hi friends Me Poonam.pyar hasna rona jagadna sab kuch..par kuch bhe kaho mere storymere story hai..mere story mai isliye spcl samajte hu bec usmai mera jani hai..sry frndss mai aapko mere jani ka name nai bata sakti..bec dar lagta hai k koi usse mujse chura na lai..bahot shiddat aur ibadat sai maine usse manga hai mera khuda..khona nai chahte mai unhe..kyuki wo he mere jinai ka ek maksad hai.. Now i m starting my luv story..mai tab 8 th std mai the..mere sis n mere bhai ki shadi the..tab maine unhe pehle baar dekha par tab wo mere liye unknown the..wo mere bhabhi k bhai hai..par wo bording schl mai rehte the isliye mai unhe pehchante nai the..shadi k baad wo mere ghar mere bhabhi ko laine aaye..tab unhone muje 1st tym dekha..n tabhe he mai unhe pasand aagaye..apne ghar janai k baad unhone mere bhabhi ko mere barey mai pocha..n uskai baad unhone muje mere bhabhi k threw prapose kiya..jab mere bhabhi nai muje ye baat bataye 1st mai shocked hogaye bec maine kabhe nai socha tha ki koi kabhe muje bhe prapose karege bec mai mere sabhe sis sai kum beautiful hu..par tab muje ek baat samaj nai aaye ki unhone muje he kyu pasand kiya..kyu ki wo bahot he smart handsom intelligent n charming person hai mashallah..fir bhe maine khushi k marey haa bol diya..yahe mere lyf ka sabse best decision tha ki maine unhe haa bola..fir diwali vacation mai apne bhabhi k sath unkai ghar gaye tab unhe nai pata pata tha ki mai unkai ghar aarahe hu rehnai k liye..jab unhone muje unkai ghar dekha wo bahot khush hove..n fir thode der baad unhone khud muje apne sisters k samnai prapose kiya..uss din mai bahot khush the..uss din pore raat maine aur mere jani nai bahot sari baat ki..ek dusre ki pasand past n sab kuch..wo raat mere zindagi ki sabse achche raat the..unka past jan k muje bura bhe laga par fir khushi bhe hove kyuki unhone muje promise kiya ki inshallah ab mere baad unki life mai koi nai aayega..n wo mujse nikah bhe karege..mai 2 days unkai ghar rahe n humnai ek sath bahot achcha tym spend kiya..jab mai apnai ghar jaa rahe the tab unhone muje unka pic bhe diya aaj bhe unka wo pic mere pass hai n ek song bhe dedicate kiya..hum dono bahoy khush the..ghar aanai k baad hum dono ki chat honai lage..par ye baat ghar mai kisiko nai malum the siwa mere bhabhi ko..par khuda janai humare pyar ko kiski nazar lag gaye mere ghar mai pata chal gaya..mai ghar mai ye baat kisiko bhe pasand nai aaye bec mai ek typical muslim fmly sai belong karte hu..fir muje unsai baat nai karnai milte n mai bahot sad rehnai lage..par jab bhe muje moka milta mai unsai baat kar k bahot roti… aur khuda sai unhe he mangte..par ek din achanak wo mere school k pass aaye n i was soo much happy..unhe dekh k mai pagal hogaye the…par mai unsai baat nai kar paye kyuki frnds chidhayege iss baat ka darr lagta tha..fir wo har 2 4 days mai sirf muje dekhnai k liye mere schl k pass aatai..wo mere liye bording schl wapas nai gaye..wo yaha pai schl bhe barabar nai jatai sirf aur sirf muje dekhnai k liye..fir maine himmat karke ghar mai jhooth bol k ghar sai unhe milnai k liye jaldi schl k liye nikle n mai nai after 1 mnth unse face to face baat ki..mai bahot happy the..mai ab har saturday ghar mai jhooth bolkai unhe milte but ye baat ka pata mere frds ko tha n wo always muje help bhe karte ..sab bahot achcha chal raha tha hum dono bahot khush the ek dusre k sat..par hum dono sath hai ye baat mere ghar mai firse pata chal gaye aur mere sis nai mere jani ko bahot kuch ulta sulta bol diya..n ye tak bhe kaha ki mujse shadi karne hai to khud kamaye..aur ye baat mere jani ko itne buri lagi ki unhone mere liye apne study chod di..n apne dad k sath business mai laggaye..mere ghar mai bhe mujpe bahot rok laga de gaye..muje sirf schl janai milta..n humare baat bhe pehle sai kum honai lage fir bhe wo muje kabhe kabhe bina parwah kiye milnai aatai yaha tak sirf muje smile karanai k liye mere ghar k nice aaki apna pyara sa chehra dekhtai..humara pyar kum honai k bajaye din b din badhani lag tha ek dusrai k bina rehnai mushkil hojata tha..me ab 10 mai the humare relation ko 1 yr hogaya tha..par unhone muje touch tak nai kiya tha…aur muje unke yahe baat sabse achche lage the. 10 half khatam hove he the aur mere rishtai k baat kisi aur sai honai lage..ye baat muje aur unhe bhe pasand nai aye.aur merr jani nai ye baat apne sisters k threw apnai apnai parents ko bataye.jani k ghar mai mai sabko pasand the.isliye jani k dad nai mere n mere jani k rishtai k liye naa bol de..mai aur jani bahot roye..par hum kuch nai kar sakte the..kyuki humare fmly ki bahot ejjat the samaj mai..isliye jani ki ammi nai humai ek dusre sai dur rehnai ko kaha..tab mere ghar mai mere rishtai ki baat bahot zoro shoro sai chal rahe the..par maine kisike baat nai mani aur maine bahot maar bhe khaya..fir maine sab kuchp allah pai chod diya tab mere mere jani sai baat bhe nai hoti th hum doono majbur the .aage ki story baad mai.agar mere story post hogaye to. - - - - - - - - - - - - - - - ->> 1)Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,
Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,
Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,
Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,
Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi 2)Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain
Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain
Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye
Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
jaane kyon log mere naam se jal jaate hain… 3)Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Kyun usey Tuu ne bas ek Phool kaha hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Tu jise itni Haseen cheez samajhta hai wo Phool
Sookh jaaye to Nigaahon ko bura lagta hai
Phool ka apna koi rang koi Roop nahi
Uske Jore mai saja ho to Bhala lagta hai
Mera Mehboob to har Waqt Naya hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab
Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chha’aoon jesa
Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke
Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghata’aon jesa
Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien
Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal
Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye
Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal
Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost
Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi
4)Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho
Sakoon tabaah nah ho, zindagi gunaah nah ho
Kutch aetedaal bhi laazim hai dill lagi key liey
Kissi sey pyaar agar ho to bepanaah nah ho
Iss ehtyaat sey mai terey saath chalta hon
Teri nigaah sey aagey meri nigaah nah ho
Mera wajood hai sachaaion ka aaina
Yeh aour baat keh mera koi gawaah nah ho 5)Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareen Sahi
Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi
Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi
Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai
Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi
Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi
Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi
Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye
Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi
Usey dekhne ki jo Loo lagi, to ‘NASEER’ dekh hi leinge Hum
Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi 6)Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se her Waqt, Tere siwa Kuch b nahi
Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi
Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi 7)Apna Use Banana Gar Mere Bas Me Hota
Lout Ata Lout Aana Gar Mere Bas Me Hota
Ankhon Me Unki Jata Surat Badal Badal Kar
Khawabon Me Aana Jana Gar Mere Bas Me Hota
Chahere Ko Muskrahat Se Mai Sajaye Rakhta Hoon
Aye Yaar Muskrana Gar Mere Bas Me Hota
Duniya Se Qatam Karke Rakh Deta Ranj O Gham Ko
Bazm-e-Tarab Sajana Gar Mere Bas Me Hota
Qadmon Me Unke Lakar Taare Bekhair Deta
Taaron Ko Tod Lana Gar Mere Bas Me Hota
Lata Na Naam Bhi Mai Us Bewafa Ka Lab Per
Shahezad Ko Bhulana Gar Mere Bas Me Hota… 8)Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha 9)Thaharo satao na itna sanam humko.
Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko.
Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao.
Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho.
Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko.
Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge.
Tarase the jo naina ab,nis din barasenge.
Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko 10)Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
!
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
!
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
!
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
!
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!! 11)Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay 12)Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !
Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !
Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !
Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !
Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !
Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange !! 13)Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata
yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata
bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata
bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata 14)To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay,
Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin,
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay,
Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay 15)Meray Allah larai se bachana mujh ko,
Aur sikha day koi banduk chalana mujhko!
Khair se laut k ayain meray abbu ghar main
Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main !
Raat din jaam traffic na rahay sarkon per
Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per!
Qalma gawaion ko musalman banaday yarab
Naik aur saheb-e-iman banaday yarab !
Naam-e-Islam ki hurmat ko bachalay yarab
Waqt kai sarazy yazidon ko uthalay yarab 16)You're the first thing I think of
Each morning when I rise
You're the last thing I think of
When I close my eyes
You're in each thought I have
And every breath I take
My feelings are growing stronger
With every move you make
You're an angel from above
who takes away my pain
My love for you is so strong 17)Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.. 18)Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...
Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...
Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...
Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...
Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
Phir 'Aag ka Darya' hay aur &aposoob' kay jana hay.. 19)Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi
Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi
Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi
Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi
Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi 20)Yeh Fakhar Toh Haasil hay , Buray hayn k Bhalay hayn
Do Chaar Qadam Hum bhi Teray Saath chalay hayn
Jalna toh Chiraghon ka Muqaddar hay Azal se
Yeh Dil k Kanwal hayn k Bujhay hayn na Jalay hayn
Thay kitnay Sitaray k Sirr e Shaam hi Doobay
Hungaam e Sehar Kitnay hi Khursheed Dhalay hayn
Jo Jhayl Gaye Hans k karri Dhoop k Tewar
Taaron ki Khunak Chaon mayn Woh Log Jalay hayn
Ek Shama Bujhayee Toh Kayee Aur Jala Leen
Hum Gardish e doraan se bari Chaal Chalay hayn
21)jis tarah ki hain yeh devarain yeh dar jaisa bhi hai
sar chupanay ko muyassar toh hai ghar jaisa bhi hai
usko mujhse mujhko uss se nisbatain hain beshumaar
meri chaahat ka hai mehavar yeh nagar jaisa bhi hai
chal para hun shauq-e-beparvaah ko murshad maan kar
raastaa pur_pech hai yan pur_Khatar jaisa bhi hai 22)Raaz -e- Ulfat Chupa Kay Dekh Liya
Dil Bohat Kuch Jala Kay Dekh Liya
Or Kia Dekhnay Ko Baaki Hay
Aap Say DIL Laga Kay Dekh Liya
Wo Mera Ho Kay Bhi Mera Na Howa
Un Ko Apna Bana Kay Dekh Liya
Aaj Un Ki Nazar Main Kuch Ham Nay
Sab Ki Nazray Bacha Kay Dekh Liya
Faiz Taqmeel -e- Ghum Bhi Ho Na Saki
Ishq Ko Aazma Kay Dekh Liya
Aas Us Dar Say Tootti Hi Nahi
Jaa Kay Dekha Na Jaa Kay Dekh Liya 23)Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon 24)Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chor Gaya
Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aaas Chor Gaya
Yehi Karam Nawazi US Ki Mujh Pe Kam Hai Kia
Ka Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya
Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab
Mere Laboon Pe Wo Eik Lafz Kash Chor Gaya
Ye Mera Zarf Hai Ik Roz US Ne Mujh Se Kaha
Ka Aam Logon Mein Eik Tujh Ko Khas Chor Gaya
Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai
Inhi Ruton Mein Mujhe WO Udass Chor Gaya 25)MERI CHAHAT TUM SE ALAG KAB HAI ,,,,,
DIL KI BATEIN DIL MERE TUM SE CHUPI ,,,
KAB HAI,,
TUM SATH RAHO DIL MEIN DARKAN KI TARH ,,
ZINDAGI KO MERI SANSON KI ZARORT KAB ,,
HAI,, 26)dard ki harr ik hadd se ab guzar gaya hoo'n mai
phir kabhi na simtunga you'n bikhar gaya hoo'n mai
maut bas nahee'n aati rooh k nikalne se
sans mujh mai baqi hai phir bhi marr gaya hoo'n mai
zindagi mai jitni bhi roshni thi uss se thii
mustaqil andhero'n mai abb utar gaya hoo'n mai
baam o darr bhi uske baad ho gaye hain you'n khamosh
aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hoo'n mai
uska sath jab tak tha rung rung mausam thai
bas khiza'n k mausam mai ab thhehar gaya hoo'n mai 27)KHABHI JO DEKHNI HO MUHABBAT
TU MERI CHAHHATON MAI AJANA
KHABHI JO KARNI HO MUJSE BATEN
TU MERI YADOON MAI AJANA
KHABHI JO CHAHO MEHSOOS KARNA PYAR MERA
TU MERI ANKHON MAI AJANA
KHABHI JO SUNNI HO AWAZ MERE DIL KI
TU MERI DHARKANO MAI AJANA
KHABHI JO PAO KHUD KO AKELA SA
TU MERI RAHON MAI AJANA
KHABHI JO SOO NA PAO MERI YADON MAI
TU MERI RATON MAI AJANA
KHABHI JO GHABRAO IRD GIRD K MAUSAM SE
TU MERI BAHON MAI AJANA.......... 28)Bharosa Toot Janay Se Zara Pehle Bata Dena,
Mujhe Tum Azmanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Kissi Helay Bahanay Se Zara Pehle Bata Dena,
K Mujhko Tum Bholanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Zameen Ki Rait Pe Tumne Jo Muhabbat Likhi Thi,
Woh Tehreerein Mitanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Mere Dilbar K Is Dil Par Main Rakh Lon Zabt Ka Pathar,
Suno Daman Churanay Se Zara Pehle Bata Dena,
Kissi BHi Mor Pe MOHSIN Bura Pao Agar Mujhko,
Zamanay KO Batanay Se Zara Pehle Bata Dena.. 29)Chaman roye Hansey shabnam bayabaan pe nikhaar aaye
Ik aeisa bhi neya mosam mere Parwadigaar aaye
Woh sar kholey humari laash pe diwana waar aaye
Ess he ko moot kehtey hain toh YA RABB bar bar aaye
SarGoor gareebaan aawo lekiiin yeh guzarish hae
Wahaan munh phair kar rona jahaan mera Mazar aaye
Baha aye chashm e tarr aeisa bhi aik ansoo nadamat ka
Jisey Daman pe leiney Rehmaat e Parwadigaar aaye
Qafas kay ho liye hum toh , magar aye ehl e gulshan
Humey bhi yaad kar leina jab chamaan mein bahar aaye
Najaney kia samjh kar chup hoon aye Saiyaad warna
Woh Qaidi hoon agar chahoon Qafas mein bahaar aaye
Wasif Dil kia hae main toh oun ki khatir Jaan bhi dey doon
Meri Kismaat agar oun ko phir na aitbaar aaye
30)is aalam-e-hairat-o-ibrat main kuch bhi to saraab nahi hota
koi neend misaal nahi banti,koi lamha khwab nahi hota
ik umr namoo ki khwahish main mosam k jabr sahay to khula
har khushbu khaas nahi hoti, her phool gulaab nahi hota
yahan manzar se pas-manzar tak hairaani hi hairaani hey
kabhi asal ka bhaid nahi khulta,kabhi sachha khwab nahi hota
kabhi ishq karo to phir dekho,is aag main jaltay rehne se
kabhi dil per aanch nahi hoti kabhi rung kharab nahi hota...
31)KhizaN ke rang mein bhi bahaar abhi baqi hai
Chirag-e-sahar hai par intazar abhi baqi hai
HameiN salam karo aye hawaadis-e-dauraN
Tumhaare saath hain phir bhi qarar abhi baaqi hai
Guzar chuka hai ummidoN ka qafla kab ka
Rah-e-yaqin per ab bhi ghubar abhi baqi hai
Hamein pukaar lo jab chaho ham milenge wanhi
Mile hain Khaak mein lekin Waqar abhi baqi hai 32)Zikr ulfat per natija ye hua taqreer ka
Mein bhi chup hun,woh bhi chup aalm hai ek tasveer ka
Aate aate ruk gaya hai dam jo mujh dilgeer ka
Aah bhar ker muntazir hun ,aah ki taseer ka
Zulf-e-laila-e-shab-e-gham hoti jati hai daraaz
Aur e dil kya asar ho naala-e-shab geer ka
Tor ker pahlu ko nikla hai khadang naaz yun
Dil nahin ek doosra paikaan hai goya teer ka
Saaf baatin hain,hamara raaz-e-ulfat kya chupe
Dil mein aalm hai yahan aaina-e-tasveer ka
Subh tak dekhen dil-e-mahjoor ka kya haal ho
Qasd hai phir aaj mashq-e-naala-e-shab geer ka
Shama hai bazm-e-jahan mein kya adab-e-aamoz-e-ishq
Lab pe shikwa tak nahin be-rehmi-e-gul geer ka
Maut se kya saaz ker rakha hai us ne e nazar
Muddatein guzrin sabab khulta nahin takheer ka...!!!! 33)Kissi hurf main, kissi baab mein nahi ayega
Tera zikar meri kitaab main nahi ayega
Nahi jayegi kissi ankh se koi roshni
Koi khwawaab ab kay azaab main nahi ayega
Koi khud ko sehraa nahi karega, meri tarah
Koi khwaisho'on kay saraab main nahi ayega
Dil badgumaan tere mausamo'on ki noveed hO
Koi haar dast-e-gulaab main nahi ayega
Issey lakh Dil se pukaar lo, issey dekh lo
Koi aik hurf jawaab main nahi ayega
Teri raah taktey rahe,agarchey khabar bhi thi
Kay yeh din bhi mere hisaab main nahi ayega 34)Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahin Barha
Main ‘Aap', Woh ‘Janab' Se Aagay Nahin Barha
Muddat Hui Kitaab-E-Mohabbat Shuroo Kiay
Lekin Main Pehlay Baab Se Aagay Nahin Barha
Lambee MusaafataiN Hain, Magar Iss Sawaar Ka
PaaoN Abhi Raqaab Se Aagay Nahin Barha
LogoN Ne Sang-O-Khisht Kay Qal'ay Bana Liay
Apna Mehel To Khawab Say Aagay Nahin Barha
Tool-E-Kalaam Kay Liay Main Ne Kiay Sawaal
Woh Mukhtasar Jawab Se Aagay Nahin Barha 35)Zameen pe chal na ska, aasman se b gya
Kaat k per ko parinda urran se b gya
Tbah kar geiy mujhe pakke makaan ki khawaish
Mein apne gaoon k kache makaan se b gya
Bhulana chaha tou bhulaane ki hudh kar di
Ab wo shakhs mere wehm-o-gumaan se b gya
Kisi k haath se nikla hua wo teer hoon mein
Jo nishaane ko chhoo na ska aur kamaan se b gya 36)Koi apna aisa hua kare,
Jo shikayatein na gila kare,
Jo mere liye hi saja kare,
Jo mere liye hi bana kare,
Mein jo rooth jaon manaye woh,
Mein udas hoon to hansaye woh,
Sada chupke chupke dabe qadam,
Mere saath hi bas chala kare,
Kabhie us se mein jo door hoon,
Meri wapsi ki dua kare,
Koi apna aisa hua kare,
KOi apna aisa hua kare....!
37)Mujhay apne zabt pe naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua
Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua
Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua
Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua
Mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
Kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua
Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm- e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa
Yeh jo sar jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
Meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa
Mujhay ap kiyun na samajh sake ye khud apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula hua 38)Zindgi per kitab likhunga...
Us mai sarey hisab likhunga....
Pyar ko waqt guzari lik kar.....
Chahton ko azaab likhunga..,
Hui barbad m0habbat kaisey....
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga.....
Apni khwahish ka tazkra kar k....
Naam tera jawab likhunga....
Teri ankhain sharab ki manind.....
Tera chehra gulaab likhunga....
Mai tuj se judai ka sabab....
Apni kismat kharab likhunga 39)Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte..
40)Mohabat khawab hoti hai,
Mohabat baat hoti hai,
Ager koi pooch bethey to
mohabat raaz hoti hai,
Machalti hui umangon ka
sohana saath hoti hai,
Ager koi dhondna chahy to
mohabat nayab hoti hai,
Mohabat yun b hoti hai
kurbay zaat hoti hai,
Mohabat phool hai shayid!
Ghamon ki dhool hai shaid!
Ksi ka saath hai shaid!
Chamakti raat hai shaid!
Mohabat pur sk¸¸n b hai.,
Mager!
Betaab hoti hai!
Share And Comment on this
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.