Friday 30 August 2013

Real To Lagta Hai Na


Hey Frnds mai aapni Life ki kuch bohot khaas bate aapse share karna chahthi hu kyu ki mera or koi tho nai maa k siva..mere papa tho bajpan me hi chal base lekin mere mama(uncle) papa k yad ane hi nai diya kyu jo b muje chahiye tha vo lake dethe the.my jab 11 std k liye clg train me jathi thi… hamra ek gang tha jisme 5 log rehthe hum roz train me maza karthe jathe the patha hi nai chaltha tha k kab clg agayaa…ek din ek fnd ne ek ladke ko leke ayi jiskq name naheem tha bohoth pyara tha..roz sath me atha kliya sab log uske sath gul mil gaye..acha ladka mazakhi tha….uske batho se hi sab has the rahthe the…muje bathe bohoth ache lagthe the usse bath karna..ek din nai aya tho bura lagtha tha patha nai kya horahat… kuch din bad fnd ka barthdy anewala tha jis keliye hum sab milkar barthdy party pln kiye..jis k karan muje naheem k sath tym spnd karne ka moka zyada mila..hum cls bunk karke pas k park ne jakar pln karthe the…brtdy k ek din muje naheem ne propos kiya..muje usse kya kahu patha hi nai chala at lst my ha kehdhi..hum phn me bathe karne lage..vo muje meet keliye bulatha rehtha tha…lkn muje moka hi nai mila.. or ek din uski behen ki shadhi me hum uske gar gayethe jab my uske fmly se b mili…use tho dar hi nai tha..uske mammi se drct mere bareme sab kuch batha diya my unka fce dek kar hi drthi thi…magar uske fmly tho bohoth sweet the…sab man gaye..tho maine b socha k muje b fmly se kehna chahiye..fr muje dar tha k agar nai manetho?…mammi ko my janthi thi k vo maan jayenge ..ha vo maan b gaye…magar mere ammi k bhayi yani k mama manenge… ammi ne kaha k vo job ne stld honedho abhi hi bologitho mama nai manege..badhme bholo githo maan jayenge kyu ki mere kushu hi unka kushi he…my ne kaha its ok..sab maine ne naheem se kaha..uska thab bcom lst yr tha..usne kaha k may papa k hlp karunga frgn jake…vo bhulathe hi rehthe he… my ne kaha teek he..sab teek se ja raha tha..my b kush thi vo bhi kush tha…vo roz kehtha tha k agar my na mili tho vo marjayega…log keh the he na jab acha hotha he thi nazar tho lagna hi he..aisa hi samjo …roz hum bathe karthe .achanak uska phn off anelaga..my bohoth try ki lekin lag nai rahatha..kya karu samaj me hinai aya.. my phn nw leneke karan unke gar valo ka num dlt hogaya…kaise cntct karu samaj me hi nai aya 7 dys hogaye…magar phn swtch off hi batha raha tha..kya karu samaj me hi nai aya…fr mere fnd ne kaha k uske gar jake dheke..tho uske behen rothe huwe baiti thi my ne kya huwa tho usne kaha k vo jail me he..thume vo dhoka diya he…. aj se vo mera bhai nai raha.vagaira vaigaira…muje kuch samaj me nai..batha kya he bathavo kahe tho bathaye k vo ek ladki ko rape kiya he jiske k vajah se use police leke chale gaye…my shok hogayi…samj hi nai aya k ye kya kehrahe he..or uske dhidhi bohoth samjaye or kahe k thum javo gar uske barose me math baito vo thumare layak nai he..lekin mera man nai man raha he k vo aisa b karega…my kya karu kuch samj my nai aya…bohoth royi.. ye dhek kar mammi ko samaj me aya k kuch huwa he..my ne sab mammi se kehdiya kyu ki my mammi se sb shr karthi thi vahi mere bst fnd the…aj vo na hothe tho my bhi nai hothi…my ne tnction me my ne nani k prshr vali goli 4 -5goli kayi ..my marna chahthi thi jis sse pyr kiya vo muje ithna bada dhoka diya..thbi muje mammine hsptl leke gaye ..jisse aj zindh hu my… aj ko 2 mnth hogaya phn nai kiye vo uska 3 mnth ka jail he..lkn mere unkl ne muje unke dhosth k bete k sath rshtha fx karana chah the..my kya karu samaj me nai araha he…uska inthzar karu…?kusi or se muje pyr bhi nai hosaktha…….. aksar ladki dhoka dhethi he ..magar my dhoka dhena nai chathi kisisi ko..kya karu kuch samaj me nai arahahe…agar dhoka hi dena tho fmly kyu kehtha…my ab kya kary kuch samaj ne nai araha he… 6 mnth k badh shadhi k plb kar rahe he..lkn vo ladke ko bhi my dhika nai dhena chahthi..my kya karu… Intzaar karu bhi to kis bewafa ka jisne bewafayi ki hadh par karli..or shadhi karke usladke ka lyf wst my kyu karu… ---------------------------- 


Gazals:: --------- 

1)Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai? Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai? 

Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai? Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai? 

2)Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye Tumarey Dil mai thori si jaga chahye Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe 

3)Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye… Shayar:Aitebar Sajid Zindagi Maout Ki Amanath hai Zindagi ko sanbhal ke rakhiye 

4)Hame ek ajnabi achi lagne lagi, unki bathein dil ko chu ne lagi, dosti tho na thi par hone lagi, reply jab atha hai tho ek ajeeb se khusi mehsoos hone lagi. DOSTI tho na thee par hone lagi. sab dosti se payari ek Ajnabi ki dosti acchi lagne lagi.. Ab ajnabi ka shayar kehna achha laga… Apne naam se zayada shayar sunna acha laga.. 

Hum tho shayar hai bhad me Dost app ne SHAYAR kaha wo lafz acha lagaa… Humne tho apna naam zahir kardiya Sunne ki jo ho kwashih ap ka naam Wo ab apse keh diya.. Dil ne b apni choti si jagah me Aap k naam kabza kar ne laga… Ek ajnabi dost hame call karega Ab barosa hone lagaa… Ab dil tho diwana hone laga…. 

Dosti ek ajnabi se jo karne lagaa… Kayaal rakne ko kehthe hoo…. Call tho karthe hoo, Magar mizaz puchna bhool jate ho Dost tho manthe hoo Magar dosti jatana bhool jathe hoo, Aye Qudha ye kaisa ajnabi dost ham ne paya hai… Kayaal rakne ko kehtha hai Magr baat karne ko darta hai… Hum b tho unke dost hai Phir kyun Ye yaad dilana padtha hai.. 

5)Zindagi ka yehi tarana hai Gam uthana hai muskrana hai. Rop tera bada suhana hai Tujh pe qurban ye zaman hai. Kis qadar pyaar mera sachcha hai Aaj dil bar ko aazmana hai. Tujh ko paon ya tera hojaon Zindagi ka yehi fasana hai. Is tarah se na muskuraya karo Jaan lewa ye muskurana hai. Aarzi hai ye dunya aye lugon Har kisi ko yahan se jana hai. Arzoo hai yehi meri Danish Dust dushman ko bhi banana hai. 

6)Thaharo satao na itna sanam humko. Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko. Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao. Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho. Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko. Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge. Tarase the jo naina ab,nis din barasenge. Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko. 

7)Even though it hurts to know that you aren't mine anymore, I think I'm going to be okay. I know you're not coming back, you are the one who left. I realize that you don't care for me or even love me anymore. I can't keep dwelling on it, I just have to live with it. I'm not going to keep wishing for something I know won't come true. I know one day I'll find that girl who'll be different from the rest, but until then I'm not going to keep living in the past, I'm going to pick my head up and just move on. D:/ 

8)Khawab sare Adhure rah Gaye, Jo Tum Juda humse Ho Gaye.. Bichad Kar tumse Lage Jaise, Khud Se Bhi Tanha Ho Gaye.. Ruth Gayi Taqdeer Bhi Jab Se, Tum Mujh Se Khafaa Ho Gaye.. Kaisi ye Judayi Hain Sanam, Hum Kya Se Kya Ho Gaye.. Bin tumhare Kuch Nahi Zindagi, Ishq Me Hum Fana Ho Gaye..!! 

9)Us Ke Sath Rehte Rehte Hamein Chahat Si Ho Gayi, Usse Baat Karte Karte Hamein Aadat Si Ho Gayi, Ek Pal Bhi Na Mile To Najane Bechaini Si Rehti Hai, Dosti Nibhate Nibhate Hamein Mohabbat Si Ho Gayi 

10)Must read heart touchng story: . Girl: hey baby, happy birthday Boy: thank u (: . Girl: I'll be at ur house at 7:30pm . Boy: okay babe,promise? . Girl: yeah, I promise. I love u so much.. no matter what happens. . Boy: I love u too. I am going to cook for our dinner (: . Girl: okay baby (: Exactly 7:30, girl does not arrive... 1 hour goes by. 8:30 and the girl arrives.... . Boy: hey babe.. What took u so long? . Girl: *hugs him*, sorry. There was a lot of traffic. . Boy: 

Its okay as long as u are here (: . I bet u're hungry. They went to dinner and ate and talked... . *boy phone rings* *Its the girls mom* . Boy: hello . Girls mom: ( crying ) son, I have to tell u something I am in the hospital right now my daughter just passed out. . Boy: ha? What are u talking about? . Girls mom: (crying) she was in a car crash a "hour ago" she did not make it. . Boy: "shocked" looks at his . girl. The girl is in the dark holding a candle saying "Baby, I did not break my promise. 

11)Sawal Kuch B Ho, Jawab Tum Hi Ho Rasta Koi Bhi Ho, Manzil Tum Hi Ho Dukh Kitna Hi Ho, Khushi Tum Hi Ho Arman Kitne Bhi Ho, Aarzoo Tum Hi Ho Gussa Kitna Bhi Ho, Pyar Tum Hi Ho Khawab Koi Bhi Ho, Us Mein Tum Hi Ho, kyunki Tum Hi Ho...!!! Ab tm hi ho meri ashiqi ab tum hi ho:! 

12)kabhi yuN bhi to ho -2 dariyaa kaa saahil ho, poore chaaNd ki raat ho aur tum aao kabhi yuN bhi to ho -2 pariyoN ki mahfil ho, koi tumhaari baat ho aur tum aao kabhi yuN bhi to ho -2 kabhi yuN bhi to ho ye naram mulaayam ThanDi havaayen jab ghar se tumhaare guzaren, tumhaari Khushboo churaayen mere ghar le aayen kabhi yuN bhi to ho -2 sooni har mahfil ho, koi naa mere 

saath ho aur tum aao kabhi yuN bhi to ho -2 kabhi yuN bhi to ho ye baadal aisaa TooT ke barse mere dil ki tarah milne ko, tumhaara dil bhi tarse tum niklo ghar se kabhi yuN bhi to ho -2 tanhaai ho dil ho, booNde hoN barsaat ho aur tum aao kabhi yuN bhi to ho -2 dariyaa kaa saahil ho, poore chaaNd ki raat ho aur tum aao kabhi yuN bhi to ho 

13)Kya jaane kis adaa se liya tune mera naam., duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hu me, lekin ye sochta hu ke ab tera kya hu me.., sadma to hai mujhe bhi ke tujhse juda hu me..!!! Sadma To Hai Mujhe B 

14)Dil dard ka tukda hai., patthar ki dali si hai, ek andha kuwa hai ya., ek bandh gali si hai, ek chhota sa lamha hai jo khatm nahi hota., main lakh jalata hu ye bhasm nahi hota..!!! 

15)Log zaalim hai har ek baat ka tana denge, baato baato me mera zikra bhi le aayenge, unki baato ka zara sa bhi asar mat lena., warna chehre ke taasur se samajh jayenge., chahe kuch bhi ho sawalat na karna unse., mere baare me koi baat na karna unse..!!! 

16)mashrufiyat mili toh meri yaad aa gai.... fursat me nahi hum tu mera intzaar kar.... mohobaat ka meri tu u na uda or mazak... majboor nahi hum tu mera aitbaar kar. 

17)"Dil ka raaz likh raha h.. Apni awaz likh raha hu.. Kisiko chahane ki himmat tmne krdi.. Tmko 'Jabbaz' likh raha hu...." 

18)Apne Ghum Ki Numaish Na Kar Apne Naseeb Ki Azmaish Na Kar Jo Tera Hai Tere Paas Khud Ayega Har Roz Use Pane Ki Khawaish Na Kar Taqdir Badal Jayegi Apne Aap Hi Aey Dost Muskrana Seekh Le Wajah Ki Talash Na Kar 

19)mukamaal ho jati apni mulakat gar tum kuch kehtey... nigaho ka bhi fasana pura na ho saka.... dur na jatey tumse jo tum rook kar kuch kehtey.... phir milpana bhi dubara na ho saka.... 

20)phir ye pyar ka lafz aaya hai shayad naya aashiyana ujad aaya hai na jane kaisi aadat hai iski jab b kisi ko loota, pahle use apna banaya hai 

21)Haath mein usko kalam ka aana achchha lagta hai, usko bhi school ko jaana achchha lagta hai. bada kar diya ghardish ne waqt se pehle warna, sar pe kisko bojh uthana achchha lagta hai… 

22)Jaha yad na aye wo tanhai kis kam ki, Bigde rishte na bane to khudai kis kam ki, Beshak apni manzil tk jana h, Par jaha se apne na dikhe wo uchai kis kaam ki… 

23)Khusbo’n Ki Tarha Meri Har Saans Mein Pyar Apna Basane Ka Waada Karo Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ke Hai Mere Dil Mein Sajane Ka Waada Karo Hai Tumhari Wafaon Pe Mujhko Yaqeen Phir Bhi Dil Chata Hai Mere Dil Nasheen Yunhi Meri Tasalli Ki Khatir Zara Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Jab Mohabbat Ka Iqrar Karte Ho Tum Dharkano Mein Naya Rang Bharte Ho Tum Barha Kar Chuke Ho Magar Aaj Phir Mujhko Apna Banane Ka Waada Karo Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahin Ik Janib Se Hi Pyar Hota Hai Mai Tumhe Yaad Rakhne Ki Khaun Kasam Tum Mujhko Na Bhulne Ka Waada Karo… 

24)Jo bani ho Mere lye Jis ke lye mai Jee raha hoon Jo kahe Hum saath hain Tere Jise dekhne k liye Tarap raha hoon Ek aisa hi Dildaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye Ho har Waqt rahe saath mai Mere Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye 

Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Jis ki ek Hansi k liye Mar jane ko Dil kare Jo kehde ek baar to Phir Jeene ko Dil kare Aisa hi Ek Humsafar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye Ek baar mili thi Mujhe woh Par pata nahi kaha kho gayi Ab agar mil jaye toh use kahi jane na doon Wohi khoya Yaar chahiye Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye 

25)aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal guzarti nahin hai, meri koi bhi pal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal woh manzil yahaan nahin milegi jise tujhe talash hai woh manzar yahaan nahin dikhega jo tere dil ke aas paas hai milti nahin hai mujhe yahaan koi bhi hal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal waise log yahaan nahin hai jinko dhund raha hai tu yahaan log waise nahin hai jinse jud raha hai tu na banegi yahaan mere sapno ka mahal mujhko yahaan se le chal aaj ye dil keheta hai, tu ab laut chal 

26)Wo Boli, Dil Ko Koi Beyaqeeni Hai Muhabbat Me Mai Bola, Thik Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai Wo Boli, Arzoain Dil Ke Andar Bain Karti Hai Mai Bola, Thik Hai Mujh Ko Sunayi Dete Rahete Hain Wo Boli, Hum To Jaise Ek Musalsil Dukh Ke Qaidi Hain Mai Bola, Thik Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hain Wo Boli, Koi Shab To Khab Me Bhi Khab Aate Hain Mai Bola, Thik Hai Kuch Hasraten Aise Bhi Kartin Hain Wo Boli, Bareshon Me 

Aur Ziyadh Jaan Silagti Hai Mai Bola, Thik Hai Ye Aag Pani Ke Masael Hain Wo Boli,Raat Kion Mushkil Se Katti Hai Judai Me Mai Bola, Waqt To Kaifiyaton Ka Naam Hota Hai Wo Boli, Chahaton Me Dard Ke Rahene Ki Qahish Kion Mai Bola, Dard Ke Mare Howoon Ko Chain Mil Ta Hai Wo Boli, Ruh Ki Aasoodgi Ko Kiya Zaroori Hai Mai Bola Ruh Ko Aaloodgi Achchi Nahi Lagti Hai Wo Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kiya Kahani Hai Mai Bola, Aadam O Hawwa Ki Chahat Ki Nishani Hai… 

27)Teri Khamosh Nazro Ka Nazaara Main Hoon. Tu Gar Samundar Hai To Kinaara Main Hoon. Waqt Ki Dehleez Par Har Cheez Badalti Hai..!! Umar Bhar Jo Saath Rahe, Woh Sahaara Main Hoon. Main Yeh Nahi Kehti Ke Main Toot Ti Bhi Nahi. Tooth Kar bhi Jo Duayen De, Woh Sitaara Main Hoon. Tere Saath Rahoon To Pathjad Bhi Bahaar Si Lage. Yeh Ishq Hai Jaana Aur Ishq Ki Maari Main Hoon. Chal Chale Uss KhwaaboN Ki Duniya Me. 

28)Na tumsa kabhi koi dekha hai na tumsa kabhi koi payenge har sath mera tujhse hai har sans meri tujhse hai bus paas mere tu bas hai bus sath mere tu bas hai Tu paas nahi to kuch bhi nahi tu sath nahi to kuch bhi nahi tere bin har pal tanhai hai mera dukh tujhse judai hai tu mil jaye to chor du sab tu na ho meri mar jau mai ab aa kehede tu bhi meri hai meri har aarzoo teri hai mai tere bin na jee sakta tujhe dil main sanso sa rakhta 

29)Kehete hai dil ek baar kisi ko chahta hai kehete hain dil ek baar kisi ko pata hai kya tu hi hai jise meine paa liya hai kya tumne hi muje apna bana liya hai par na jane kyu ye sab acha sa lagta hai na jane kyu kuch khud bhi dil karta hai k kehedu tujhe k tumhe hi dil chahta hai par kehe kar bhi kehe nahi pata hai 

30)tu mehebuba meri hai kai janmo se tu jaan meri hai kai janmo se tu dua ban k mili hai kai janmo se tu haya ban ke mili hai kai janmo se kya khoob hai tere ye chehera haseen kya khoob tere yu kehena haseen tu bhi to mujhe hi dkehti hai raho mein meri hi aankhe lga khari hai 

31)Pyar ki Tadap ko Dikhaya nahi Jata Dil ki Aag ko Bhujaya nahi Jata Lakh Bewafa ho Sanam Fir b Zindagi Ka Pahla Pyar Bhulaya nahi jata Kabhi Kabhi Dil Jarur Rota hai Jab koi Mil kar Najro se Door hota hai Is Liye Roti hai Kambakht Aankhein Kyunki Dil se Jyada Aankho ka Kasoor hota hai 

32)Ab aansoonon ko aankhon me sajana hoga, Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga, Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum, Hamein logon ki khatir muskurana hoga..... 

33)Dost ki yad se badi koi dolot nahin hoti, Sath rehna hi dost ki jarurat nahin hoti. Duriyan kardeti ha yado ko jinda, Warna yadon ki koi kimat nahin hoti… 

34)Khushiyon par fizaoun ka pehra hai Najane kis umeed per dil tehra hai Teri aankhon se jhalakte dard ki qasam Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai… 

35)Khushiyon par fizaoun ka pehra hai Najane kis umeed per dil tehra hai Teri aankhon se jhalakte dard ki qasam Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai… 

36)Phoolo se khushboo churayi nahi jati, Suraj se roshni chhipayi nahi jati, Kitni bhi door kyo na ho tum, Dosti me aap jaisi dost ki dosti bhulayi nahi jati… 

37)Doston ki dosti hamain raas bahut Aai, zindagi hamari khuli kitaab najar Aai, sb padh liye sabak us kitaab mai se, zindagi mai Mout ki, Aadhuri pyaas najar Aai… 

38)Pyar mein marne jeene ki kasme khati thi woh Mere saath hi apna saara waqt bitati thi woh jane kya khata hui thi mujhse mere dosto na jane kyo aaj raah chalte mujhse muh chupati hai woh… 

39)Bandh Lain Hath Seeney Pey Saja Lain Tum Ko Jee Main Ata Hey Keh Taweez Bana Lain Tum Ko Phir Tumhain Roz Sanwarain Tumhain Barhta Daikhain Apney Angan Main Chanmbeli Sa Laga Lain Tum Ko Is Qadar Toot Key Humain Tum Per Pyar Ata Hey Bhar Lain Bahon Main Or Maar Hi Dalain Tum Ko Kya Ajab C Khawahish Uthi Hey Hamarey Dil Main Ker Key Faza Sa Hawaon 

Main Uchalain Tum Ko Hey Tumharey Liyey Kuch Kuch Aisi Haqeeqat Dil Main Apney Hathon Main Duwaon Sa Utha Lain Tum Ko Yeh Khawahish Hey Merey Dil Ki Key Tumhain Khud Sey Zyada Chahain Khushboo Ki Tarha Apney Man Main Basa Lain Tum Ko Na Lagey Kisi Ki Nazr-E-Bad Tumhain Aye Merey Hamdam Apney Dil Main Is Tarha Chupa Lain Tum Ko 

40)Chiragh-e-Shab Ko Jaise, Aandhiyan Achhi nahi Lagti. Kuchh ayse hi Humain Khush Fehmiyan Achhi nahi Lagti. Jinhen Sone K Pinjre Me Ghiza Mil Jaya Karti hay, Unhain Phir Umar Bhar Aazadiyan Achhi nahi Lagti. Wo Jin K Dil Me Fasl-e-Gham Ne Dere daal Rakhe Hon, Unhain Pholon Pe Bethi Titliyan Achhi nahi Lagti. Mera Dil Chahta Hai K Unhain Aaina Dikhaon M0HSIN, Wo Jin Ko Dosron Ki Khobiyan Achhi nahi Lagtien. 
31)Pyar ki Tadap ko Dikhaya nahi Jata Dil ki Aag ko Bhujaya nahi Jata Lakh Bewafa ho Sanam Fir b Zindagi Ka Pahla Pyar Bhulaya nahi jata Kabhi Kabhi Dil Jarur Rota hai Jab koi Mil kar Najro se Door hota hai Is Liye Roti hai Kambakht Aankhein Kyunki Dil se Jyada Aankho ka Kasoor hota hai 

32)Ab aansoonon ko aankhon me sajana hoga, Charaag bujh gaye khud ko jalana hoga, Na samajhna ki tumse bichadke khush hain hum, Hamein logon ki khatir muskurana hoga..... 

33)Dost ki yad se badi koi dolot nahin hoti, Sath rehna hi dost ki jarurat nahin hoti. Duriyan kardeti ha yado ko jinda, Warna yadon ki koi kimat nahin hoti… 

34)Khushiyon par fizaoun ka pehra hai Najane kis umeed per dil tehra hai Teri aankhon se jhalakte dard ki qasam Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai… 

35)Khushiyon par fizaoun ka pehra hai Najane kis umeed per dil tehra hai Teri aankhon se jhalakte dard ki qasam Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai… 

36)Phoolo se khushboo churayi nahi jati, Suraj se roshni chhipayi nahi jati, Kitni bhi door kyo na ho tum, Dosti me aap jaisi dost ki dosti bhulayi nahi jati… 

37)Doston ki dosti hamain raas bahut Aai, zindagi hamari khuli kitaab najar Aai, sb padh liye sabak us kitaab mai se, zindagi mai Mout ki, Aadhuri pyaas najar Aai… 

38)Pyar mein marne jeene ki kasme khati thi woh Mere saath hi apna saara waqt bitati thi woh jane kya khata hui thi mujhse mere dosto na jane kyo aaj raah chalte mujhse muh chupati hai woh… 

39)Bandh Lain Hath Seeney Pey Saja Lain Tum Ko Jee Main Ata Hey Keh Taweez Bana Lain Tum Ko Phir Tumhain Roz Sanwarain Tumhain Barhta Daikhain Apney Angan Main Chanmbeli Sa Laga Lain Tum Ko Is Qadar Toot Key Humain Tum Per Pyar Ata Hey Bhar Lain Bahon Main Or Maar Hi Dalain Tum Ko Kya Ajab C Khawahish Uthi Hey Hamarey Dil Main Ker Key Faza Sa Hawaon 

41)Ab Us Ko Dil Ka Haal Sunana Chor Diya.., Hum ne B Dil Ki Bat0n Me Aana Chor Diya, Jab Kisi Ko Yaad Hi nahi Ati Hamari, To Hum ne B Ehsas Dilana Chor Diya. 

42)Koi ehsas b usko yaad nahi, Koi baat b usko yaad nahi, Ik shakhs ne usko chaha tha, Wo zaat b usko yaad nahi, Jab shab ki bijli chamki thi Or badal toot k barsa tha, Ham dono jis mein bheege the Wo barsaat b usko yaad nahi, Wo SAHIL DARIA PHOOL HAWA Wo wada sath nibhane ka, Or shab bhar CHAND ko dekha tha Wo raat b usko yaad nahi, Wo kehti thi main sunta tha Main kehta tha wo sunti thi, Un lakhon baton mein koi Ik baat b usko yad nhi. 

43)Us ko fursat he nahi waqt nikaalay Mohsin, Aisay hotay hein bhala chaahnay waalay Mohsin? Yaad k dasht mein phirta hoon main nangay paa’on, Daikh too aa k kabhi paa’on k chhaalay Mohsin, Kho gai subho ki umeed,or ab lagta hai, Hum nahi hon gay,k jab hon gay ujaalay Mohsin, Khaak ko b nahi pohnchay ga koi Karbala ki, Ab bhalay aik jahaa’n khoo’n mein naha lay Mohsin, Haakim-e-waqt kahan,mein kahan,adal kahan.., Kiun na khalqat ki zubaa’n’ par lagay talay Mohsin. Wo jo ik shakhs mataa’e dil-o-jaan tha, na raha, Ab bhala kaun meray dard sambhaalay Mohsin 

44)tna Kia Sochte Ho , Likh Do Na Lafz Ek ” BeWaFa” Hi To Likhna Hay Hum Bebas Hai Be Parwa Nhe. Hum Udas Hai Khpa Nhe Karta Ho Doste Dil Sy Qadar, Hum Majbor Hai Bewafa Nahe Bewafa Waqt Tha? Tum Thay ? Ya Muqaddar Mera ? Waja Jo Bhi Thi Anjaam Judai Nikla Pyasi Muhabat “Bewafa Wo Zamaaney Bharr Ka, Phir Bhi Acha Lagta Hai Zamaaney Bhar Se, Lut gai youn Sar-e-Bazar Wafa ki Ponji, Bik gaye hum kisi Majbor k Zewar ki tarah 

45)Ksi ki Rah Me Ankhen Bicha kr kuch Nhi Milta. Ye Dunya Bewafa HE Dil Laga kr kuch Nhi Milta. Koi Bhi Lot kr Ata Nhi Anso Bahany Sy. Ksi ki Yad Me Dil ko Rula kr kuch Nhi Milta Ksi k Dil Pay kya Guzry ksi ko kya khabr Is ki. Kisi ko Apna Hal-E-Dil Suna k kuch Nhi Milta 

46)Meri chahaton pe shikwe Tere raabaton me waqfey Haan yehi nishaniyan hain K Tu door ho raha Hai Soch rha hun ab bewafa honay ka tareeka seekh loun, Mohabbat dy dy k hum ny apni Qadar kho di Itni wafain bhi na karna kabi kisi sey UMER dil ki gehrai se cha jaye tu log magror ho jatay hain M0habbat J0 Ki Thi Wafa B T0 Karty Chahat Ka Haq Tum Ada B T0 Karty Daal Kar Hum K0 Anjaani Raah0n Par Mille Manzil Ye DUA B t0 Karty 

47)Gham’e’ zindgi ne la kR hMe us jga pe mara Jahan is tRf kinara na us tRf kinara Yahan kis ko itni fURSt jO hMra HaL poche Ye Mizaj hai sbi ka, nhi zikr bs tMhra Ye ajeeb sa jahan he yahan sb dre huwe hn Koi Dushmni ka Mara, koi dOsti ka mara Kai kam reh gye hn tere ishq ki wja se Tere sath b khsara, tere bad b khsara Tere sath beete lmhe meri zndgi ka hasil tERY bAd phr kiSi ne nhi Pyar se pukara… Socho to saari umar Mohabbat main katt gai Dekho to aik pal bhi woh hum ko nahi mila Wo chup Rehta Tha Magar 

Nighaahen Bolti Thi OMER Kuch Log khaamosh Reh Kar B dil Jeet Jaatay Hain Kia Tera Ghar Nhi Tha kOi jO Mere Dil mE Aa Basi Ey Mohbat Kia Mila Tujhe iS Hanste Hoye Chehre kO Rula Kr MuHaBBaT MeiN NaHi Hai FarQ JeeNay AuR MarNay Ka, K JisS kO dekH Kr jeeTy HaiN Usi zaaLiM Py MrTy HaiN Nahi hai hamara haal kuch tumhare haal se alag Bus fark hai itna K Tum yaad karte ho or Hum bhool nahi paatay 

48)Main Yeh T0 Nahì Kehtee Keh Tu Bewafa Hai Lekin Pehle Tu Jesa Tha Ab Wesa Nahì Raha Ek mohabat hy or uski ik nishani hy, Ek dil hai Jase koi haweli purani hy, Safar rat ka h or rat b tufani hy, Smandr hi smandr h,kashti b purani hy, Ibtida§e§Ishq se Inteha§e§Ishq tk, Me hi tha bewfa or Mjy hi wafa nibhani hy Me Laut aya ho manzil ko dekh kr, Udhr to yadon ki Verani hi verani hy, Ye Intezar khatm Q nai hota ksi se pocho, Kya koi manzil mera muqadr hai ya yehi meri adhori kahani hy. 

49)Hm Pagal Chand Ko Pany Chaly Thy, Humain Kia KhabR Thi Khud Ko Rulany Chaly Thy, Ab To Daman Ma Bs Yadain Hi Pari Han, Bawafa Ho Kr B Bewafa Kehlwany Chalay Thy, Humain Thukra Kr Rota To Wo B Hoga, Jis Sy Hm Sachi mhbt Nibhany Chlay Thy, Ab Jo Khuwab Tootay Han To Ye Ehsas HUa, Hm Samandar Kinary Mehal Bnany Chalay thy, Dil Dukhaya Ha Tm Ny Pr Sada Khush Rho SAQI, Hm TEri Rahon Ma Phool Bechany Chlay Thy..!! 

50)Hwa thami thi zroor lekn” Wo sham jesy sisak rhi thi K zard patton ko aandhiyon ny ajib Qisa suna dia tha K jis ko sun kr tmam patty Sisak rhy thy Bilak rhy thy Janay kis sanihey k ghm me Shajr jaron se ukhar chuke thy Boht tlasha tha hm ny tumko Hr aik rsta Hr aik wadi Hr aik parbt Hr aik ghati kahin se teri khabr na i To ye kh k hm ne dil ko tala Hwa thamy gi to dekh lain gy Hum us k rston 

ko dhond lain gy Mgr hmari ye khush khyali Jo hm ko brbad kr gae thi Hwa thami thi zaroor lekin Bri hi muddat guzr chuki thi! Hmary baalon k janglon me Sufaid chandi utr chuki thi! Falak pe taray nhi rahy thy Gulab pyary nhi rahy thy Wo jin se basti thi dil ki basti Wo log saary nhi rahy thy ye almiya sb se balatar tha K hum tumhary nhi rahy thy K tum hamary nhi rahy thy Hwa thami thi zroor lekin, bari hi muddat guzar chuki thi 

51)Majburi’on K Daor me Jaan se Aziz Log Bewafa Na Bhi Hon, Badal Zaror Jatay Hain Jab tak Na lage Bewafai ki Thokar Her kisi ko Apni muhabbat per Naaz hota hai Tum apne dil me jaga do mujhko, Or thori si wafa do mujhko, Pyar karna ager hai jurm koi, Mein houn mujrim saza do mujhko, Paas apne tum mujhe paogy, Dil se agr koi sada do mujhko, Agr nhi tumhein muhabt mujhse, To phir marne ki dua to do mujh ko ? 

52)Umar beet rahi he bus ik zara si baat ko samajhne me Ho jin se wabasta zindgi Wo log WafA kyun nahi krtey Mere Bin Jeee Rahey Ho Had Hai Sahib Bewafaai Ki Tum Nay Girtay Howay Patton Ko Tu Dekha Ho Ga, Apni Her “SAANS” Wo “TEHNI” Pay Ganwa Detay Hain, Kiya Khoob Sajatay Hain Baharon Mein Shajar Ko, Karri Dhoop Mein “APNA Aap JALA” Detay Hain, Kitnay BE-

REHAM Shajer Hain, Naey Patton Ki Khatir, Puranay Patton Ki “Wafaon” Ko Bhula Detay Hain. Me chahne walO ko Mukhatib nhi krta, Aur Tark.e.Ta’aluq ki Me wazahat nhi krta, Me apni jafaon pe Nadam nhi hota, Me apni Wafaon ki Tijarat nhi krta, Khushbu ksi Tash’heer ki Muhtaj nhi hoti, Sacha hon Mgr apni wakalat nhi krta, Ehsas ki sooli pe latak jata hn aksar, Me jabr.e.musalsal ki shikayat nhi krta, Me Azmat.e.Insan ka Qayel to hon “Mohsin” Lekin kbi bando ki Ebadat nhi krta..!! 

53)TU NE chaha hi nahi halaat to badal sakte the MERI aankho ke aansu teri aankh se nikal sakte the TU NE samjha hi nhi meri wafa ki keemat ko wrna NARM lafzon se to ptthar b pighal skte the HUM to tere hi rahe 1 jheel k pani ki tarAH AGAR drya bntay to bohat door nikal sktay thay. Osul-e-Mohabat Ma Tum Kud Bewafa Ho Wo Jo Bichra Tu Tum Mar Keun ni Gia Duniya me jeene ki chahat na hoti Agar khudane mohabbat banayi na hoti, Log marne ki aarzoo na karte Agar mohabbat me bewafai na hoti. 

54)huM ne use mohAbbat mein chanhne ki intaha kar di, apni her khuishi us par fida kar di, kuch is andaz se us ne luta mujh ko, meri hi zindagi mere liye saza kar di, beth kar namaz mein mangi thi jis ki qurbat, khuda ne usi hi ki judai ata kar di, raat bhar rote hain ab use yaad kar k, ab sochte hein k mohabbat ki thi ya koi khata kar di, tang a kar jo khuda se mangi mout hum ne, tu us Bewafa ne hamari lambi umer ki dua kar di Mere alfazon ko jhuth na samjhna, yaad aati ho bahut milne ki dua karna, jee raha hoon tumhara naam lekar, mar jau to bewafa na samajhna. 

55)Dil bhar jata Hai Logon ka HUM se sirf chand hi lamhon mein Pata nahi ye dunya Bewafa hai ya HUM mein koi kami hai !! Tere hone pr b khud ko tanha smjhon? Me bewafa ho ya tuj ko bewafa samjhon? Teri berukhi se waqt tu guzar gya hai mera, Ye khuddari hai ya teri anna samjho? Tere bad kya hal hwa hy mera, Ye teri anayet hai ya saza samjho? Zakhm dete ho or marham b lgate ho, ye teri aadat hai ya ada samjhun..!!  


Share And Comment on this




No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.