Friday, 16 August 2013

Uski Aankho Mein


1)Aaj Bhi Us Ki Aankhon Mein Noor Wahi Tha Cherha Wahi Aur Libas Bhi Wahi Tha Kaise Keh Dun Us Ko Bewafa Aaj Bhi Us Ke Dekhne Ka Andaz Wahi Tha 

2)Kia Khoob Kaha Tha Kisi Ne Ke Duniya Bewafa Hoti Hai. Maan Leta agar kise ke to Ye Nobat Na ati 

3)Us Lamhe Ko Bura Mat Kaho Jo Thokar Pohchata Hai Balke Us Lamhe Ki Qadar Karo Kyun Ke Wo Jeene Ke Andaz Sikhta Hai 

4)Libas Tan Se Utaar Den Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai Gunah Karne Ka Soch Lena Haseen Pariyan Daboch Lena Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena Phir Uski Izzat Uchaal Dena Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai Andhair Nagri Mein Chalty Jana Haseen Kaliyan Masalty Jana Aur Apni Fitrat Pe Muskurana Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nahi Hai. 

5)mere sajdo mein kami to na thi aye khuda. kiya muje se bi badha k kisi ne manga tha usye 

6)Hai havaon me sayd aaj mere sanam Ke sanson ki MAHEK jo mere tan man pe chha gayi Ye khud to thi pahle hi PAGAL hava Mujhe bhi Pagal bana gayi Ab to lout aa GALE se lag sanam Aisi mujhse mahobbat me kya khata huyi 

7)Meri chahat ko Apni Mohabbat Bana ke Dekh Meri Hansi ko Apne Honton se Muskura ke Dekh Meri Aashkon ko apni Aankhon se Gira ke Dekh Meri Bechanion ko Apne Dil se Mehsus kr ke Dekh Yeh Mohbbat Ek Haseen Tohfa Hai Aye jaan Kabhi Mohabbat ko Mohabbat ki tarha Bhi Nibha 

8)Kitaabon me kehte hai phool todna mana hai Baagon me kehte hai phool todna mana hai Phoolon se keemti cheez hai DIL hai Par Koi nahi kehta ke dil todna mana hai 

9)Itna Sajana Mujhe marne ke baad yaaro Ke kisi ki ankho se ansu na Aye Sari Umar toh Nafrat thi sabko mujh se Kam se Kam Janaze se toh pyar ho jaye 

10)chhut raha hai mujhse har ek sahara, tut raha hai mujhse har ek asha ka kinara, kismat yahin hai mera dub ta sitara, dekh te hai kab aate hai maut ka ishara. 

11)Hum teri muhabbat me yun pagal rehte hain Deewane bhi ab hum deewana kehte hain 

12)Log kehte hai, Kisi Ek ke jane se humari zindagi nahi ruk jati, Lekin ye koi nahi janta, ki lakho ke mil jane se bhi.. us EK ki kami puri nahi ho pati..!! 

13)Yuhin nahi rota koi ishq mein.. Ae Dost Jise khud se badh kar chaho, wo rulaata zarur hai..;'( 

14)Mere Nazdeek Aa K Dekh Mere Ahesas Ki Shiddat.... Mera Dil Kitna Dhadakta Hai Sirf Tere Naam K Sath.... 

15)Seher Bhar Me Jisne Badnaam Kiya Mujhe Bewafa Ke Naam Se. aeDOSTO Khuda Ne Hisab Manga To Khud Uska Daaman Wafa Se Khali Tha.! 

16)Hum Ko Maloom Nahin Chahat Ke Taqaze Lekin...... Hum Ne Teri Baaton Ke Siwa Har Baat Bhula Rakhi Hai .....!! •٠•˙*´¨) 

17)Labon ki sarsraht se badan ke choor hone tak Mai tujhe is qadar chahun ke meri sans ruk jaye Na himat tujh me ho baqi Na himat me ho baqi Mai tujh me yun sama jao Ke meri sans ruk jaye Hathon me hath ho Na ho kuch baat kehne ko Mai tere itne qareeb Aao Kw meri sans ruk jaye Rakhon apne hont Tere honto pe Kuch is tarh Ya teri pyas bhuj jaye Ya meri sans ruk jaye 

18)Subah Ka Mausam Aur Aap Ki Yaad Halki Si Thandak Aur Chai Ki Pyaas Yaaro Ki Yaari Aur Yaari Ki Mithas Shuru Kijiye Apna Din Mere Good Morning Ke Sath 

19)Ruthi hoi anku me intizar hota hai ...... Na chahte howe b pyar hota hai ....... Q dekte hai hum wo sapne ...... Jinke totne par b unke sach hone ka intizar hota hai ..... 

20)Kyun karti hai teri yaden mujhe tanha Kyun aankh se aansu bahate hai Kyun koi kuch palo ki mulakat main dil ke Etana karib ho jata hai Ki usko bhulana DIL ke liye musakil ho jata hai 

21)Jhuki Palko Ne Khwabo Me Unka Didar Kiya..... Sab KuchBhula Kar Sirf Unka Intzar Kiya....... Wo Jaan Hi Na Paye Jazbat Mere..... Jinse Duniya Me Sabse ziyada Humne Pyar Kiya ....  

22)sukun mil gaya aaj muje badnaam ho kar tere har ek ilzaam pay yu bezubaan ho kar kya hua agar bulaya muje beizzat karne ke liye khush hu main teri mehfil me mehman ho kar log padh hi lenge mohabbat teri aankhoon me chahe karle lakh inkar tu anjaan ho kar ilzaam muj par lagakar khud roye ja raha hai kya payega mera hamdard shar e aam ho kar mil to gaya suboot muje teri mohabbat ka ab afsos nahi tere ishq me nakam ho kar.... 

23)Ek Khubsurat Dil Hazaar Khubsurat Chehro Se Zyada Behtar Hota Hai Is Liye Zindagi Mein Hamesha Aise Log Chuno Jin Ka Dil Chehre Se Zyada Khubsurat Ho 

24)KAL AUR AAJ . Kal Log Thoda Kha Kar B Alhamdulillah Kahete The, Aaj Zyada Kha kr B Kahte Hain Maza Nahi Aaya. . Kal Insan Shaitan Se Tauba Karta tha, aaj Shaitan Insan K Kaamo Pe Tauba Karta Hai . Kal Log ALLAH Ke Deen Ki Khatir Qurban Hote The Aaj Daulat Pe Qurban Hote Hain . Kal Gharon Se Tilawat 

Ki Aawaz Aati Thi Aaj TV Program, Nach Gaanon Ki Awazen Sunayi Deti Hain. . Kal Walidain Ko Rehmat Samajha Jata Tha Aaj Bojh Samjha jata hai. . Kal Masjid Se Nikalne Se DiL Ghabrata Tha Aaj Masjid me Jane Ko DiL Ghabrata hai. . Kal K Log Subah Namaz& Quran K Liye Uthte The Aaj k log subah walking& gym jaane ke liye uthte hain. . ALLAH hum sab ki hifazat farmaye aur sahi samajh ata farmaye... Aameen... 

25)KHUDA Ne Logon Ko Dil Se Milaya Har Kisi Ko Kisi Ke Liye Banaya Par Kehte Hai Rishta Usi Ka Ban Paya Jis Ne Har Rishton Ko Dil Se Nibhaya 

26)Sab phoolon ki jhuda kahani hai..... Khamoshi bi to pyar ki nishani hai..... Na koi zakham phr b essa ekhsaas hai .... Yu mahsoos hota hai koi k aaj bhi dil k paas hai.. 

27)Ye Be-DaRd ZaMaaNa KiYa JaaNe,.. . . KiYa CheeJ JuDai h0Ti hai . , , . hUm Yaha iShQ KaRkE BaiThE hai ,, , Waha iShQ Ke Naam PaR Jism'On Ki NuMai'Sh h0Ti Hai .. 

28)Palko ki naami me chupa kar sapnu ko .... Hum ne unne janne ki ijazar de di ..... Hum toot kar bikar gaye tukro me ..... Aur unhe muskarane ki ijazat de di ..... 

29)A woman who loves you truly will never ask you to buy her expensive gifts or take her to expensive places. She won’t ask for diamonds, rubies or a promise to bring her a world of luxuries. She just wants your love, care and attention.. She wants you to spend a lot of quality time with her.. and appreciate her for all that she does for you out of love and affection.. Every woman is unique in her own way. 

30)Nafraat na karna kabi humse ...... Ye hume acha nhi lage ga ......... Aye dost .... Bus pyr se kehdena tery zaroraat nhi . 

31)Yaad kar ke usko dil se bhulana mushkil tha Wo tufan palko mein rok pana mushkil tha Aasan laga use yaad kar ke mar jana Kyonki bhul ke usko jee pana mushkil tha…. 

32)Ye Be-DaRd ZaMaaNa KiYa JaaNe,.. . . KiYa CheeJ JuDai h0Ti hai . , , . hUm Yaha iShQ KaRkE BaiThE hai ,, , Waha iShQ Ke Naam PaR Jism'On Ki NuMai'Sh h0Ti Hai .. 

33)Kal Gharon Se Tilawat Ki Aawaz Aati Thi Aaj TV Program, Nach Gaanon Ki Awazen Sunayi Deti Hain. . Kal Walidain Ko Rehmat Samajha Jata Tha Aaj Bojh Samjha jata hai. . Kal Masjid Se Nikalne Se DiL Ghabrata Tha Aaj Masjid me Jane Ko DiL Ghabrata hai. . Kal K Log Subah Namaz& Quran K Liye Uthte The Aaj k log subah walking& gym jaane ke liye uthte 

34))Kyun karti hai teri yaden mujhe tanha Kyun aankh se aansu bahate hai Kyun koi kuch palo ki mulakat main dil ke Etana karib ho jata hai Ki usko bhulana DIL ke liye musakil ho jata hai 

35)Yaad kar ke usko dil se bhulana mushkil tha Wo tufan palko mein rok pana mushkil tha Aasan laga use yaad kar ke mar jana Kyonki bhul ke usko jee pana mushkil tha…. 

36)chupaye dil mein gamon ka jahan baithey hain tumhari bazm mein hum be-zaban baithey hain yeh aur bat k manzil pe ham pohanch na sakey magar yeh kam hai k rahon ko chhaan baithey hain fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam abhi to ghar mein bahut mehrban baithey hain ab aur gardish-e-taqdir kya sataiy gi luta k ishq mein naam-o-nishan baithey hain woh ek lafz-e-mohabbat he dil ka dushman hai jisey shariat-e-ehsas masn baithey hain hai maikadon ki baharon se dosti ‘Sagar’ baraye had-e-yaqin-o-guman baithey hain. 

37)jo baat hogi nahi vo usse uchalega main janti hun .. mujhe masla bana lega main dil ke paas kisi ko iss liye aane nahi deti ke dil mein ghus ke koi tera gham chura lega nahi kahega mere munh pe sach vo ziddi shaks mujhe bachate huye khud ko maar daalega agar na mauka diya maine bolne ka usse vo apna gussa kisi aur par nikalega vo mere paas nahi phir bhi aisa lagta hai vo uth ke choomega, 

mujhko gale laga lega issi umeed pe main ussko chhod aayi hun ke mere baad kahin aur dil laga lega mujhe toh lagta nahi phir bhi log kehte hain mujhe ujaad ke vo apna ghar basa lega wohi mareez mere baad ji raha hai "qamar" jo lag raha tha ke do din nahi nikalega 

38)Suno Jana! Tum Kehtey Thy naa Ke Mujhe tum sey Muhabbat Nahi Hai To Aao, Aaj Milo meri Muhabbat Ke Gawahon Sey Meri Chaadar, Mera Bistar, Mera Takiyaa... Sab Mi Meri Muhabbat Ke Gawah Hain, Meri Hickiyan, Meri Siskiyan... Sab In Me Dafan Hain, Teri Ruswai, Teray Hijar Ke Aansoo... Roz Yeh Khud Me 

Jazb Kartay Hain, Poocho Chand Taaron Sy, Baaghon Ke Phoolon Sy... Panchiyon Ke Aashiyanon Sy... Teri Yeh Deewani Sab Sy Tera Poocha Karti Hai, Teri Muhabbat Ki Gawa Hai Meri Dairy... Jis Sey Main Har Pal Teri Baatain Karti Hon, Yeh Shayri Meri Jis mein chah kar bhi main Tera Naam Likhnay Sy, Khud Ko Rok Nahi Paati Hon, Suno jana! Meri Anmool Muhabbat Ke Gawah Bohat Hain... Par Utnay Nahi Hain, Jitnay Ke! Tery Mujh Sy Bicharrnay Ke Bahanay.... 

39)aa jao ke sab mil ke rab se dua maange jiwan mein sukoon chahe chahat mein ye waffa maange haalat badalne mein ab dair na ho maalik jo dekh chuke phir ye andher na ho maalik ik tu hi bharosa ik tu hi sahara iss tere jahan mein nahi koi hamara hey ishwar ya allah ye pukar sun le hey ishwar ya allah hey daata 

40)dekhoge hamen roz magar baat na hogi ek shehar mein reh k bhi mulaqat na hogi kehna hai jo keh dalo abhi waqt hai baki kal hum tou honge.. magar surt-e-halaat na hogi jo pochna hai tumko abhi poch lo warna kal shehr mein phir rasm-e-sawalaat na hogi din itne huye taweel hijar k logo tadpoge sar-e-sham magar raat na hogi ye soch k bhi dil tadap uthta hai 'nadeem' bichadenge iss terhan, ke kabhi mulaqaat na hogi... 

41)Aisa nhi k ye zindgi buri hai, Par school or clg life ki baat kuch or thi. Aisa nhi k ab hasi nhi ati, Par dosto me beth kr khilkhilane wali bat Kuch or thi. Aisa nhi k ab tension se raat nhi guzarti, Par exams ki raato me jagne wali bat Kuch or thi.. Aisa nhi k aage aa kr kuch hasil na kiya ho, Par passing marks le kr party udane wali bat Kuch or thi. . Aisa nhi h ki ab logo ko jante pehchante nahi, 

but woh duur se 'kamine rukk' bolke dost ko awaz dene ki baat hi kuch aur thi. Aisa nahi hai ki ab tiffin share nahi karte, but canteen mein kisi aur ke plate se cheen ke khane ki baat kuch aur thi. . Aisa nhi k ab zindgi nhi kat rhi hai, Par dosto me zindgi jjine ki bat hi kuch or thi... 

42)ab toh mumkin hi nahi unnse mulaqat wasi ab to urooj pe puhanchi hai usski zaat wasi ek wo din thy k ek dosry ko sochte thy hum ab milte nahi dono k khayalat wasi tum kahan aur mere pyar ka miyar kahan wo kitni sadgi se ker gaya ye baat wasi 

 43)Suno Qismat Say Larney Ki Kabhi Koshish Nahin Kartey Muqadar Jab Mukhalif Ho Duaaein Be-asar Jaaein Sabhi Manzar Bikhar Jaaein …Tu Aisey Mein Baghawat Ki Kabhi Koshish Nahin Kartey Kisi Ke Saath Chalney Ki Kisi Ke Dil Mein Basney Ki Kabhi Khwahish Nahin Kartey Kisi Eik Shakhs Ki Khaatir Sabhi Say Door Ho Jaana Kahan Ki Ye Muhabbat Hai? Muhabbat Ye 

Nahin Hoti Muhabbat Dil Mein Hoti Hai Muhabbat Aks Hai Rab Ka Kabhi Ye Mar Nahin Sakti Humeisha Saath Rehti Hai Humeisha Saath Chalti Hai Miley Jo Humsafar Tum Ko Ussi Ke Saath Chalna Tum Ussey Dharrkan Bana Lena Ussey Dil Mein Basa Lena Magar Qismat Say Larney Ki Lakeeron Say Ulajhney Ki Kabhi Koshish Nahin Kartey Kabhi Koshish Nahi Kartey?.. 

44)Wafa Ke Badle Bewfai Na Diya Kar Meri Ummid Thukra Ke Inkaar Na Kiya Kar Teri Mohabbat Me Hum Sab Kuch Kho Bethe Jaan Chali Jyegi Imtihan Na Liya Kar 

45)uss shokh se mujhko muhabat bhi hai 'fear' bhi armaan ke humrah nikalte hain 'tear' bhi kis tarah mar jaaun main uss pardanashiin par aankhon se jo hai duur toh hai dil ke 'near' bhi aaye ho toh do char gharhi baith ke jaao hazir hai tumhare liye masnad bhi 'chair' bhi iss dhang ke dilbar toh zamane mein bohat hai iss shakl ke insan hain duniya mein 'rare' bhi bekar hai umeed-e-wafa ahl-e-zaffa se seene ki tarah chaak hua aaj 'letter' bhi soz-e-gham-e-ulfat se toh khud jalta hun ae 'ramaz' aur uss pe jalaati hai mujhe aur bhi 'summer' bhi 

46)Kisi Kamzoor Lamhey Main, Agar Main Tum Say Ye Keh Doon Ke, Mujhey Tum Say "MOHABAAT" Hai, To Tum Ye Mat Samaj Lena, Ke.... Meine Sach Kaha Ho Ga, Aesi Dil-Nasheen Baatoon Ko, Aise Dilbar Aadaoon Main Kehna, Mujhey Bachpan Say Hi Aata Hai..... Meri Aankhein Mera Chehra, Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja, Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai..... Mager...... Iss Jhoot Main Ek Sach Bhi Hai, Ke...... Mujhey Tum Say "MOHABBAT" Hai 

47)Main Wohi Hoon Jisse TuM Pyaar Kiya Karte The, Din Mein Sau Baar Mera NaaM Liya Karte The,....[n] Kya Baat Hai Kyon Mujhse Khafa Baithe Ho, Kya Kisi Aur Ko Dil Apna De Baithe Ho, Faasle To Pehle Na Hua Karte The AnMol, Main Woh Hoon Jispe TuM Aitbaar Kiya Karte The, Mujhko MaluM Hai GaM Hai Koi Saugaat Nahi, TuM Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halaat Nahi, Aur Agar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi, ZakhM To Pehle Bhi Is Dilpe Laga Karte The.. 

48)Ae Rooh Tu Zara Dheere-Dheere Nikal. . . . Kahin Uss Be-khabar Ko Khabar Na Ho Jaye. . . . . Meri Zindagi Ki Dua Maangti Hai Wo. . . . . Kahin Uski Dua Ka Asar Na Ho Jaye 

49)Kaha tha na? Ki bhul jaaogi TUM mujhe, Aur meri is baat par tum Aksar Lda karti thhi, Kaha thha na ? Ki TUM Thaam logi haath kisi aur ka, Aur meri is baat par Tum Ghanton Khafaa Rehti thhi, Kaha thha na ? Ki Tum Bahut Door Nahi Chal Paaogi ISHQ ki raah pe, Aur Tum Kehti thhi ke Mere Paaon Naazuk hain DIL nahi... To Phir Kyun ? Tum Mujhe Chhod Gayi...?? Kyun Such kar Dikhaya Meri Har Baat Ko ? Kyun ? Kyun ? Kyun? 

50)Mohabbat Kisi Se Tab Hi Karna Jab Mohabbat Ko Nibhana Seekh Lo.. Majburiyon Ka Sahara Lekar Chhod Dena Wafadari Nahi Hoti 

51)Sadyon se ek sapna hai Kaho pora karo ge tum? Bhool jao mere siwa sub kuch Kaho aisa karo ge tum? Nahi kuch or tamanna ab, K bas mere ho gao tum. Kabhi na chor k gao ge Kaho aisa karo ge tum? Faqt ek lafz sunne ko Kai barso se tarsi hon. "Mujhey Apna Bana Lo Tum" Kaho aisa karo ge tum??? 

52)Wo hume, hum unhe bhula bethey Do gunehgar zahar kha bethey Aandhiyon ! jao ab karo araam Hum khud apna diya bujha bethey Jabse bichrey woh muskuraye na hum Sabne cherha to lab hila bethey Uthke ek bewafa ne dey di jaan Reh gaye saarey ba-wafa baithey Hashr ka din abhi hai door "Khumaar" Aap kyun jaahido'n mein jaa bethey.. 

53)suno janan....! Humara Bas Nahi Chalta ..! Tumhen Banho Me Bhar Lete Tumhen Sab Se Chupa Lete Tumhen Ankho Me Rakh Lete Kabhi Na Roothne Dete Kabhi Na Tootne Dete Tumhe Hum Qaid Kar Lete Bus Apne Dil Ki Dunya Me Kisi Bhi Haal Me Hum Phir Tumhen Azaad Na Karte Sabhi Dunya Bhula Dete Tumhe Apna Bana Lete Hamare Bus Me Hota Tou Magar Hai Bebasi Aisi Hamara Dil Machalta Hai Tumhe Hi Yad Karta Hai Tumhara Qurb Chahta Hai Magar Hum Kya Karen Janan Hamara Bus Nhi Chalta........ 

54)dekh kar jise dil ko qaraar aayega laut kar kabhi toh mera vo yaar aayega vo mujhe bhool bhi gaya hai toh koi baat nahi magar khayal ussko mera baar baar aayega main janta hun usske dil mein mere liye nafrat hai magar ek din vo mere paas ho ke shram-saar aayega vo bhi ro dega meri halat dekh kar muhabbat pe meri phir ussko aitbaar aayega kehta phirega vo logo se bohat achcha tha mera yaar jab maiyat pe meri vo ho ke ashk-baar aayega . 

55)Paharon ki masti ka asar acha nahin Hota Shajar sukha huaa ho to Samar acha nahin Hota Jo mumkin Ho to rasty sy koi jugnu pakar lena Andheri raat ka tanha safar acha nahin Hota Milo kuch is tarah k Dil aapis main mil jayen Ta'aruf doston se mukhtisar acha nahin Hota Wahin betho jahan saya mile apne darakhton ka Kisi k gar k angan ka shajar acha nahin Hota....... 

56)Aye mere vatan ke logon tum khoob laga lo naara , ye shubh din hai ham sab ka lahara lo tiranga pyaara, par mat bhoolo seema par veeron ne hai praan ganvaaye, kuch yaad unhein bhi kar lo jo laut ke ghar na aaye..... aye mere vatan ke logon zara aankh mein bhar lo paani, jo shaheed hue hain unki zara yaad karo qurbaani, tum bhool na jaao unko is liye suno ye kahani, jo shaheed hue hain unki 

zara yaad karo qurbaani..... jab ghayal hua himaalay khatre mein padi aazadi, jab tak thi saans lade vo phir apni laash bichha di, sangeen pe dhar kar maatha so gaye amar balidaani, jo shaheed hue hain unki zara yaad karo qurbaani..... jab desh mein thi diwali vo khel rahe the holi, jab ham baithe the gharon mein vo jhel rahe the goli, the dhanya javaan vo aapane thi dhanya vo unaki javaani, jo shaheed hue hain unki zara yaad karo qurbaani..... koi sikh koi jaat maraatha koi gurakha koi madaraasI, sarahad per maranevaala har veer tha bhaaratavaasi, jo khoon gira parvat par vo khoon tha 

hindustaani, jo shaheed hue hain unki zara yaad karo qurbaani..... thi khoon se lath-path kaaya phir bhi bandook uthaake, das-das ko ek ne maara phir gir gaye hosh ganva ke, jab ant-samay aaya to kah gaye ke ab marate hain, khush rahana desh ke pyaaron ab ham to safar karate hain, kya log the vo deewane kya log the vo abhimaani, jo shaheed hue hain unki zara yaad karo qurbaani..... tum bhool na jaao unko is liye kahi ye kahaani, jo shaheed hue hain unki zara yaad karo qurbaani..... jay hind jay hind ki sena(2) jay hind, jay hind, jay hind..... 

57)Mante hai sara jahan tere sath hoga, Khushi ka har lamha tere pas hoga, Jis din toot jayengi sanse humari, Us din tujhe hamari kami ka ehsas hoga… 58)Door jakar bhi hum door ja na sakenge, Kitna royenge hum bta na sakenge, Gham iska nahi ki aap mil na sakoge, Dard is baat ka hoga ki hum aapko kabhi bhula na sakenge….. 

59)Agar mere pyar ko samajhna chahteho to mere ankho me jhuk kar dekho.... Agar pyar ka dard mehsus karna chahte ho to ye dhadkan ki har awaz ko suno.... Tab tumhe pata chalega ki maine tumhe kis had tak chaha hai... :'| :'| :'| 

60)Ye bhi Ek Dua ha mere Khuda se, Kisi ka Dil na dukhe meri waja se, A Khuda kr de kuch aisi inayat mujh par, K sirf Khushiyan hi mile sab ko meri waja se.


Share And Comment on this





No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.