Monday 26 August 2013

Usko Kehena Ta Kuch


FIRST SORY::

mera naam Raghav hai mai bhi ek ladki ko bahot payar karta tha.par wo ladki mera payar sayad samjh hi nhi paye.ek din mai apne bhai ko milne chandigarh gaya tha wahn meine bhai ko bola ki koi ladki ka phone no dena use ne mujhe ek ladki ka phone no diya aur meine call kiya to usne mujhse pucha ki kaun ho tum to meine apna naam anil kashyap bata diya fir mai ne uska naam pucha to usne naina bataya fir dusre din uska msg aaya gd mrng. Dhere dhere hum bahot acche dost ban gaya roj hamari 3:00 pm me hoti dhere usne mere dil me itni jagha bana li ki mai yehi sochne laga ki agar ye ladki meri zindagi me aa jaye to kitna accha ho dhere dhere payar badhta raha ek mai bahot imosnal hogaya tha mai use bat kar raha tha to usne kaha ki kya bat hai mujhe tum paresan lag rahe ho to us din bhi meine bat tal di.mai ek hi bat sochta raheta tha ki agr mai use kahon ki mai tum se payar karta hu to kahn wo inkar na kar dey. mai use jab bhi bat karta tab ek hi bat kehta pls mujhe bhol jaao kyoki mujhe me itni ehmt nhi thi ki mai tum se bhot payar karta hun .ek din mai bat kar raha tha 10:00 pm.mai kafi jayad imosnal tha usne kaha kya bat hai pls mujhe bat do usne apni kasam di aur mujhe batane ke liye kaha to maine ka ki mai tumhe msg kar ke bata doga to usne kaha thik h fir maine msh likha i love you.mere hath kmp rahe the ki mai msg kese kro fir maine msg send kar diya 1 ghata pura ho chuka ki usne koi sms send nhi kiya fir mujhe bahot jayada tensan ho gayi. fir usne mujhe 12:00 k karb sms kiya ki koi tenson mt lena mai room me hu mai apse subah bat karongi.morning me uski call aai to usne kaha apne age ke bare me kuch socha hai to meine kaha han meine soch samjh ke hi fesla kiya hai to us ne kaha ki saadi mai apne mami papa ke izazat ke bena saadi nahi kar sakti meine kaha thek hai to usne kaha ki abhi padi puri karne me 3 saal lag jayenge to meine kaha koi bat nhi mai uski har ek galti ko har jhoot ko maf kar deta tha wo mujhe se kehti ki mai apko itna paresan karti hun to kya apko gussa nhi aata to meine kaha ki mai tumhari hazaro galti maf kar sakta kiyo ki mai tum se bahot payar karta hu ek din usne kaha ki mai apse milna chati hun to meine kaha thek h date 5 ko aaunga to usne kaha the hai ji fir mai usese milne uske ghar k pass ek markit hai us markit k pass bolaya tha mai gya kafi der tak baten karte rahe fir mai wohan se ghar wapas aagya kuch dino ke bad wo mujhe se duriyan banane lagi bimar thi ya koi aur bat ye to mein nhi jata P.G.I Hospital me hu ye batati the fir kuch din me wo mujhe kehne lagi ki mujhe bhul jaao. mai ek hi bat wo use kehta ki mai tujhe nhi bhul sakta ek din usne kaha ki mai apne liye apke dil me nafrat bhardongi aase hi roj wo mujhse ladi karti aur mujhe kehti ki mai kisi aur se payar karti hu par mera dil ye manne ke liye tayar nhi tha dhere dhere.usene apna phon band kar diya aur mujhe kaha ki agar ap mere ghar aaye to mera mara mo dekhoge isliye mai kabhi uske ghar nhi gaya bas door se use dekhta aur fir aa jata aaj 7 manth ho chuke hain use bat hue ko pls friends mere liye dua karo ki wo ek bar mujhe bat kar le kiyoki mujhe bat h ki wo mujhe se hi payar karti hai-----------------


SECOND STORY:: 

Hi Mera Naam Amit Hai. Main Kasoli ka rehne wala hu aur mera gf ka ghar mere ghar se 700km dur pe hai. aaj main aapko apni real love Story in Hindi share karta hun. Aapne bahut sari Hindi Love Story padhi hongi isliye plz advise me, main kya karun? Main ye story share karna nehi chahta hu lekin main aapna man halka karne chahta hu isiliye share karna chahta hu aur aisa v ho sakta hai k is story ko padhne k baad mere kuchh dost log sudhar jaye. Main Hostel me rehta tha mere class k final exam k baad main mere ek dost k waha ghumne gaya tha Siliguri. Kuch din baad waha se uske ek uncle k ghar aaye hum dono uncle k ghar me sab bahoot khus the hum sab raat ko baith k baat kar rahe the tabhi ek larka aaya aur mujhse baat karne laga fir usne kaha mere ghar chalo pass me hi hai maine kaha nehi baad me jaunga lekin usne zabardasti ki aur maine kaha thil hai chalo. Jab maine uske ghar me enter hua tab mera to hosh ur gaya maine dekha k ek bahoot khubsurat larki hat me kuch lekar aapni bed me baitha hua hai. Waha kuchh der rehkar me chala aya. Agle din wo uncle k ghar me aaya aur tabhi mujhse friendship hua mere dost ne usko sab kuchh puchha tabhi mujhe pata chala uski naam hai Sohana aur uska koi bf nehi hai. Tb mere frnd ne usse mob no. Liya. Waha 3 din rehkar hum Gangtok ghumne k liye gaye mera dost usse baat karta tha lekin main nehi karta tha. Fir hum wapas Kolkata chale aaye jab main train pe tha tb maine use kaha tha k main tumse baat nehi kar sakta fir usne mujhe ek msg kiya tha jisse mujhe malum hua ke wo mere liye roya hai. Tb se hum har roz baat karte the kuch mahine k baad hum dono bestfriend ho gaye.fir kuch mahine k baad uski ek frnd ne mujhe kaha k sohana tumhe pyar karta hai. Main kaha tumhe kaise pata usne bola k wo har waqt tumhare bare me hi baat jo karta hai. Uske baad usne mujhe ILU&IMU likh kar msg kiya maine socha frndshp k khatir aisa kaha. Fir maine ek din use ek msg kiya k sohana agar main tumhari Life partner ban jau to kaisa hoga usne reply kiya k mere aisa naseeb nehi hai. Tb maine samajh liye k wo mujh se pyar karti hai. Esi topic me baat karte karte hum dono me pyar ho gaya bina I Love You bol kar. hum dono bhut khus the kyun ki hum dono ka hi ye pehla pyar hai. Uski waha ek larka hai jo use 6 saal se pyar karta hai wo larka ek sharabi tha sohana ne kbhi use ha nehi kaha. Dekhte dekhte ek saal ho gaya ek din hum dono me ek baat ko lekar jhagra ho gaya aur 18 days hum dono me baat nehi hua fir kabhi kabhi baat hota tha wo lv u kehta tha main v kehta tha lekin jayada baat nehi hota tha fir ekidn Eid k baad usne mere behen ko cl karke boli k aapki bhaiya kya mujhe vul sakta hai behen ne socha k wo majak kar rahi hai. Maine behen ko kaha k use kehna k wo mujhe cl kare, 2 din baad usne mujhe miss cl kiya maine cl back kiya usne mujhe bola k Armaan tum mujhe bhul jao maine kaha kyun usne kaha k Main Rabbu (wo sharabi ladka) se pyar karta hu maine kaha tum aise nehi kar sakte mujhse tm koi majburi aakar aisa to nehi kar rahi ho? usne boli nehi aur kaha k Main rabbu ko bahot dino se bahot sataya bahoot duki diya main use aur dukh dena nehi chahta. Maine kaha mera kiya hoga main tumhare siba marjaunga jaan plz tum aisa mat karo. Tb maine bht roya lekin usne kaha k main use chhor k aur dukh dena nehi chahti. Maine kaha thik hai main tum dono ki jindagi se bahoot dur chala jaunga aur tumhe kabhi dstrb nehi karunga fir phn kat diya humne. Sari raat main so na saka sirf rota raha ghar wale sab kuch samajh jayenge soch kar main Hostel me aagaya. 7din maine thik se kuch v nehi khaya har waqt rota rehta tha. 8din k baad usne mujhe ms cl kiya main rehna saka use cl kiya usse baat karte karte main bahoot ro raha tha wo v ro rahi thi maine kaha main sach me mar jaunga mujhe jhor k mat jao. usne kaha main kiya karu mujhe kuch samajh me nehi aaraha hai fir kaha k main v tumhe chor k ji nehi paungi. Sohana abhi kolkata me Doctor padhne aaya hai. Wo ghar jayega mujhe boli maine kaha ur Rabbu se bach k rehna. Usne kaha thik hai aur sab kuchh mujhe information dete rehna wo kiya kiya karta hai. Wo ghar me ja kar boli k wo mujhe bahoot dstrb kar raha hai maine kaha tm apni ammi aur abbu k bata do usne kaha agar maine uske bare me ghar me sab kuchh bol diya to wo hum dono k bare me sab kuch bol dega aur meri padhayi band ho jayegi. fir wo kolkata chala aaya hum log Saltlake Nalbon park me ghumne gaye pehli baar maine waha use kaha k jaldi aapna sim change karo usne kaha tm mujhe koi naya sim do. Maine kaha thik hai. Fir usne no. Change kiya lekin wo larka Rabbu uske ghar se uski naya no. Pata kar liya. Fir sohana ne uski cl reject me kar diya. Fir hum dono ek ho gaya main jab Sohana ko us larke k bare me puch ta tha to wo kehti thi k usne majburi me aakar usse pyar ka natak kiya tha. Maine kaha usne tumhe touch nehi usne kaha sirf ekbar usne mera hath pakra tha. Fir ek saal gujar gaya. Uske paas 2 sim tha maine ek sim usse le liya. Wo sim me on karke rakhta tha ekdin maine dekha Rabbu cl kar raha hai maine rcv nehi kiya. Tb maine sohana se pucha k rabbu ye no. Kaise janta hai? usne kaha k ekdin maine us no. Se ghar me cl kiya tha ghar se hi no. Liya usne. Sohana k ghar k har kam me us larke ki zarurat hota hai isiliye wo har waqt sohana k ghar me aata hai. Mujhe lagta tha k Sohana mar jayegi lekin wo mujhe jhut nehi kahegi. Ek din mujhe pata chala k usne mujhe 2 mahina pehle ek jhut kaha tha jab maine use kaha usne phn kat diya tab mere aankho me aansu aagaya tha fir maine cl kiya aur kaha mera jaan jise me sabse jayada pyar karta hu wo mujhe kabhi jhut nehi keh sakta tb usne mujhse mafi manga fir boli k mujhe pata nehi tha mere ek jhut pe tumhe itna dukh milega. Phir maine use maaf kar diya. Hum dono kolkata park me hamesa milte the Victoria aur Millinium park me jayada milte the. uski jo sim mere pass tha us sim me rabbu hamesa cl aur msg karta tha wo samajh ta tha k ye sim sohana ki frnd ka hai. Maine v msg karna shura kar diya jab wo cl karta tha to main rcv karta tha lekin baat nehi karta tha aur wo mujhe uski frnd samajh k sab kuch bolta rehta tha. Ekdin usne aisi ek baat kahi jise shun kar mera dimag ghum gaya aur ankho me aansu aagaya. Rabbu ne mujhe kaha tha k sohana aur wo jab ek dusre se pyar karta tha tab undono ne bahoot bar lip kiss kiya hai aur uski har jagah me rabbu ne touch kiya hai. Hindi Love Story By Armaan Continued… Jab Sohana k ghar me koi rehta nehi tha tb wo use bulata tha aur… Sorry ye mein likh nehi sakta.. Rabbu ne mujhe uski frnd samajh k sab kuchh bata diya. Tab maine ye socha l sohana aisa kaise kar sakti hai un dono ka to sirf 2 mahina ka pyar tha aur sabse badhi baat ye hai k sohana ne to majburi me aakas rabbu jindagi bachane k liye jhuta pyar kiya tha wo aisa kaise kar sakti hai ye sb soch k mein bahoot ro raha tha aur dil me ek azeeb sa dard mehsus kar raha tha 1 din baad maine sohana se puchha k usne mujhe sab kuch kyun chhupaya?usne kaha ye sach nehi hai maine kaha natak mat karo sab kuch sach sach batao fir maine use pesar kiya aur wo boli k ye sab sach hai maine kaha aab sab kuch batao jab tum dono me relation tha to tumne kiya kiya gulo khilayatha uske sath to usne mujhe aisa kuch kaha jo rabbu ne mujhe nehi kaha tha. Sach me yaar main jise itna izzat karta hu jise main itna pyar karta hu wo itna besaram hoga me ye soch v nehi sakta tha.Fir maine use kaha tumne aisa kyun kiya jaan. Tab wo rone lagi aur mujhse maafi mangne lagi maine kaha tumne mujhe bahoot dukh diya main tumhe maaf nei kar sakta fir usne kaha k main mar jaunga plz mujhe maaf kardo. Maine kaha thik hai main maaf kar sakta hu ek sart pe usne kaha k main sab kuch manne k liye taiyar hu. Maine use kuch sart diya jaise k mujhe kabhi jhut nehi bologi, rabbu k msg nehi padhogi usse kabhi baat nehi karogi.Usne kaha main tumse wada karta hu k aisa hi hoga main tumhe kabhi v koi sikayet ka mouka nehi dunga. Fir kuch mahina nikal gaye aur mujhe pata chala k wo rabbu k har msg padhta hai aur usse ek do baar baat v kiya hai fir maine use ultasidha kaha fir usne aapni galti k liye maafi mangi maine phir se maaf kar diya. Kuch din baad fir uski kuch jhut pakri gayi usne maafi mangi maine phir maaf kiya yaar main isliye use maaf karta tha kyunki main use bepanah mohabbat karta tha aur maine uske bare me aapni ghar me keh diya aur mere gharwale v razi tha. Yaar mujhe hamesa aisa lagta tha k main Rabbu aur Sohana k bich me aagaya hu aur aisa lagta tha k sohana v sayed rabbu se abhi v pyar karta hai agar aisa nehi hota to wo use har waqt hamare relation me kyun lekar aata hai. Maine use kaha tha lagta hai ekdin Rabbu k wajahse hi tum mujhe kho dogi usne kaha tha k aisa kabhi nehi hoga. Kuch din baad usne fir khuc galti k lekin maine kuch kaha nehi fir se galti ki maine kiya kya usse thik tarah se baat karna chhor diya aisa kuch din kiya fir 2din 3din baad baat karta tha aisa 3 mahina kiya taki use aapni galti ka ehsas ho jaye. Usne mere sab dosto aur mera adviser( mera senior abhi nokri karta hai) ko cl karta tha aur wo sab hame cl karke sohana se baat karne k liye kehta tha lekin main un sabko uski bare me kuch keh nehi pata tha. Ekdin mere adviser ne mujhe bahoot samjhaya maine v socha k wo hi to mera jindegi hai aur maaf karna to admi ki sabse badhi aakhlak hai. To maine use fir se maaf kar diya. Usne kaha k me ghar jaunga ek din mulakat kar sakte ho tab main bimar tha maine kaha thik hai karunga. Main 2din baad mulakat karne gaya hum dono bahoot khush the usne mujhe kaha k mujhe jhor jane ki baat kabhi na karna maine kaha kabhi nehi karunga sirf koi badhi galti kabhi mat karna usne kaha kabhi nehi karunga. maine kaha usne tumhe 3 mahine se ek v msg or cl nehi kya? usne bola nehi mujhe azeeb sa laga lekin pata nehi kyun maine uski baat par yakin karliya. Usne mujhe kaha k maine ek galti ki hai maine bola kiya usne kaha pehle kaho k naraz nehi hoge mujhse maine kaha thik hai batao usne kaha k maine rabbu se baat ki hai exam k result k bare me sirf 1ya 2din hi baat kiye the. Maine use kuch nehi kaha ye soch k ki usne mujhe sach to kaha.Tab maine dekha k Rabbu cl kar raha hai maine cl ko cut diya maine use kaha cl reject main kyun nehi hai usne kaha k cl to rjct me hi tha tumne hi normal kar diya maine socha ho v sakta hai tabhi usne ek msg kiya jisse mujhe pata chal gaya k har roz ye dono baat karta hai tab maine kaha sohana tumne phir se mujhe jhut kaha! Usne kaha mujhe maaf kar do main aur kabhi usse baat nehi karunga. tab maine kaha kya tum usse nafrat karti ho usne kaha ha bahoot jayada fir usne kasam khayi aur mere shar pe hat rakh k boli k main use bahoot jayada nafrat karti hu aur main usse aur kabhi baat nehi karunga. Maine use kaha aur kitna jhut bologi isse pehle do baar mere shar pe hat rakkhe tumne jhut bola tha agar tum mujhe sach much pyar karti kiya tum aisa kar pate. Phir hum waha se chale aaye. Mujhe direct rabbu se kuch kuch information mil jata tha jab wo mujhe sohana k frnd samajh k cl karta tha. 2din baad mujhe pata chala k sohana ne rabbu se phir baat ki. Mere adviser ne mujhe bahoot samjhaya aur maaf karne ko kaha maine kaha kitni baar maaf karu main usko.Maine socha k thik hai main cl karunga kyun ki mujhe pata tha k main uske siwa jee nehi paunga aur sayed wo v. Fir 4 din baad maine use cl kiya tb usne bahoot buri tarah se baat ki mujhse Aur cl cut diya fir maine cl kiya aur pucha k rabbu se tumne last baat kab ki hai usne kaha Aaj, Hindi Love Story By Armaan Continued… tab maine kaha k sach me main tum dono k bich me ek diwar banke khara hu aaj se main tum dono k bich nehi rahunga. Kuch din baad usne mere frnds ko aur mere adviser ko cl kiya aur kaha k wo mere liye sari jindegi wait karegi aur mere ilawa kisise shadi nehi karegi. Aisa hi 1mahina gujar gaya. Tab mera v man kharab tha main soch raha tha k usse baat karu lekin ekdin Rabbu ne us no. Pe cl kiya aur kaha k mujhe pata hai tu Armaan ho mujhe Sohana ne sab kuch bata diya hai phir usne kaha k wo sohana se har roz baat karta hai aur kaha k sohana use hi pyar karta hai dilse lekin muh se manta nehi. Tab me soch raha tha k sohana ne mere shar pe hat rakkhar kasam khayi thi fir v baat kar raha hai. Fir kuch din guzar gaya 2mahina ho gaya ek din maine aapni ek dost ko kaha k use ek baar cl karona. To usne cl kya aur jab mere dost ne mere bare me puchha to usne kaha k wo jinda hai ya mar gaya hai mujhe ye v nehi malum aur mujhse uske baare me kabhi baat maat karna. Tab mera hal aur v kharab ho gaya. Fir 7 din k baad maine mera aur ek dost ko kaha k Sohana ko cl karo. Usne cl kiya jab mere dost ne mere bare me puchha tab usne kaha k main use aur pyar nehi karti hu. Agar wo wapas aana v chahe to me use accept nehi kar sakti ye hi meri decision hai aur ye kabhi nehi badlegi. Dost ne kaha tumne to kaha tha k tum uske liye sari jindagi wait karogi? Usne kaha k wo maine aise hi kaha tha bina soche samjhe. Dost ne kaha k jiske liye itna sab kuch ho raha hai usse kiya tum baat karti ho? Usne kaha k ha karti hu aur wo meri bahoot achcha frnd hai wo mera bahoot kheyal rakhta hai. Aur kaha k wo mujhse ekdin milna chahta hai sab kuch bawas lene k liye aur sab relation khatam karne k liye. 18/07/2013 tarikh ko main usse milne gayi Victoriya park me wo ek ghanta baad aayi.ek jagah par baith k maine use hamare kuch photo di usne sab phota far diya.main bahoot ro raha tha aur use ye keh raha tha k sohana mera pyar to jhuta nehi tha tum mujhse aisa kaise kar sakti ho main tumhe chhor nehi sakta jaan.Tab wo ro rahi thi aur boli k agar me is baar Rabbu k jindagi chala jau to wo jee nehi sakega. Aur kaha k mujhe malum ho gaya hai k wo mujhe kitna pyar karta hai. Usne mere samne Rabbu se baat ki aur mujhe pata hi nehi chala. Maine uske hat se uski mobile le liya aur dekha k MLR naam se ek cl aaraha hai tab main usse iska full from puchha wo bol nehi rahi thi tab maine kaha MLR ka full from My Love/Life Rabbu right usne boli haa. Maine use kaha k main tumhare siva kisi k bare me soch v nehi sakta lekin tum ye kaise kar sakti ho tum rabbu se kaisa pyar kar sakti ho mera 3 saal k pyar jhuta kaise ho sakta hai. Usne mujhe kaha k main tumse pyar karta hu lekin Rabbu main chhor nehi sakta. Hum 4 hrs. Tak victoriya me the phir wo chala gaya aur main v. Main sirf ye soch raha tha k wo kitna achcha natak kiya mere jindagi k sath. Uske baad v maine use cl kiya tha lekin wo mujhse baat nehi karna chahti wo Rabbu ko taklif nehi dena chahti. Dosto mujhe kuchh v achchha nehi lagta hai kiya karu kaha jau kuch v samajh me nehi aaraha hai. Kaise us bewafa ko bhula paunga use to me nafrat v nehi kar pa raha hu. Wo mera pyar ko nehi samjha yaaro main use bepanah mohabbat karta hu. Maine use kaha hai agar mera pyar sach hai to ek din tum bahoot pastaogi. Kiya wo sach me kabhi mere pyar ko samjhe gi? Kaise me use bhul paunga? 


1)It Is You, Who Make Me Feel Special It Is You, Who Give Me Happiness It Is You, Who Becomes My Companion It Is You, Who Cares Me Like My Mom It Is You, Who Sits By My Side In My Loneliness, And Whom I Love The Most, It Is You…

2)It’s A Joke; As Long As You Laugh On It It’s A Hope, As Long As You Count On It. It’s Nothing But A Simple Illusion As Long As You Do Not Step On It. It Would Take Him A Moment To Make You Believe The Lie- That He Loves You But Believe Me, Your Entire Lifetime Will Be Less To Live The Lie Through. Cause, Whenever You Will See With Your Eyes Your Eyes Will See What You Want You Can Easily Leave Everything For Him, But Actually, He Can’t! 




3)I Saw A Beautiful Morning Like I Had Never Before With A Cloudy Sky Up Hiding Shine Of The Sun So Cleverly In Her Heights 

4)I Went In The Rain, I Walked In The Dark The Flawless Nature And All The Joy In My Heart Made Me Feel Of Someone I Knew 

5)Unse Roj milne ko dil chahta hai, kuch sunane aur sunane ko dil chahta hai, Tha kisi ke manane ka andaz aisa ki, Ek bar ruth jane ko dil chahta ha 

6)Bahane bahane se aapki baat karte hai har pal aapko mehsus karte hai itni baar to aap saans bhi nahi lete honge jitni baar hum aaapko yaad karte hai! 

7)Zindagi Mai Hamesha Naye Log Milenge, Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge, Aitbaar Zara Soch Kar Karna, Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge !

8)Parchaee Aapki Humare Dil Me Hai, Yaade Aapki Humari Aankhon Me Hai. Kaise Bhulaye Hum Aapko, Pyar Aapka Humari Saanson Me Hai 

9)Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain…. Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain… Dil tho dene se ghabraathe hain… Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain… 

10)Ha mera har lamha chura liya aapne ,, Aakho ko ek chand dekha deya aapne ,, Hume zindagi de kisi aur ne ,, Par pyaar itna dekar jeena sikhaya aap ne 

11)Gham nahi wahan jahan ho fasana aapka Khushi bhi dhundhti hai har pal fasana aapka, Aap udaas na hona kabhi zindagi mai, Bohot achha lagta hai hame muskurana aapka…!
Share And Comment on this




No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.