Hai. 

24)Khuda Na Karay Apko Kabhi Gham Milay, Khushia Aur Hansi Har Dam Milay, Jab Kabhi Gham Apki Taraf Aye, Khuda Karay Rastay May Usay Hum Milay. 

25)May Dil May Apni Faqat Teri Tamanna Rakhu, Hatailiyo Pay Tere Naam Ki Zia Rakhu, May Apnay Dil May Kisi Aur Ko Na Basnay Du, Teri Khaloos Mohabbat Teri Wafa Rakhu, Tu Bewafayi Ki Tarikiyo May Na Batkay, May Tere Dil May Mohabbat Ki Ik Dia Jalaye Rakhu, Akher Umar May Ik May Tera Sahara Hoon, Wajood Apna Tere Wastay Ata Rakhu. 

26)A Phool Meray Phool Ko Yeh Phool Day Ana, Kehna K Tere Phool Nay Yeh Phool Diya Hai. 

27)Khushi Ap K Liye Gham Mere Liye Zindagi Ap K Liye Mout Mere Liye Muskurana Ap K Liye Ansu Mere Liye Sab Kuch Ap K Liye Laiken Ap Sirf Mere Liye! 

28)Phool Khushbu K Liye Pyar Nibhane K Liye Ankhen Dil Churane K Liye Aur Yeh Sms Apko Meri Yaad Dilane K Liye. 

29)Har Khushi Se Khobsorat Teri Sham Kar Don Apna Pyar Aur Dosti Tere Naam Kar Don Mil Jaye Agar Dubara Yeh Zindagi Har Bar May Yeh Zindagi Tere Naam Kar Don. 

30)Kash Khushion Ki Dukan Hoti, Hum Ko Uski Pehchan Hoti, Khareed Letay Sari Khushian Ap K Liye, Chahay Uski Qeemat Hamari Jaan Hoti.,. 

31)Hum Se Door Jaoge Kaise, Dil Se Hum Ko Bhulaoge Kaise, Hum To Wo Khushbu Hain Jo Apki Sanso Main Baste Hain, Khud Ki Sanso Ko Rok Paoge Kaise. 

32)Pyar K Phool Kabhi Murjaya Nahi Kartay Hanstay Chehro Ko Rulaya Nahi Kartay Jin Ki Sans Chalti Ho Apkay Dedar Se Unhay Khafa Hokar Sataya Nahi Kartay..;.. .

Share And Comment on this


No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.