Sunday, 24 February 2013

Mere tere sapne

1)Mere pagal piya meri chahat na kr, Mujhe daikha na kr mujhe socha na kr.. So bar kaha itni mohabbat nahi achi, So bar kaha itna tamasha na kar.. Na jany kab tot jaye wafa ki ye dori, Tu mujh pe bharosa ziyada na kr.. Kiya pta kab yeh ehad tot jaye, Saath jeeny marny ka wada na kr.. Qurbton main faasly lazmi hain jana! Kabhi mil na paoun to tarpa na kr.. Agr me na rahoun to phir kiya kro gy, 

2)Ek shakhs ko deakha tha Taron ki tarha Hamney Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney Ek shaks ko samjha tha Phoolon ki tarhaa Hamney Wo shaks qayamat tha Kya uski karein Batain Din us ky liye Paida Aur uski he thi Ratain Kab milta kisi se tha Ham se thi mulaqatain Rang uska Shahaabi tha Zulfon mein thi Mehkarein Aankhain thi ke jaadu tha Palkain thi k talwarain Dushman bi agar dekhein so jaan se dil Harain Kuch tum se wo milta tha Baton mein shahaabat thi Han tum sa hi lagtaa tha Shokhi mein sharaarat main Lagta bhi tumhe sa tha Dastur-e-mohabbat main Wo shaks hamain aik din Apnon ki tarhaa Bhoolla Taron ki tarha doobba Phoolon ki tarha tootta Phir haath na aaya woh Hamney bohat dhoondha Tum kis liye chonkey hom Kab zikar tumhar hai Kab tum se takaaza hai Kab tum se shikaayat hai Ikk taaza Hikayat hai Sun lo tou inayat hai Ek shaks ko chaaha tha Apnon ki tarha Hamney. 

3)Sandhal se mehkati hoi pur kaif hawa ka.. Jhonka koi takrae to lagta hai k tum ho.. Orhay howay taroon ki chamakti hoi chadar.. Nadi koi bal khaye to lagta hay k tum ho.. Jab raat gaye koi kiran meray brabar.. chup chap c so jaye to lagta hay k tum ho 

4)Hazar gardish e sham o sahar se guzaren hain Wo qafile jo teri rahguzar se guzaren hain Abhi hawas ko mayyassar nahi dilon ka gudaz Abhi ye log muqam e nazar se guzaren hain Har ek naqsh pe tha tere naqsh e pa ka guman Qadam qadam pe teri rahguzar se guzaren hain Na jane kaun si manzil pe ja ke ruk jayen Nazar ke qafile diwar o dar se guzaren hain Kuch aur phail gain dard ki kathin rahen Gam e firaq ke mare jidhar se guzaren hain Jahan surur mayyassar tha jam o mai ke bagair Wo maikade bhi hamari nazar se guzaren hain 

5)Suntay Hain K Mil Jati Hai Har Cheez Dua Se, Ek Rooz Tujhay Maang K Dekhee~n Ge Khuda Se. Tum Samne Hote Ho To Hai Kaif Ki Barish, Wo Din Bhi Thay Jab Aag Barasti Thi Ghata Se. Aye Dil Tu Unhe Dekh Kar Kuch Asay Tarapna, Aajaye Hansi Un Ko Jo Baithay Hain Kafa Se. Duniya Bhi Mili Hai Gham-E-Duniya Bhi Mila Hai, Wo Kuen Nahi Milta Jisay Maanga Tha Khuda Se. 

6)Hum Khushbu Kay Sodagar Hain Hum Soda Sacha Kartay Hain Jo Ghahak Pholoon Jaisa Ho Hum Bin Damoon Bik Jatay Hain Hum Shehray Wafa Kay Logoon Ka Tum Bhala Hal Kya Janoo Hum Dil Ki Baat Chupatay Hain Aur Ansoo Tak Pee Jatay Hain. 

7)Kuch Umer Ki PehLi ManziL Thi Kuch Rastay Thay Anjaan Bohat Kuch Hum Bhi PagaL Thay Lekin Kuch Wo Bhi Thay Naadan Bohat Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya Ye Payar Nahi Aasaan Bohat Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya Jis KhaiL Mein Thy Nuqsaan Bohat Jab bikhar gaye tab ye jaana Aaty hainn yahan toofan Bohat Ab koi nahi jo apna ho milny ko to hain insaan Bohat kash wo wapas aa jaye Ye dil hy ab sunsaan Bohat.. 

8)Kabhi is majlis e aqwaam par aayega woh din bhi! Kahegaa Ibn e Aadam uth ke "Sun lo! Main bass insaan hoon! Mera koi naheen mazhab mera bass deen hai sulh e kul! Na Eisaai hoon main naa hoon Yahudi nae Musalmaan hoon! Merey jeeney ka maqsad hai faqat behbood e insaani! Main is duniya mein nafrat ka naheen raahat ka saamaan hoon! Mere haathon se hogi bass hifaazat haq e insaan ki! Suno ahl e mazaahib! Main naqeeb e bazm e insaan hoon!" 

9)Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya Ab Hum Ne Rona Chor Diya Jub Rona Nahin To Hasna Kiya Ab Hasna Hasana Chor Diya Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya Tum Rootha Karte Thay Hum Se Ab Hum Ne Manaana Chor Diya Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya 

10)Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,- Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili, Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay, Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili, Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey, Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili, Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien, Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili, Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila, koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili. 

11)Death be not proud, though some have called thee Mighty and dreadful, for thou art not so; For those whom thou think'st thou dost overthrow Die not, poor death, nor yet canst thou kill me. From rest and sleep, which but thy pictures be, Much pleasure, then from thee much more must flow, And soonest our best men with thee do go, Rest of their bones, and souls' delivery. Thou art slave to fate, chance, kings, and desperate men, And dost with poison, war, and sickness dwell, And poppy, or charms can make us sleep as well, And better than thy stroke; why swell'st thou then? One short sleep past, we wake eternally, And death shall be no more; death, thou shalt die. 

12) We pray for one last landing On the globe that gave us birth; Let us rest our eyes on fleecy skies And the cool green hills of Earth.  Aapki mehfil ka mausam suhana lage ek pal churalu agar bura na lage aap humein milkar bhool jaaoge par aapko bhulane mein shayad humein zamana lage.

Share And Comment on this




No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.